January 19, 2014

QURAN AND HADITH

Bismillahir rahmanir rahim 

Mafhum-e-Hadith: Qayamat se pahle tum log apney imamo ko qatl karne lagoge

Hudhaifah bint Al-Yaman Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya us zaat ki Qasam jiskey haath mein meri jaan hai Qayamat us waqt tak nahi aayegi yahan tak ki tum apne imamo ko qatl karne lagoge aur apni talwaro se aapas mein jung karogey aur tumhare duniyawi kaam kaaj (amur) sabse bure logo ke haath mein aa jayengey
Jamia Tirmidhi, Vol 2, #44- hasan

English Translation:
Hudhaifah bint Al-Yaman narrated that the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said "By the One in Whose Hand is my soul! The Hour will not be established until you fight your A'immah, and you strike each other with your swords, and your world will be inherited by the evilest among you."
Jamia Tirmidhi, Book 7, #2170- Hasan
-----------------------------------

Hadith: Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jisney surah Al-Baqarah ki do aakhri aayatein raat mein parh li wo uskey liye kaafi ho jayegi (aafat se bachney ke liye) 
Sahih Bukhari, Vol 6, 5009 

Abu hurairah Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya apney gharo ko Qabre na banao aur jis ghar mein Surah Al-Baqarah padi jati hai wahan shaitan dakhil nahi hota
Jamia Tiirmidhi , Vol 2, 784-Sahih

------------------------------------------------

Bismillahir rahmanir rahim

Al Quran : Momeen mardon se kah do ki wo apni nazrein neechi rakha karein aur apni Sharmgahon ki (Haram kamon se) hifazat kiya karain
-------------------------------
Urdu Translation:
Al Quran : Momeen mardon se kah do ki wo apni nazrein neechi rakha karein aur apni Sharmgahon ki (Haram kamon se) hifazat kiya karain,ye unkey liye badi pakizagi ki baat hai beshaq Allah jaanta hai jo wo kartey hain . |
{Al Quran , Surah An-Noor (24) ,Verse 30} 

----------------------------------

MAfhum-e-Hadith : sabse bada Gunaah ( The biggest sin)
------------------------------
Urdu Translation:
Abdullah bin Mas'ud Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki mainey pucha ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam kaunsa gunaah sabse bada hai?
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah ke saath kisi ko Sharik karna halanki usi ne tumhey paida kiya ha.,
mainey pucha iskey baad ? ,
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki Apni Aulad ko is khauff se maar dena ki wo tumharey saath tumharey khaney mein sharik hogi.
mainey pucha uskey baad ?
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki apne padosi ki biwi se zina karna.
{Sahih Bukhari, Vol8, 6811}

English Translation:

Narrated Abdullah bin Mas'ud Radi Allahu Anhu, I said, "O Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam ! Which is the biggest sin?" 
He Sallallahu Alaihi Wasallam said, "To set up rivals to Allah by worshipping others though He alone has created you." 
I asked, "What is next?" 
He Sallallahu Alaihi Wasallam said, "To kill your child lest it should share your food." 
I asked, "What is next?" 
He Sallallahu Alaihi Wasallam said, "To commit illegal sexual intercourse with the wife of your neighbor." 
{Sahih Bukhari, Book 82, Number 802}

---------------------------------------
 Hadith ki roshni mein Qayamat ka manzar -

Anas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Qayamat ke din momeeno ko (garam maidan mein) rok diya jayega yahan tak ki uski wajah se wo gamgeen ho jayengey aur kahenge ki kaash koi hamare RAB se hamari Shafaat karta ki humein is halat se nijat milti.

phir wo sab milkar Adam alaihi salam ke pass aayenge aur kaheng ki aap tamam insaano ke baap hain ALLAH ne aapko apne haath se paida kiya aur aapko jannat mein muqam ata farmaya , aapko sazda karne ka farishto ko hukm diya aur aapko har cheez ke naam sikhaye aap hamari shafaat apney RAB ke huzur mein kar dijiye taki humein is halat se nijat mile. Adam alaihi salam kahengey ki main is layaq nahi wo apni us galti ko yaad karenge jo na kahne ke bawajud darkaht kha lene se unse huyee thi Aur kahngey ki Nooh alaihi salam ke pass jao wo pahle nabee hain jinko ALLAH subhanhu ne zameen walo ki taraf Rasool banakar bheja tha

Phir log nooh alaihi salam ke pass aayengey to wo bhi ye farmayenge ki main is layaq nahi aur apni us galti ko yaad karenge jo bagair ilm ke ALLAH subhanahu se (apney betey ki bakhshish ka) sawal karke unhoney ki thi
Aur wo kahnge ki Ibrahim Alaihi salam ke paas jao jo ALLAH ke Khalil hain.

Phir sab log Ibrahim Alaihi slaam ke pass jayenge to wo bhi yahi kahngey ki main is layaq nahi aur wo us teen baato ko yaad karenge jin mein aapne ba-zahir galat bayani ki thi aur kahenge ki Moosa alaihi salam ke pass jao wo aisey bandey hain jinhey ALLAH subhanahu ne taurat di aur unse baat ki aur unhe baat karney ke liye apney nazdeek kiya.

Phir log Moosa Alaihi salam ke pass aayengey to wo bhi yahi kahngeki main is layaq nahi aur wo galti yaad karenge jo ek shaksh ko qatl karke unhone ki thi phir wo kahenge Isa alaihi salam ke pass jao wo Allah ke bandey aur uskey rasool aur RoohAllah aur uska kalima hain.

Phir log isa alaihi salam ke pass jayengey to wo kahngey ki main is layaq nahi aap log Muhammed Sallallahu Alaihi Wasallam ke pass jao wo aisey bandey hain ki ALLAH ne unke agle pichle gunah maaf kar diye hain.

Phir log mere pass aayengey aur main apney RAB se uske dar par ( yani arsh mualla par) aane ke liye ejazat maangunga. Mujhe iski ejazat di jayegiPhir mein ALLAH subhanahu ko dekhtey hi sazdey mein chala jauunga Aur ALLAH jab tak chahega mujhe usee halat mein rahne dega phir farmayega ki eh Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam sir uthao aur kaho , tumahri baat suni jayegi , shafaat karo tumhari shafaat qubul ki jayegi aur jo maangonge diya kayega

Phir main apna sir uthauunga aur apne RAB ki hamd aur sana karunga Jo wo mujhe sikhayega uskey baad main Shafaat karunga, mere liye hadd muqarrar kar di jayegi aur main uske mutabiq logo ko dozakh se nikal kar jannat mein dakhil karunga

Qtada Radi Allahu Anhu ne kaha ki Anas Radi Allahu Anhu ne farmaya
Ki (Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya)main phir (dusri baar ) logo ko dozakh se nikalunga aur jannat mein dakhil karunga.

Phir teesri martaba apne RAB se iske liye (dozakh se musalmano ko nikalne ke liye ) ejazat mangunga Mujhe iski ejazat di jayegi Phir se mein ALLAH subhanahu ko dekhtey hi sazdey mein chala jauunga Aur ALLAH jab tak chahega mujhe use halat mein rahne dega phir farmayega ki eh Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam sir uthao aur kaho , tumahri baat suni jayegi , shafaat karo tumhari shafaat qubul ki jayegi aur jo maangoge diya jayega

Phir main apna sir uthauunga aur apne RAB ki hamd aur sana karunga Jo wo mujhe sikhayega uskey baad main (phir se) Shafaat karunga, mere liye had muqarrar kar di jayegi aur main uske mutabiq logo ko dozakh se nikal kar jannat mein dakhil karunga, yahan tak ki wahi log baqi rah jayngey jinhey Quran ne rok rakha hoga yani unhey hamesha usmein rahna hoga
( kyunki Quran mein RAB ye farma chuka hai kaafir aur mushrik hamesha dozakh mein rahenge) phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne ye aayat tilawat ki

عَسَىٰ أَن يَبْعَثَكَ رَبُّكَ مَقَامًا مَّحْمُودًا
(Qareeb hai ki aapka RAB aapko muqam-e-mehmood tak pahucha de)farmaya yahi wo muqam –e-mehmood hai jiska liye ALLAH subhanhu ne apne Habeeb Sallallahu Alaihi Wasallam se wada kiya hai
Sahih Bukhari, Vol 8, 7440

--------------------------------------------

Hadith: ALLAh usey qayamat ke roz har tarah ke khauff aur ghabrahat se mutmaeen uthayega

Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Jo raah-e-khuda mein tainati ki halat mein is duniya se gaya to jo bhi ( achcha) amal wo karta tha
ALLAH subhanahu uska ajar jaari farma dega aur Allah iska rizq bhi (Qabr mein) jari farma dega Aur wo Qabr ki aazmayeesh se mehfooz rahega aur ALLAh usey qayamat ke roz har tarah ke khauff aur ghabrahat se mutmaeen uthayega
Sunan ibn Majah, Vol 2, 924-Sahih

-------------------------------------------
It was narrated from Abu Hurairah that the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said:
“Whoever dies being prepared in the cause of Allah, will be given continuously the reward for the good deeds that he used to do, and he will be rewarded with provision, and he will be kept safe from Fattan ( fitna or punishment of grave) and Allah will raise him on the Day of Resurrection free of fright.”
Sunan ibn Majah, Vol. 1, Book 24, Hadith 2767-Sahih

--------------------------------------