June 25, 2014

Tawheed part-1

Assalam o Alaikum wr wb Brothers / Sisters 

ALLAH Rehman hay , ALLAH Raheem hay , 
Allah kay siwa ki koi ibadat kay laiq nahee hay , 
Hazrat Muhammad Mustafa (Sallallahooalahi-Wasallam) ALLAH Kay akhri NABI OR RASOOL Hay. 
Jab yay Duniya nahee thee us waqt bhee ALLAH tha ,
jab yay Duniya nahee hogee us waqt bhee ALLAH he Hoga ,
ALLAH Nay is kainat ko banaya ,
Allah nay Asmaan Sooraj ,chand ,
sitaray banayae ,
Sooraj her roz Allah kay muqarar kerda waqt per nikalta hay ,
poori duniya ko roshan kerta hay or phir guroob hojata hay , Chand sitaray apnay waqt per hamay asman per nazar atay hay or phir gayab hojatay hay,
ALLAH nay poori duniya banadi ,
Allah na is duniya may aisi aisi cheezay banai hay kay insane aqal us ko daikh ker dang reh jatee ,
ALLAH nay baray baray Pahar banadiyay ,
Allah nay insan ko banaya ,
Farishto ko banaya , Janwar ko banaya ,
Jin or shayateen ko banaya,
Allah nay insan ko Ashraful Makhlooqat ka derja diya ,
Allah nay samander banaye or samandar kay under aisi aisi samandari makhlooq banai kay insani aqal un ko daikh ker heran o preshan rehjataee hay ,
Allah nay is duniya may aisay aisay janwar banaye kay insan daikh ker heran o preshan rehjata hay ,
kuch janwar Allah nay halal banaye ,
Kuch janwar ko Zibah ker kay insan apnay khanay kay liyay istimal kerta , kuch janwar zehreelay hay ,
kuch janwar masoom hay jo insane ko nuqsan nahee pohanchtay or kuch janwar Muslamano kay liyay haram karaq diyay gaye ,
ALLAH he nay sab ko paida kiya hay ,
Allah he sab ko mot dayga or Allah he qayamat kay din tamam insane ko doobara zinda karega, Is Duniya may jo kuch bhee hota hay who sirf or sirf Allah kay hukum say hota hay ,
Allah kay hukum kay bagair aik patta bhe hil nahee sakta ,
insan aik sans bhe Allah kay hukum kay bagair nahee lay sakta, Allah jisay chahay izzat day or Allah jisay chaye zilat day , ALLAH Jisay chaye Gani ameer kerday or Allah jisay chaye gareeb kerday , Ameer ,
Dolat mand honay ka matlab her giz yay nahee hay kay Allah us say bohat khush hay or kisi kay gareeb honay ka matlab her giz yay nahee kay Allah us say naraz hay ,
ALLAH mukhtalif tariqay say insan ko azmata hay ,
Allah hi sab ko rizq dayta hay , Allah hi sab ko rozgar dayta hay ,
hamay aisa lag raha hota hay kay kisi dost ya kisi rishtidar ya kisi nay hamari nokri lagwadee hay ,
hamay lag raha hota hay kay koi hamay khana khila raha hota hay likin rizq daynay wali zat or rozgar daynay wali zat sirf or sirf Allah he ki hay,
her hal may Allah ka shukar ada kerna chaiyay ,
kisi bhe mushkil kay waqt sirf or sirf Allah ko pukaran chaiyay ,
rizq ka mamla ho ,
Rozgar ka mamla ho sifarish per yaqeen na rakhiyay ,
Allah per poora poora bharosa rakhiyay ,
Allah say apnay gunah ki maafi mangiyay ,
Allah say mangiyay ,
Allah he riozgar or rizq kay derwazay apni rehmat say kholay ga ,
Is Duniya may jo kuch bhe hota hay who sirf or sirf Allah kay hukum say hota hay,

CONTINUE.... 

No comments: