April 7, 2013

ISHQ SHAYARI

Andhairi Raat K Lamhe Tamam Hone Tak,
Tujhe Hi Sochta Hoon Subho Se Shaam Hone Tak,
Main Aisa Jisam Hoon Jis Ki Rooh Bhi Tu Hai,
Adhuri Zaat Hoon Main Tere Naam Hone Tak,

Teri Aawaz Sun Na Loon To DIL Nahi Lagta,
Tarapta Rehta Hoon Tujh Se HUM Kalaam Hone Tak,
Teri Nazar Ki Keemat Pe Bik Raha Hai Koi,
Use Khareed Le Tu Mehnge Daam Hone Tak,
Ishq Ki Aag Jo Seene Mein Laga Baithe Hain,
Sulagti Rehti Hai Ye Neendein Haram Hone Tak...

Mohabbat main karne laga hoon
Mohabbat main karne laga hoon,
Uljhano me jeene laga hoon,
Diwana to main tha nahi lekin,
Tera dewana ban-ne laga hoon

Pyaar ka safar karne chla hoon,
Dil ki duniya basane chla hoon,
Maine khwaab abh tak na dekhe the,
Tujhe dekh ke khwaabon me jeene laga hoon.
Kabhi bikharta ja raha hoon,
To Kabhi sawarta ja raha hoon,
Qatal to mujhe hona nahi tha lekin,
Teri nigahoon se hue ja raha hoon.
Unse dil lagaye baitha hoon,
Unhe apna banaye baitha hoon,
Bas darr raha hoon yehi soch-soch ke,
Aaj unse izhar karne ja raha hoon.

Qayamat ki NishaniyaN

Hadith: Qayamat tab tak qayam nahi hogi jab tak baitullah (kabey) ka Hajj band na ho jaye


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Hadith: Qayamat tab tak qayam nahi hogi jab tak baitullah (kaba) ka Hajj band na ho jaye

Abu Said Khudri Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Log kabey ka hajj aur umrah Yajuj majuj ke Aaney ke baad bhi kartey rahnegey.Aur Shuba Radiallahu anhu se rivayat hai ki Qayamat tab tak qayam nahi hogi jab tak baitullah (kabey) ka Hajj band na ho jaye :
Sahih Bukhari,  Vol2 , 1593
----------------------------------------------------------
Narrated Abu Said Al-Khudri: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said "The people will continue performing the hajj and 'Umra to the Ka'ba even after the appearance of Gog and Magog." Narrated Shu'ba Radiallahu anhu : The Hour (Day of Judgment) will not be established till the hajj to the Ka'ba is abandoned. 
Sahih Bukhari,  Book 26,no.663
 

Mafhum-e-Hadith: Wo (Allah) Aalimo ko maut dekar ilm ko utha lega

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Mafhum-e-Hadith:  Wo (Allah) Aalimo ko maut dekar ilm ko utha lega 

Narrated 'Abdullah bin 'Amr bin Al' As radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah Ilm ko is tarah se nahi utha lega ki iskey bando se cheen lega  balki wo Aalimo ko maut dekar Ilm ko utha lega phir jab koi Aalim baqi nahi rahega to log jahilon ko sardar bana lengey unsey sawalat kiye jayengey aur wo bagair Ilm ke jawab dengey isliye khud bhi gumraah hongey aur logo ko bhi gumraah karengey.
Sahih Bukhari, Ilm ka Bayan,100
-------------------------------------------------------------------------
Narrated 'Abdullah bin 'Amr bin Al' As radi allahu anhu:
I heard Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam saying, "Allah does not take away the knowledge, by taking it away from (the hearts of) the people, but takes it away by the death of the religious learned men till when none of the (religious learned men) remains, people will take as their leaders ignorant persons who when consulted will give their verdict without knowledge. So they will go astray and will lead the people astray."
 Sahih Bukhari, Vol 1, Book 3, No. 100

Hadith: Qayamat ki nishaniyan

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Hadith: Qayamat ki nishaniyan

Anas Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Qayamat ki nishaaniyon mein se ye hai ki : ilm utha liya jayega, jahiliyat Zaahir ho jayegi, aur sharab pee jayegi aur zina phail jayega.
Sahih Bukhari, Ilm ka Bayan ,Vol 1 ,80

----------------------------------------------------------------
Narrated Anas Radi allahu anhu : Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "From among the portents of the Hour are (the following):
1. Religious knowledge will be taken away (by the death of Religious learned men).
2. (Religious) ignorance will prevail.
3. Drinking of Alcoholic drinks (will be very common).
4. There will be prevalence of open illegal sexual intercourse

Hadith: Fitney fasaad aa jayengey, aur harj bad jayega harj yani Qatl


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim


Hadith: Fitney fasaad aa jayengey, aur harj bad jayega harj yani Qatl


Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya Qayamat us waqt tak na aayegi jab tak ilm-e-deen utha na liya jaye aur zalzalon ki kasrat na ho jaye aur Waqt jaldi jaldi guzarney na lag jaye aur Fitney fasaad aa jayengey, aur harj bad jayega harj yani Qatl, aur tumharey andar maal-wa-Daulat itni ziyada ho jayegi ki wo ubal Parhega (overflow)
Sahih Bukhari, Vol1, 1036


The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "The Hour (Last Day) will not be established until (religious) knowledge will be taken away , earthquakes will be very frequent, time will pass quickly, afflictions (problem or trouble) will appear, murders will increase and money will overflow amongst you."
Sahih Bukhari, Volume 2, Book 17, Number 146: 

Hadith: log Jahilo ko sardar bana lengey un jahilon se sawalat kiye jayengey aur wo bagair ilm ke fatwa dengey


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

 Hadith: log Jahilo ko sardar bana lengey un jahilon se sawalat kiye jayengey aur wo bagair ilm ke fatwa dengey  

Abdullah bin Amr bin Al Aas Radi Allahu Anhu  se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam  ne farmaya  Allah subhanahu ilm ko is tarah nahi uthayega ki usey logon se cheen liya jaye bulki ulma ko qabz karney ke saath ilm ko qabz farmayengey  jab kisi Aalim ko Allah baqi nahi rakhega to log Jahilo ko sardar bana lengey un jahilon se sawalat kiye jayengey aur wo bagair ilm ke fatwa dengey   wo khud bhi gumraah hongey aur dusron ko bhi gumrah karengey
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 52
 (Sahih)
---------------------------------------------------------------
Narrated Abdullah bin Amr bin Al Aas that the Messenger of ALLAH Peace be upon him said: 'ALLAH will not take away knowledge by removing it from people (from their hearts). Rather He will take away knowledge by taking away the scholars, then when there will be no scholars left, the people will take the ignorant as their leaders. They will be asked questions and they will issue verdicts without knowledge, thus they will go astray and will lead others astray.'”

Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 52 (Sahih)