April 19, 2011
Aqwal-e-Zareen...........Hazrat Luqman(A.S)
1 : Jahilon se mat milo werna wo tujhe bhi Jahil bana dein gay.....
2 : Kaminon ke muqabley mein Khamosh raha karo
3 : Namaz mein Qalb ki,Majlis mein zuban ki,Ghazab mein haath ki,aur Dasterkhuwan pe Pait ki Hifazat karo.
4 : Jis tarhan Barish Khushk zameen ko zinda kerti hai,
isi tarhan Suhbat-e-Ulma se Dil zindz hota hai.
5 : Badgumani ko apne ooper ghalib mat aane do,werna
tumhein dunia mein koi aur Hamdard na mil sake ga.
6 : Aqal adab ke sath aisi hai jaise ke derakht samer k sath,aur Aqal baghair adab aisi hai jaise ke derakht be samer..............
Must Read Roz padhne ke qurani Azkaar
-Fajr ki Namaz ke baad: (Para 22) & (PARA 30)
Fazilat:Surah Yaseen Quran shareef ka Dil hai, Jis ne 1 martaba SURAH YASIN ki tilawat ki ALLAH Rabbul Izzat use 10 QURAN PAK padhne ka sawab ata karenge.-Zohar ki Namaz ke baad:( Para 26)
-Asar ki Namaz ke baad( Para 30)Fazilat:Is surah ke padhne par Dil me Yaqeen & Noor paida hota hai.
-Maghrib ki Namaz ke baad:( Para 27)
- Isha ki Namaz ke baad:(Para 21)& ( Para 29)Fazilat: Surah Mulk ka har Raat ko padhte rahne Azaab khabar se Najat ka sabab & Azaab Jahannum se bhi.-Huzoor Sallallahu Alaihi wa Sallam is waqt tak nahe sote the jab tak Surah al Sajda & Surah Mulk na padh lete.Juma ke din :( Para 15)Fazilat:Is Surah ka padhne Zameen wa Aasmaan tak Noor paida karta hai,8 Din woh Noor khayam rahta hai, Phir iske padhne wale ko yeh saara Noor Qabar me & Qabar ke baad Qayamat me diya jayeaga.
Jume ke din:( Para 28)Jume ke din Surah Juma ko padhe Tum me se sab se accha woh shaqs hai Jo QURAN Seekhe & Sikhaye.
Subscribe to:
Posts (Atom)