October 5, 2013

SAHIH MUSLIM HADITH


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Mafhum-e-Hadith: Qabr mein honey wala ek sawal,Tu inkey (Rasoollallah Sallalllahu Alaihi wasallam ke) baarey kein kya kaha karta tha ?

Anas bin malik radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallaho Alaihi wasallam ne farmaya banda jab apni Qabr mein rakha jata hai aur uskey saathi jab peeth mod kar jatey hain to wo unki jutiyon ki aawaz sunta hai phir do farishtey uskey paas aatey hain usko bithatey hain aur us sey kahtey hain tu in shaksh ke baarey mein kya kaha karta tha( yani Muhammed Sallallahu alaihi wasallam ke baarey mein) momeen kahta hai Main gawahi deta hun ki wo Allah ke bandey hain aur uskey Rasool hain, Allah taala un par apni Rahmat aur salam bhejey, us sey kaha jata hai ki tu apna (pichla) thikana dekh jahannam mein , Allah taala ne iskey badley tujhe jannat mein thikana diya, Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya wo apney dono thikaney dekhta hai, Qatada ne kaha Anas ne humse zikr kiya ki uski Qabr 70 haath chodi ho jati hai aur sabzey se bhar jati hai (yani bageecha ban jata hai) Qayamat tak.
Sahih Muslim , Vol6, 7216


English Translation:
Anas b. Malik Radi allahu anhu reported Allah's Apostle (may peace be upon him) said: When the servant is placed in his grave and his companions retrace their steps arid he hears the noise of the footsteps, then two angels come to him and make him sit and say to him: What you have to say about this person (Prophet Peace be upon him)? If he is the believer, it would say: I bear testimony to the fact that he is a servant of Allah and His Messenger. Then it would be said to him: Look to your (previous) seat in the Hell- Fire, for Allah has substituted (the seat of yours) with a seat in Paradise. Allah's Messenger (may peace be upon him) said: He would be shown both the seats. Qatada said: It was mentioned to us that his grave (the grave of a believer) expands to seventy cubits and is full with verdure until the Day when they would be resurrected.
Sahih Muslim, Book 040, Number 6862:

------------------------------------------------------


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim


Mafhum-e-Hadith: Hazrat umar ko dekhkar Shaitan raasta badal deta tha


Saad Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki hazrat Umar Radi-Allahu-Anhu ne Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam se andar aaney ki ejazat maangi aur aapkey pass us waqt Quraish ki aurtein baithi thi aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam se baatein kar rahi thi aur bahut bakwas kar rahi thi aur unki aawazin buland thi aur jaisey hi hazrat umar ne aawaz di wo uth kar bhag gayee jhupney ke liye , Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne hazrat umar ko ejazat de di (andar aaney ki) aur Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam hans rahey they Hazrat umar Radi-Allahu-Anhu ne kaha ki Ya Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam Allah aapko hansta hua rakhey , Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne farmaya mujhe tajjub hua un aurton par jo mere pass baithi thi aur tumhari aawaz suntey hi pardey mein bhag gayee , hazrat umar ne farmaya Ya Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam aapsey unko ziyada darna chahiye tha , phir un aurton se hazrat umar ne kaha ki eh apni jaan ki dushmano tum mujhse darti ho Allah ke Rasool Sallallahu-Alaihi-Wasallam se nahi darti , un aurton ne kaha tum sakht aur gussey waley ho banisbat Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ke. Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya qasam hai uski jiskey qabzey mein meri jaan hai (Eh umar) shaitan jab tumko kisi raah mein chalta hua milta hai to us raah ko jismein tum chaltey ho usey chorh deta hai aur dusri raah mein chala jata hai.
Sahih Muslim, , Vol 6, 6202


English Translation:

Sa'd b. Waqqas reported that Umar sought permission from Allah's Messenger (may peace be upon him) to visit him when some women of the Quraish were busy in talking with him and raising their voices above his Voiee. When'Umar sought permission they stood up and went hurriedly behind the curtain. Allah's Messenger (may peace be upon him) gave him permission smilingly. Thereupon Umar Radi-Allahu-Anhu said: Allah's Messenger Sallallahu-Alaihi-Wasallam may Allah keep you happy all your life. Then Allah's Messenger peace be upon him said: I wonder at these women who were with me and no sooner did they hear your voice, they immediately went behind the curtain. Thereupon 'Umar said: Allah's Messenger, you have more right that they should fear you. Then Umar (addressing the women) said: O ye enemies of yourselves, do you fear me and fear not the Messenger of Allah peace be upon him ? They said: Yes, you are harsh and strict as compared to the Messenger of Allah peace be upon him . Thereupon, Allah's Messenger Sallallahu-Alaihi-Wasallam said: By Him in Whose Hand is my life, if satan would encounter you in the way he would certainly take a different way from that of yours.
Sahih Muslim, Book 031, Number 5899:

-----------------------------------------------------------


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Mafhum-e-Hadith: Usman Radi-Allahu-Anhu se farishtey bhi sharam kartey hain
(The Angels show modesty to the uthman Radi-Allahu-Anhu)


Ummul momeneen aayesha Radi allahu anha se rivayat hai ki Rasoollallah
Sallallahu-Alaihi-Wasallam apney ghar mein laitey huye they raney ya pindliyan
kholey huye itney mein Abu baker Radi Allahu Anhu ne ejazat maangee aap
Sallallahu Alaihi wasallam ne Ejazat dee isi haal mein baatein kartey rahey phir
hazrat umar Radi Allahu Anhu ne Ejazat chahi unko bhi Ejazat dee aur isi haal mein
baatein kartey rahey phir hazrat usman Radi Allahu Anhu ne Ejazat chahee to
Rasoollallah Sallallaho Alaihey wasallam baith gaye aur kapdey barabar kiye phir
wo aaye aur baatein ki jab wo chaley gaye to hazrat aayesha Radi allahu anha ne
kaha abu bakr aaye aapney kuch khayal na kiya phir umar aaye aapney kuch khyal
na kiya phir hazrat usman aaye aap baith gayeaur aapney kapdey
durast kiye Aap Sallallaho Alaihey wasallam ne farmaya kya main sharam na karu
us shaksh se jis shaksh se farishtey sharam kartey hain.
Sahih Muslim, Vol 6 , 6209

English Translation:

Aisha Radi-Allahu-Anha reported: Allah's Messenger peace be upon him was lying in the bed in my apartment with his thigh or his shank uncovered that Abu Bakr radi allahu anhu sought permission to get in. It was given to him and he conversed in the same very state (the Prophet's thigh or shank uncovered). Then Umar radi allahu anhu sought permission for getting in and it was given to him and he conversed in that very state. Then 'Uthman radi allahu anhu sought permission for getting in; Allah's Messenger peace be upon him sat down and he set right his clothes. He ('Uthman) then entered and conversed and as he went out, A'isha Radi allahu anha said: Abu Bakr radi allahu anhu entered and you did not stir and did not observe much care (in arranging your clothes), then Umar radi allahu anhu entered and you did not stir and did not arrange your clothes, then Uthman entered and you got up and set your clothes right, thereupon he said: Should I not show modesty to one whom even the Angels show modesty.
Sahih Muslim Book 031, Number 5906

--------------------------------------------------------


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim


Mafhum-e-Hadith: Hazrat Ali, Fatima, Hasan , Hussain Radi-Allahu-Anhuma bhi Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ke Ahl-e-Bait hain

Ummul Momineen Aayesha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam subah ko nikley aur
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ek chaadar odhey huye they itney mein sayyidna Hasan Radi Allahu Anhu aaye to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne unko Chaadar ke andar kar liya, Phir sayyidna Hussain Radi Allahu Anhu aaye to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne unko bhi Chaadar ke andar kar liya, Phir Fatima Radi Allahu Anha aayi to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne unko bhi Chaadar ke andar kar liya phir Hazrat Ali Radi Allahu Anhu aaye to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne unko bhi Chaadar kar andar le liya isky baad Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah taala chahta hai ki dur karey tumse napaki ko Eh Ahal-e-bait ( Eh Ghar walo), aur Paak karey tumko
Sahih Muslim, Vol6, 6261

ENGLISH TRANSLATION:

Aisha radi allahu anha reported that Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam went out one morning
wearing a striped cloak of the black camel's hair that there came Hasan Radi Allahu Anhu He Sallallahu Alaihi Wasallam
wrapped him under it, then came Husain Radi Allahu Anhu and he Sallallahu Alaihi Wasallam wrapped him under it along
with the other one (Hasan). Then came fatima Radi Allahu Anha and he Sallallahu Alaihi Wasallam took her under it, then came
'Ali Radi Allahu Anha and he Sallallahu Alaihi Wasallam also took him under it and then said: Allah only desires to take away
any uncleanliness from you, O people of the household, and purify you (thorough purifying)
Sahih Muslim, Book #031, Hadith #5955

--------------------------------------------------------

Bismillah-Hirrahman-Nirrahim


Mafhum-e-Hadith: Hazrat Ali, Fatima, Hasan , Hussain Radi-Allahu-Anhuma bhi Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ke Ahl-e-Bait hain

Ummul Momineen Aayesha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam subah ko nikley aur
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ek chaadar odhey huye they itney mein sayyidna Hasan Radi Allahu Anhu aaye to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne unko Chaadar ke andar kar liya, Phir sayyidna Hussain Radi Allahu Anhu aaye to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne unko bhi Chaadar ke andar kar liya, Phir Fatima Radi Allahu Anha aayi to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne unko bhi Chaadar ke andar kar liya phir Hazrat Ali Radi Allahu Anhu aaye to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne unko bhi Chaadar kar andar le liya isky baad Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah taala chahta hai ki dur karey tumse napaki ko Eh Ahal-e-bait ( Eh Ghar walo), aur Paak karey tumko
Sahih Muslim, Vol6, 6261

ENGLISH TRANSLATION:

Aisha radi allahu anha reported that Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam went out one morning
wearing a striped cloak of the black camel's hair that there came Hasan Radi Allahu Anhu He Sallallahu Alaihi Wasallam wrapped him under it, then came Husain Radi Allahu Anhu and he Sallallahu Alaihi Wasallam wrapped him under it along with the other one (Hasan). Then came fatima Radi Allahu Anha and he Sallallahu Alaihi Wasallam took her under it, then came 'Ali Radi Allahu Anha and he Sallallahu Alaihi Wasallam also took him under it and then said: Allah only desires to take away any uncleanliness from you, O people of the household, and purify you (thorough purifying)
Sahih Muslim, Book #031, Hadith #5955

------------------------------------------------------------


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim


Mafhum-e-Hadith: Umar bin khattab Radi-Allahu-Anhu ka jannat mein mahal

Jabir Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne farmaya mein jannat mein gaya aur wahan ek ghar ya mahal dekha mainey pucha ye kiska hai ? unhoney ( farishton ne) ne kaha ye Umar bin khattab Radi-Allahu-Anhu ka hai mainey andar jana chaha phir tumhari gairat ka mujhe khayal aaya ye sunkar hazrat umar roye aur arz ki YA Rasoollallah Sallallahu-Alaihi-Wasallam kya main aapkey jane se gairat karta ?
Sahih Muslim, Vol 6, 6198 

ENGLISH TRANSLATION:

Jabir may Allah be pleased with him reported Allah's Messenger Peace be upon him as saying: I entered Paradise and saw in it a house or a palace. I said: For whom is it belong to ? They (the Angels) said: It is for 'Umar b. Khattab may Allah be pleased with him . I intended to get into it but I thought of your feelings. Thereupon 'Umar may Allah be pleased with him wept and said: O Apostle of Allah Peace be upon him , could I feel any jealousy in your case?
Sahih Muslim Book 031, Number 5896 

----------------------------------------------------

Bismillah-Hirrahman-Nirrahim


Hadith: Jismein ye sab baatein ( ek saath) jama ho jaye to wo jannati hai

Abu Hurairah Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya Aaj tum mein se kaun rozedar hai Abu Bakr Radi-Allahu-Anhu ne kaha Main, phir farmaya Aaj ke din tum mein se kaun Janazey ke saath gaya , Abu Bakr Radi-Allahu-Anhu ne kaha Main, Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne farmaya Aaj ke din tum mein se kisney Miskeen ko khana khilaya to Abu Bakr Radi-Allahu-Anhu ne kaha Mainey , Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne farmaya Aaj ke din kisney beemar ki ayadat ki Abu bakr ne kaha mainey to Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne farmaya jismein ye sab baatein ( ek saath) jama ho jaye to wo jannati hai
Sahih Muslim, Vol 6, 6182


Abu Huraira reported that Allah's Messenger (may peace be upon him) said: Who amongst you is observing fastthis day? Abu Bakr Radi-Allahu-Anhu said: It is I. He Peace be upon him said: Who amongst you has followed the bier today? Abu Bakr said: It is I. He Peace be upon him again said: Who amongst you has served food to the needy? Abu Bakr said: It is I. He Peace be upon him said: Who amongst you has today visited the sick? Abu Bakr said: It is I. Thereupon Allah's Messenger Peace be upon him said: He must get into Paradise who combines in himself (all these noble qualities and virtues).
Sahih Muslim, Book 031, Number 5880

------------------------------------------------------


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim


Hadith: Agar tu mujhe na paye to Abu bakr ke pass jana


Jubair b. Mut'im Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki ek aurat ne Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam se kuch pucha Aap Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya phir Aana (yani baad mein aana) wo boli Ya Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam agar main phir aau aur aapko na pauu to ? to Aap Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya agar tu mujhe na paye to Abu bakr (Radi-Allahu-Anhu)ke pass jana
Sahih Muslim, Vol 6, 6179

ENGLISH TRANSLATION:

Muhammad b. Jubair b. Mut'im Radi-Allahu-Anhu reported on the authority of his father that a woman asked Allah's Messenger (may peace be upon him) about something but lit, told her to come to him on some other occasion, whereupon she said: What in your opinion (should I do) if I come to you but do not find you, and it seemed as if she meant that he might die. Thereupon he said: If you do not find me, then come to Abu Bakr.
Sahih Muslim, Book 031, Number 5878

---------------------------------------------------


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim


Mafhum-e-Hadith: Aaysha Radi-Allahu-Anha aur Abu bakr , Umar Radi-Allahu-Anhuma ka Muqam

Amr b. al-'As Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne unhey zaat-As-Salasil ke lashkar ke saath bheja , wo Aapkey pass aaye aur pucha ki Ya Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam sab logon mein aapko kis sey ziyada muhabbat hai Aap Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya Aayesha (Radi-Allahu-Anha) se unhoney kaha ki mardo mein kis se ziyada muhabbat hai Aap Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya unkey Walid ( Abu Bakr Radi-Allahu-Anhu ) se phir pucha unkey baad kis se muhabbat hai Aap Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya Umar (Radi-Allahu-Anhu ) se yahan tak ki Aapney kayee aadmiyon ka zikr farmaya
Sahih Muslim, , Vol6, 6177

ENGLISH TRANSLATION:

Amr b. al-'As reported that Allah's Messenger (may peace be upon him) sent him in command of the army despatched to Dhat-as-Salasil. When 'Amr b. al-'As came back to the Holy Prophet (may peace be upon him) he said: Who amongst people are dearest to you? He said: A'isha (Radi-Allahu-Anha). He then said: Who amongst men? He said: Her father, ( Abu Bakr Radi-Allahu-Anha)and I said: And who next? He said: Umar (Radi-Allahu-Anha) He then enumerated some other men.
Sahih Muslim, , Book 031, Number 5876

--------------------------------------------------


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim


Mafhum-e-Hadith > Bachchey ki surat ka walid ya walida ki surat se milna


Anas Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya
Mard ki mani gaadi aur safed hoti hai aurat ki mani zard aur patli hoti hai jo koi ek dusrey se sabqat le jaye (yani jiski mani pahely nikal jaye) to bachcha usi ki shakal ka paida hota hai
Sunan Nasaii, Vol 1, 202 (Sahih)


Aisha Radi-Allahu-Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya
Jab Aurat ka nutfa mard ke nutfey par ghalib ho to bachcha apne nanihal ki mushabeh hota hai
Aur jab mard ka nutfa aurat ke nutfey par ghalib ho to bachcha dadihaal par parhta hai
Sahih Muslim, Vol1, 715

ENGLISH TRANSLATION:

Narrated by Anas may ALLAH be pleased with him The Messenger of Allah Peace be upon him said: The man’s water is thick and white, and the women’s water is thin and yellow. Whichever of them comes first, the child will resemble (that father or mother). (Sahih)
Sunan Nasaii, Vol 1, 200


It is reported on the authority of 'A'isha that Messenger of Allah (may peace be upon him) said when the genes contributed by woman prevail upon those of man, the child resembles the maternal family, and when the genes of man prevail upon those of woman the child resembles the paternal family.
Sahih Muslim, Book #003, Hadith #0613

------------------------------------------------------------------


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim


Hadith>> Mooncho ko kam karo aur Dadhiyon ( beard) ko chorh do ( yani badao)

Ibn Umar Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya mooncho ko kam karo aur Dadhiyon ( beard) ko chorh do ( yani badao)
Sunan Nasai, Vol 1, #14
Sahih Muslim, , Vol 1, #600

ENGLISH TRANSLATION:

Ibn Umar may ALLAH be pleased with him said: The Apostle of Allah may peace be upon him ordered us to trim the moustache closely and spare the BEARD.
Sunan Nasai, Vol 1, #14
Sahih Musim, Book #002, Hadith #0499

------------------------------------------------------------------


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim


Mafhum-e-Hadith- Hajj or Umrah Talbiyah

Abdullah bin umar Radi allahu anhuma se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ka labbek pukarna (talbiya parna ) ye tha
LaBbaika Allahumma LaBbaik, Labbaika la sharika Laka Labbaik, Inna-l-hamda wan-ni'mata Laka walmu Lk, La sharika Laka'
( Hazir hu main teri khidmat mein, Ya Allah hazir hu main teri khidmat mein, Hazir hu mein koi sharik nahi tera beshaq sab taarif aur naimat tere liye hi hai aur mulk tera hi hai Aur tera koi sharik nahi)
Sahih Bukhari, Vol2, 1549,
Sahih Muslim, Vol 3, 2811

ENGLISH TRANSLATION:

Abdullah b. 'Umar (Allah be pleased with them) reported that the Talbiya of the Messenger of Allah (may peace be upon him) was this:

LaBbaika Allahumma LABbaik, LABbaika la sharika Laka LABbaik, Inna-l-hamda wan-ni'mata Laka walmuLk, La sharika Laka
(I respond to Your call O Allah, I respond to Your call, and I am obedient to Your orders, You have no partner, I respond to Your call All the praises and blessings are for You, All the sovereignty is for You, And You have no partners with you.)Sahih Bukhari, Vol 2, Book 26, Number 621
Sahih Muslim, Book 007, Number 2667 

---------------------------------------------------


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Mafhum-e-Hadith- Arfa (9 Dhul-Hijja) ike Din ka Roza ek saal guzrey huye aur ek saal aagey aaney waley ka kaffara hai

Abu Qatada al ansari se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam se Arafa (9th of Dhul-Hijja)ke Rozey ke baarey mein pucha to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ye ek saal guzrey huye aur ek saal aagey aaney waley (gunaaho ka)

ka kaffara hai.
Sahih Muslim,0 Vol 3, 2747
Sunan ibn Majah, Vol 1, 1730

ENGLISH TRANSLATION:

Abu Qatada al-Ansari (Allah be pleased with him) reported that the Messenger of Allah (may peace be upon him) was asked about fasting on the day of Arafa (9th of DhuI-Hijja), whereupon he Peace be upon him said: It expiates the sins of the preceding year (a year before) and the coming year ( and a year after).
Sahih muslim, Book 006, 2603
Sunan ibn Majah, Vol 2, 1730

-----------------------------------------------


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim


Hadith: Qurbani karna chahey to apney baal aur nakhun yuhi rahne de ( yani na kaatey)

Ummul Momeneen Aayesha Radi allahu anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jab tum Dhu'l-Hijja ka chand dekho aur tum mein se koi Qurbani karna chahey to apney baal aur nakhun yuhi rahne de ( yani na kaatey)Sahih Muslim , Vol 5, 5119


Umm Salama Radi allahu anha reported Allah's Apostle (may peace be upon him) as saying: If anyone of you intends to offer sacrifice he should not get his hair cut or nails trimmed.
Sahih Muslim Book 022, Number 4870:
------------------------------------------------------


Bismillah irrahman nirrahim

Hadith: Uskey gunaah badan se nikal jaatey hain, yahan tak ki naakhuno ke neechey se bhi nikal jatey hain

Nu'am Al-Mujmir radi allahu anhu se rivayat hai ki main Abu Hurirah Radiallahu anhu ke saath masjid ki chat (roof) par chada unhoney wudhu kiya aur kaha ki mainey Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam se suna ki meri ummat ke log wudhu ke nishaanat ki wajah se Qayamat ke din "Al-Ghurr-ul-Muhajjalun" ( Safaid Peshani aur Safaid haath paaw waley) kah kar bulaye jayengey to tum mein jo koi apni chamak badana chahta hai to wo bada le (yani regular wudhu karta rahey)
Sahih Bukhari, Vol 1, 136

Hazrat usman bin Affan Radi Allahu Anhu se Rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo Shaksh achchi tarah wudhu karey to uskey gunaah badan se nikal jaatey hain, yahan tak ki naakhuno ke neechey se bhi nikal jatey hain
Sahih Muslim, Vol1, 578


------------------------------------------------------------------------------


Narrated Nu'am Al-Mujmir Radiallahu anhu : Once I went up the roof of the mosque, along with Abu Huraira. He perform ablution and said, "I heard the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam saying, "On the Day of Resurrection, my followers will be called "Al-Ghurr-ul-Muhajjalun" ( the person who have white hands ,legs and face) from the trace of Ablution and whoever can increase the area of his radiance should do so (i.e. by performing ablution regularly).'
Sahih Bukhari, Vol 1, Book 4, No. 138:

Uthman b. 'Affan reported: The Messenger of Allah (way peace be upon him) said: He who performed ablution well, his sins would come out from his body, even coming out from under his nails.
Sahih Muslim, Book 002, Number 0476:

-----------------------------------------------------

Bismillah irrahman Nirrahim

Mafhum-e-Hadith: Qabro ki Ziyarat (Visiting The graves)

Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alalihi Wasallam ne farmaya tum Qabro ki Ziyarat kiya karo kyunki wo tumhey maut ki yaad dilati hain.
Sahih muslim, Vol2, 2259

Buraida Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya mainey tumhey mana k

iya tha Qabro ki Ziyarat karney se lekin ab tum Ziyarat karo unki.
Sahih Muslim, Vol5, 5114

Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Qabro ki Ziyarat karo kyunki ye tumhey Aakhirat ki yaad dilati hain
Sunan ibn Majah, Vol 1, 1569 (Sahih)

Ibn Abbas Radi Allahu Anhu farmatey hain ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne qabron ki ziyarat karney wali aurton par laanat farmayee hain
Sunan ibn Majah, Vol 1, 1575 (Sahih)

Abdullah ibn Abbas Radi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Qabro ki ziyarat karney wali aurton par laanat farmayee hai aur isi tarah Qabron par masjid bananey walo aur us par chirag karney walon par bhi laanat farmayee hai
Sunan Abu Dawud, vol 2 , 1459

---------------------------------------------------------------------

Abu Huraira reported: The Apostle of Allah may peace be upon him said visit the graves, for that makes you mindful of death.
Sahih muslim, Book #004, Hadith #2130

Abdullah b. Buraida radi allahu anhu reported that Allah's Messenger (may peace be upon him) said this: I prohibited you from visiting the graves, but (now) you may visit them.
Sahih Muslim, Book #022, Hadith #4866

It was narrated from Abu Hurairah that the Messenger of Allah peace be upon him said: Visit the graves, for they will remind you of the Hereafter.
Sunan Ibn majah, Vol 2, 1569 (Sahih)

It was narrated that Ibn Abbas radi allahu anhu that "The Messenger of Allah peace be upon him cursed women who visit graves.
Sunan Ibn majah, Vol 2, 1575 (Hasan)

Narrated Abdullah ibn Abbas Radi Allahu Anhuma: The Apostle of Allah (peace_be_upon_him) cursed women who visit graves, those who built mosques over them anderected lamps (there).
Sunan Abu Dawud, Book 20, Number 3230:

---------------------------------------------------


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith: sab logon se ziyada mujh par Abu Bakr Radi-Allahu-Anhu ka ehsan hai
Abu Said Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya sab logon se ziyada mujh par Abu Bakr Radi-Allahu-Anhu ka ehsan hai Maal ka bhi aur sohbat ka bhi aur agar main kisi ko khaleel banata to Abu Bakr ko khaleel banata Sahih Muslim, Vol6, 6170

ENGLISH TRANSLATION:

Narrated by Abu Said may Allah be pleased with him Allah's Messenger (may peace be upon him) said: Behold, of all people the most generous toward me in regard to his companionship and his property was Abu Bakr and were I to choose anyone as my bosom friend, I would have chosen Abu Bakr as my dear friend.Sahih Muslim, Book 031, Number 5869

----------------------------------------------------


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim


Al Quran : Gam na karo Allah hamarey saath hai


Agar tum unki ( Rasoollallah ki) madad nahi karogey to Allah unka Madadgar hai (wo waqt yaad karo) jab unko kafiron ne ghar se nikal diya (us waqt) do mein(ek Abu Bakr they) aur Dusrey ( khud Rasoollallah they) jab wo dono Gaar mein they us waqt wo (Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam) apney rafeeq ko tasalli detey they ki Gam na karo Allah hamarey saath hai
Al Quran, At-Taubah, Chapter #9, Verse #40

Hadith: Abu Bakr Siddiq Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki hum gaar mein they aur Mainey Mushriko ke paanw dekhey apney siron par, mainey arz kiya Ya Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam agar unmein se koi apney qadmo ki taraf dekhey to humko dekh lega Aap Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya Eh Abu Bakr tu kya samjhta hai un dono ko, jinkey saath teesra ALLAH bhi hai
Sahih Muslim - Vol6 - 6169

ENGLISH TRANSLATION:

Al Quran: If you help him (Muhammad Peace be upon him ) not , for Allah did indeed help him when the disbelievers drove him out, the second of the two; when they (Muhammad Peace be upon him and abu bakr Radi-Allahu-Anhu ) were in the cave, he (Peace be upon him) said to his companion "Be not sad (or afraid), surely Allah is with us.
Al Quran, At-Taubah, Chapter #9, Verse #40


Hadith: Abu Bakr Siddiq may Allah be pleased with him reported I saw the feet of the polytheists very close to us as we were in the cave. I said: Allah's Messenger, if one amongst them were to see at his feet he would have surely seen us. Thereupon Prophet Peace be upon him said: Abu Bakr, what can befall twain who have Allah as the third One with them.
Sahih Muslim, Book 031, Number 5868

-----------------------------------------------------

Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Mafhum-e-Hadith: Hazrat moosa alaihi salam ne unki Aankh par ek tamancha maara jis sey uski aankh phoot gayee

Abu Hurairah Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya maut ka farishta ( Hazrat izraeel Alaihi Salam) hazrat Moosa Alaihi salam ke pass aaya aur arz kiya ki Eh Moosa apney parwardigar ke pass chalo Hazrat moosa alaihi salam ne unki Aankh par ek tamancha maara jis sey uski aankh phoot gayee wo (farishta) laut kar Allah taala ke pass gaya aur bola Eh Malik tuney mujhe aisey bandey ke pass bheja hai jo marna nahi chahta usney meri aankh phod di Allah taala ne unki Aankh phir Durast kar di aur farmaya ki phir ja mere bandey ke pass aur kah agar tu jeena chahta hai to apna haath ek bail ki peeth par rakh aur jitney balon ko tera haath dhanp le utney baras tu aur jee hazrat moosa ne arz kiya uskey baad kya hoga to farmaya ki uskey baad phir marega, to hazrat moosa alihi salam ne farmaya to abhi marna behtar hai Eh Malik mere mujhko muqaddas zameen se ek paththar ki maar ke faasley se maar Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya Allah ki kasam agar main wahan hota to main tumko hazrat moosa ki qabr bata deta raakh ke Ek janib par Lal lambi ret ke pass
Sahih Muslim, Vol6, 6149

ENGLISH TRANSLATION:

Abu Huraira reported that the Angel of Death was sent to Moses (peace be upon him) to inform of his Lord's summons. When he came, he (Moses) boxed him and his eye was knocked out. He (the Angel of Death) came back to the Lord and said: You sent me to a servant. who did not want to die. Allah restored his eye to its proper place (and revived his eyesight), and then said: Go back to him and tell him that if he wants life he must place his hand on the back of an ox, and he would be granted as many years of life as the number of hair covered by his hand. He (Moses) said: My Lord what would happen then He said: Then you must court death. He said: Let it be now. And he supplicated Allah to bring him close to the sacred land. Thereupon Allah's Messenger (may peace be upon him) said: If I were there, I would have shown you his grave beside the road at the red mound.
Sahih Muslim, Book 030, Number 5851

------------------------------------------------


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim


Mafhum-e-Hadith: Allah taala apney bando par is sey bhi ziyada mehrbaan hai jitni ye aurat (Maa) bacchey par meharban hai


Hazrat Umar radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah sallallho alaihi wasallam ke paas Qaidi aye ek aurat unmein se (kisi ko) dhundhti huyee aayee, jab usney un qaidiyon mein se ek bachchey ko paya to usko utha liya aur seeney se lagaya aur doodh pilaya Rasoollallah sallallho alaihi wasallam ne humse farmaya kya ye Aurat apney bachchey ko angar mein dal sakti hai humney kaha nahi kasam Allah ki wo kabhi nahi dal sakti Aap sallallho alaihi wasallam ne farmaya Allah taala apney bando par is sey bhi ziyada mehrbaan hai jitni ye aurat is bacchey par meharban hai
Sahih Muslim , Vol6, 6978

ENGLISH TRANSLATION:

Umar b. Khattab Radi allahu anhu reported that there were brought some prisoners to Allah's Messenger (may peace be upon him) amongst whom there was also a woman, who was searching (for someone) and when she found a child amongst the prisoners, she took hold of it, pressed it against her chest and provided it suck. Thereupon Allah's Messenger (may peace be upon him) said: Do you think this woman would ever afford to throw her child in the Fire? We said: By Allah, so far as it lies in her power, she would never throw the child in Fire. ' Thereupon Allah's Messenger (may peace be upon him) said: Allah is more kind to His servants than this woman is to her child.
Sahih Muslim Book 037, Number 6635:

Ghar k Elaj (Home Remedies)

ARTHRITIS

arthritis ya ghatiya ka dard jisy kehte hain uske elaj keliye.
250 gm pure honey + honey jitna laingay aap uski double quantity ka garam pani + 1 tea spoon dar cheeni powder.
in sub ko achi tarha mix kar k paste banaye aur dard ki jagah pe apply kijiye.
aap dekho gay k 2 minutes me apka dard kum hojayega.
ye nuskha apko rozana karna hai.
iske elawa 2 tea spoon pure honey + 1 tea spoon dar cheeni powder achi tarha mix kar ke subha + shaam ko ya raat ko khana hai.
aap dekhaingay inshallah apke dard me numaya kumi aajaye gi aur hote hote shifayabi bhi naseeb hojayegi.
------------------------------------------

JISAM KO SMART RAKHNE KLY

ism ko smart rakhne aur motapay se bachne keliye 3 mediam table spoon sonf aik glass boiled pani me daal ker dhak lain aur 1.5 hrs k bad woh glass rozana kisi bhi time piyaien.

-----------------------------------------

PAIT KAM KRNE KLY

boht se log as such motay nahi hotay lakin unka pait barha hua hota hai.
un ashkhaas keliye jo pait se faltu charbi khatam karna chahte hon woh rozana her meal ya khana khane k bad aik tea cup pani me do char mint leaves boil karain aur her meal k bad khalain lakin sugar bilkul add nai karni agar apko peene me boht ziyada karwa lagay to aap isme medical stores se zero calory sweetner pill add kar sakte hain mithas keliye iske elawa raat ko sonay se pehle 15 min keliye walk karna lazmi hai.

----------------------------------------------------

WEIGHT KAM KARNE KLY

wazun kum karne aur motapay k elaj k liye bund gobi lain iske 4 piece karlain. 1 piece subha nihar muh 1 glass pani me paka lain aur namak aur kali mirch mila kar neem garam halat me woh pani pee lain. aur aik ghunte k bad nashta karain.

----------------------------------------