November 29, 2012
WASEELA KI HAQEEQAT
WASEELA KI HAQEEQAT
Asalam-0-Alaikum wr wb
Bismillah-ir-rahmanir-raheem
1-Kuch Log Kehte Hain Waseela Zaruri Hai,Kuch Kehte Hain Waseela Zaruri Nahi Hai…..
Waseelay Ka Inkaar Hum Nai Kr Skte Kyun K Waseelay Ka Zikr Quran Me 2 Baar Aya Hai.
Allah Farmate Hain K Allah Ki Taraf Waseela Talash Karo
1) Quran 5:35
Ae Eemaan Walo!Khdua Se Darte Raho Aur Us Ka Qurb Hasil Karne Ka Zariya Talash Karte Raho Aur Us Ke Raste Main Jahaad Karo Taa-Ake Dastgaari Paao.
2) Quran 17:57
"Yeh Log Jin Ko Khuda Ke Siwa Pukaarte Hain Wo Khud Apne Parwardigaar Ke Haan Zariya-E-Taqqar ab Talash Karte Rehete Hain Ke Koun Un Main Khuda Ka Ziada Muqqrab Hota Hai Aur Us Ki Rehmat Ke Umeedwar Rehte Hain Aur Us Ke Azaab Se Khof Rakhte Hain.Be Shak Tumhare Parwardigar Ka Azaab Darne Ki Cheez Hai."
Inn Do Ayaat Se Ye Baat Crystal Clear Hai K Waseela Jaiz Hai………
Ab Kuch Log Kehte Hain K Waseela Zinda Logo Ka Hota Hai Lekin Phr Quran Ki Ayaat Hum Se Keh Rahi Hain K Shaheed To Zinda Hote Hain: )
Quran 2:154
"AUR JOH LOG KHUDA KI RAAH MAIN MARE JAAYEN UN KI NISBAT YEH NA KEHNA KE WOH MARE HUE HAIN WOH MURDA NAHI BALKE ZINDAA HAIN LEKIN TUM NAHI JAANTE. "
Quran 3:169
Joh Loug Khuda Ki Raah Main Maare Gaye Un Ko Mare Hue Na Samjhna Who Mare Hue Nahi Hain Balke Khuda Ke Nazdeek Zinda Hain Aur Un Ko Rizq Mill Raha Hai."
Ab Ye Baat Bhi Prove Ho Gae Inn Do Ayaat Se K Jo Allah Ki Rah Me Maare Jaen Unhe Murda Na Kaho Wo Zinda Hain……..
Lekin Yahan Pe Ek Baat Clear Krna Zaruri Hai K Jo Log Bhi Shaheed Hue Hain Wo Qabro Me Ja Chukay Hain.
Ab Hamein Quran Ki Ayaat Se Decide Krna Hai K Hamein Waseela Kin Ko Bnana Hai Apne Amaal Ko, Zinda Zahir Logo Ko Ya Phr Jo Qabro Me Ja Chukay Hain Un Ko.
Note: Shaheed Bhi Zinda Hai Or Dunya Me Rehne Wale Bhi Zinda Hain Fark Itna Hai K Ek Qabar Me Hai Or Ek Nai.
Lets C What Quran Says:
1))) Hazrat Moosa(A.S) Ne Allah Se Kaha K Hazrat Haroon(A.S) Ko Mera Wazir(Madad Gaar) Bnaen:
Quran 20:29-30
Aur Mere Ghar Waloun Main Se Aik Ko Mera Wazeer Yaani Madadgaar Muqarrar Farma.
30
Yaani Mere Bhai Haroon Ko.
Us Waqt Hazrat Haroon(A.S) Qabar Me Nai Ja Chukay Thay.
2))) Hazrat Suleman(A.S) Ne Apne Samne Bethe Hue Jin Or Insaan Thay Un Se Kaha K Kon Takht Lane Me Meri Madad Kare Ga:
Quran 27:38-41
"Sulaimaan Ne Kaha Ke Ae Darbaar Walo! Koi Tum Main Se Aisa Hai Ke Qabal Is Ke Keh Wo Loug Farmaabardaar Ho Kar Hamare Paas Aayen Malka Ka Takhat Mere Paas Le Aaye."
39
"Jinnat Main Se Aik Qawi Haikal Jinn Ne Kaha Ke QabalIs Ke Keh Ap Apni Jaga Se Uthain Main Is Ko Aap Ke Paas La Hazir Karta Hoon Aur Mujhe Is Par Qudrat Bhi Haasil Hai Aur Amanat Daar Bhi Hoon."
40
"Aik Shakhs Jis Ko Kitaab-E-Ilaahi Ka Ilm Tha Kehne Laga Ke Main Aap Ki Aankh Ke Jhapakne Se Pehle Pehle Isse Ap Ke Paas Haazir Kiye Deta Hoon.Jab Sulaiman A.S. Ne Takhat Ko Apne Paas Rakha Hua Daikha Toh Kaha Ke Ye Mere Parwardigar Ka Fazal Hai Taa-Ake Mujhe Aazmaaye Ke Main Shukar Karta Hoon Ya Kufraan-E-Naima t Karta Hoon Aur Joh Shukar Karta Hai Toh Apne Hi Faaide Ke Liye Shukar Karta Hai Aur Joh Nashukri Karta Hai Toh MeraParwardigar Be Parwa Aur Karam Karne Wala Hai."
41
"Sulaimaan Ne Kaha Ke MalkaKe Imtihaan-E-Aqaa l Ke Liye Is Ke Takhat Ki Soorat Badal Do.Daikhain Ke Wo Soojh Boojh Rakhti Hai Ya Un Lougon Main Se Hai Joh Soojh Nahi Rakhte."
Us Waqt Wo Shaks Qabar Me NaiJa Chuka Tha Jis Se Hazrat Suleman(A.S) Ne Madad Maangi.
3))) Allah Momino Ko Hukum De Rahe Hain K Neki K Kaamo Me EkDusre Ki Madad Kiya Karo:
Quran 5:22
"Naiki Aur Parhaizgai Ke Kamon Main Aik Doosre Ki Madad(Help) Kia Karo Aur Gunnah Aur Zulm Ki Batoun Main Madad Na Kia Karo Aur Khdua Se Darte Raho.Kuch Shak Nahi Ki Khuda Ka AzaabSakht Ha Yahan Un Momino Se Khitaab Nai Ho Raha Hai Jo Qabar Me Ja Chukay Hain."
4))) Hazrat Ibrahim(A.S) Ne Khana.E.Kaaba Ki Tameer Ko Waseela Bnaya:
Quran 2:128
"AE PARWARDIGAAR, HAM KO APNA FARMAANBARDAAR BANAYE RAKHIYO.AUR HAMARI AULAAD MAIN SE BHI AIK GIROH(GROUP) KO APNA MATEE BANATE REHIYO, AUR PARWARDIGAAR HAMAIN HAMARE TAREEQA-E-IBADA T BATA AUR HAMARE HAAL PAR REHEM KE SATH TAWAJOH(ATTENTI ON) FARMA. BESHAK TU TAWAJOH FARMANE WALA MEHERBAAN HAIYahan Hazrat Ibrahim(A.S) Ne Achay Amal Ko Waseela Bnaya"
5))) Hazrat Moosa(A.S) Ne Apni Qoum Ko Sikhaya K Allah Par Yakeen Ko Waseela Bnao:
Quran 10:86
"Aur Apni Rehmat Se Qoum-E-Kuffar Se Nijaat Bakhash."
Yahan Par Emaan Ko Waseela Bnaya Gya.
6))) Hazrat Yousuf(A.S) K Bhaiyon Ne Apne Walid Ki Dua Ko Waseela Bnaya:
Quran 12:98
"Unhoun Ne Kaha Ke Main Apne Parwardigaar Se Tumhare Liye Bakhshish Maangoon Ga.Be Shak Wo Bakhashne Wala MeherbaanHai."
Us Waqt Un K Walid Qabar Me Nai Ja Chukay Thay.
Inn Sari Ayaat K Baad Ek Bht Hi Simple Si Example Dun Ga Jo K Hum Sab Daily Routine Me Observe Krte Hain:
Hum Jab Bhi Bemar Hote Hain To Doctor K Paas Jate Hain Or UsKo Waseela Bnate Hain Shifa K Liye Lekin Jab Wo Doctor Qabar Me Chala Jata Hai To Kbhi Bhi Us Ki Qabar Pe Ja K Us Ko Waseela Nai Bnate.
Jo Shaheed Qabar Me Ja Chukay Hain Wo Beshak Zinda Hain Lekin Allah K Paas:
Quran 3:169
"Joh Loug Khuda Ki Raah Main Maare Gaye Un Ko Mare Hue Na Samjhna Who Mare Hue Nahi Hain Balke Khuda Ke Nazdeek Zinda Hain Aur Un Ko Rizq Mill Raha Hai."
Qayamat K Din Wo Apni Qabro Se Dubara Uthaye Jaen Gai:
Quran 80:21
"Phir Us Ko Mout Di Phir Qabar Main Dafan Karaya."
Qruan 22:77
"Aur Ye Ke Qiamat Aane Wali Hai.Is Main Kuch Shak Nahi.Aur Ye Ke Khuda Sab Lougon Ko Joh Qabroun MainHain Jala Uthaye Ga."
23:16
"Phir Qiamat Ke Din Utha Khare Kiye Jao Ge"
Note: “”Qayamat K Din”"
Iss K Baad Ek Bht Hi Payari Ayat Allah Ne Naazil Ki Or Wo Hai:
Note:
"“”Qayamat Tak”"Wo Hamari Pukaar Nai Sun Skte Lekin Jab Qayamat K Din Sunen Gai To Hamare Dushman Ho Jaen Gai."
Ye Ayat Pat’thar K Devi,Devta(Idol s) K Liye Nai Hai Kyun K Qayamat K Din Wo Zinda Nai Hon Gai Wo To Be.Jaan Hain.
Umeed Krta Hun K Waseelay Se Related Jinho Ne Ye Note Parha Hoga Un Ko Samajh Me Aya Ho Ga.
November 27, 2012
Sohbat (sambhog) karne ka Tariqa
Asalam-0-Alaikum wr wb
BISMILLAH IR-RAHMANIR-RAHIM
Sohbat (Sambhog) Karne ka tariqa
Huzoor Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
"Tum me se jo koi apni Biwi ke pas jaye to Parda kar le aur Gadhe ki tarah na shuru ho jaye"
(Ibne Maja,Jild 1,Safa 538, Hadees no 1990,Bab no 616)
Ummulmomenin Hazrat Aayesha Siddiqa Radiallaho Anha se Riwayat he ki Huzoor Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
"Jo Mard apni biwi ka hath usko behlane ke liye pakadta he,
Allah ta'ala uske liye 1 neki likh deta he,
Jab mard pyar se Aurat ke gale me hath dalta he uske haq me 10 nekiya likhi jati he,
Aur jab Aurat se Sohbat karta he to Duniya aur jo kuch usme he un subse behtar ho jata he"
(Gunyatuttalebin Safa 113)
Sohbat se pehle khud bechain na ho jaye apne aap par pura itminan rakhe jaldbaji na kare pehle biwi se Pyar Muhabbat ki batchit kare fir bos wa kinar (Kiss) wagaira se usko razi kare aur isi duran dil hi dil me ye dua padhe:
"Bismillahil Aliyul Azime Allaho Akbar Allaho Akbar"
Tarjuma: "Allah ke nam se Jo bujurg wa Bartar ajmatwala he. Allah bahut bada he. Allah bahut bada he.
iske bad jab mard,Aurat, Sohbat ka irada kar le to kapade jism se alag karne se pehle ek martaba "Surah ikhlas" Padhe
"Kul huwallaho Ahad. Allahussamad. Lam-ya-lid. Walam yoolad walam ya kullahu kufuwan ahad."
Surah ikhlas padhne ke bad ye dua padhe
"Bismillahi Allahumma jannib nash shaitana wa janne bish shaitana ma rajak tana."
Tarjuma: "Allah ke nam se. Ae Allah door kar humse shaitan mardud ko aur door kar shaitan mardud ko us Aulad se jo tu hume ata karega"
(Bukhari sharif, Jild 3, Safa 473)
Hazrat ibne Abbas Radiallaho Anhu se Riwayat he ke Huzoor Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
"Jo shaks is dua ko Sohbat ke waqt padhega (Dua wahi jo upar likhi he) to Allah us padhnewale ko agar Aulad ata farmaye to us Aulad ko Shaitan kabhi bhi nuksan na pahuncha sakega"
(Bukhari sharif Jild 3,Safa 85, Tirmizi sharif,Jild 1,Safa 557)
Huzoor Gause Aazam Shaikh Abdul Qadir Jilani wa Hazrat Muhkkike islam shaikh Abdul haq mohoddas dahalwi aur Aala hazrat imam Ahmad Raza Khan irshad farmate he
"Agar koi shaks sohbat ke waqt dua na padhe to us shaks ki sharmgah se shaitan lipat jata he aur us mard ke sath shaitan bhi us Aurat se sohbat karne lagta he. Aur jo aulad paida hoti he woh na farman,buri aadatwali,Begairat,Bad-deen hoti he. Shaitan ki is dakhl andaji ki wajahse Aulad me Tabahkari aa jati he"
(Gunyatuttalebin Safa 116, Fatwa-E-Razviya, Jild 9,Safa 48)
Inzal (Mani nikalte waqt) ki Dua:
Jis waqt inzal ho yani mard ki Mani uske Uzoo-E-Tanasul se nikal kar Aurat ki Sharmgah me dakhil hone lage us waqt dil hi dilme ye dua padhe:
"Allahumma-LaTaja'al Lish Shaitane Fi-M-Razkatni Nasi-ba"
Tarjuma: "Aye Allah shaitan ke liye hissa na bana usme Jo(Aulad)
tu hume ata kare"
(Hisne Hasin Safa 165, Fatwa-E-Razviya Jild 9,Safa 161)Nazarahmed Khan
At 9:43 AM
Share
Subscribe to:
Posts (Atom)