June 25, 2014

Surah zumur

Surah zumur 

39.67 Aur inn logon ney jaisi qadar Allah Taalaa ki kerni chahyey thi nahi ki sari zami qayamat kay din uss ki muthi mein hogi aur tamam aasman uss kay dahaney hath mein lapetay huyey hongay woh pak aur bartar hai her uss cheez say jissay log uss ka shareek banayen.

39.68 Aur soor phoonk diya jayega pus aasmano aur zamin walay sab bey-hosh ho ker gir paren gay magar jissay Allah chahyey phit doobara soor phoonka jayega pus woh aik dum kharay hoker dekhney lag jayen gay.

39.69 Aur zamin apney perwerdigar ka noor say jagmaga uthay gi naam-e-aemaal hazir kiyey jayen gay nabiyon aur gawahon ko ko laya jayega aur logon kay darmiyan haq haq faislay ker diyey jayen gay aur woh zulm na kiyey jayen gay.

39.70 Aur jiss shaks ney jo kuch kiya hai bharpoor dey diya jayega jo kuch log ker rahey hain woh bakhoobi jannay wala hai.

39.71 Kafiron kay ghol kay ghol jahannum ki taraf hankaye jayen gay jab woh uss kay pass phonch jayen gay uss kay darwazay unn kay liye khol diye jayen gay aur wahan kay nigehbaan unn say sawal keren gay kay kiya tumharay pass tum mein say rasool nahi aaye thay? Jo tum per tumharay rab ki aayaten parhtay thay aur tumhen uss din ki mulaqat say daratay thay? Yeh jawab den gay kay haan durust hai lekin azab ka hukum kafiron per sabit hogaya.

39.72.Kaha jayega kay abb jahannum kay darwazon mein dakhil hojao jahan hamesha rahen gay pus sirkashon ka thikana boht hi bura hai.

39.73 Aur jo log apnay rab say dartay thay unn kay giroh kay giroh jannat ki taraf rawana kiyey jayen gay yahan tak kay jab uss kay pass aajayen gay aur darwazay khol diyey jayen gay aur wahan kay nigehbaan unn say kahen gay tum per salam ho tum khushaal raho tum iss mein hamesha kay liye chalay jao.

39.74 Yeh kahen gay kay Allah ka shukar hai jiss ney hum say apna wada poora kiya aur hamen iss zamin ka waris bana diya kay jannat mein jahan chahyen muqam ker len pus amal kerney walon ka kiya hi acha badla hai.

39.75 Aur tu farishton ko Allah kay arash kay ird-gird halqa bandhay huyey apnay rab ki hamd-o-tasbeeh kerta huyey dekhay ga aur inn mein insaf ka faisla kiya jayega aur keh diya jayega kay sari khoobi Allah hi kay liye hai jo tamam jahano ka palanhaar hai.

No comments: