September 22, 2014

EID-UL-ADHA-- FAZAIL WA MASAIL

EID-UL-ADHA-- FAZAIL WA MASAIL

Bismillah

 ASHRAH DHUL-HIJJAH
Dhul-hijjah islami saal ka 12 wa mahina hai, 
waise toh saara mahina khair o barkat wala hai, 
lekin iske pahle 10 dino Ko khususi sharf haasil hai
jaise ke hadith shareef me haihz
ibn abbas (ra) bayan karte hain ke
nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh)
ne irshad farmaya:-"
ashrah dhul hijjah ke amaal e swaaleh allah taala
ko jis qadr mahboob wa pasand hain,
dusre dino ke aamal is qadr mahboob nahi,
sahaba kiram (ra) ne arz kiya:-"
aiy allah ke rasool nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) !
Dusre dino ka jihad bhi ?
Aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-"
dusre dino ka jihad bhi is qadr mahboob nahin, haan mujaahid apni jaan aur maal allah taala ke
raaste me qur'ban karde toh aisa jihad afzal
aur pasandeedah ho sakta hai "
🌼(bukhari, tohfatul ahwazi jild 2 pg 58,
Abu dawood jild 1 pg 332,
miftah al haja sharah ibn majah pg 125,
baihaqi jild 4 pg 285, mishkat jild 1 pg 127-128)🌼

TAKBEERAAT

Dhul-hijjah ka chand dekhte hi
takbiraat kahni shuru kar deni chahiye,
chalte firte, uthte baithte takbeeraat kahte
rahna chahiye jaise ke hadith me haihz abullah bin umar (ra) aur hz abu hurairah (ra),
dhul hijjah ke pahle
10 dino me jab bazaar ki taraf tashreef le jaate toh
(chalte firte ) takbeerein kahte aur
log bhi unke saath takbeerein kahte "
🌼(bukhari jild 1 pg 132)🌼

TAKBEERAAT KE ALFAAZ

" allahu akbar, allahu akbar, la illaha illah, wallahu akbar wallahu akbar wallilahil hamd , allahu akbar allahu akbar allahu akbar kabeera "

🌼(dare kutni jild 2 pg 50)🌼
ek aur riwayat me hai ke hz abdullah bin umar (ra) bayan karte hain ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-
" dhul hijjah ke pahle 10 din allah taala ke nazdeek bahut hi azmat aur Buzurgi waale hain aur in dino ke nek aamaal allah ke nazdeek zyada mahboob hain ba'nisbat dusre dino ke pas tum in dino me kasrat se tahleel,
takbeer aur tamheed kaho,
yani takbeerein wagerah kasrat se padha karo "
(mutawaffiq alaih )

HAJAAMAT

Jis shakhs ki taraf se qurbani karni ho toh us shakhs ko chahiye ke wah ashrah dhul hijjah ke dauraan apni hajaamat na banwaaye,
dhul hijjah ka chand nazar aane se pahle apni
hajaamat wagerah banwa sakta hai, kyonke qurbani karne wale ke mutaallik hadith me hai,ummul momineen
hz umme salma (ra) bayaan karti hain ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-
" jis shakhs ke paas qurbani ka jaanwar ho, aur wah usko qurbani ke din qurbani ke liye zibah karna chaahta hai toh usko chahiye ke jab se dhul hijjah ka chand nazar aajaye toh wah apnebaal aur naakhun wagerah na katwaaye
(yani hajamat na karwaaye)
yahan tak ke wah qur'bani kare "
🌼( muslim jild 2 pg 140, abu dawood jild 2 pg 30, baiheqi jild 9 pg 266, miskaat jild 1 pg 127)🌼
jis shakhs me qurbani karne ki taaqat nahi toh usko bhi chahiye ke wah bhi ashrah dhul hijjah me hajaamat na banwaaye,eid ke baad hajaamat banwaaye toh allah taala usko apni rahmat se qurbani ka sawab inaayat farma dega,
jaise ke hadith me hai,jab ek aadmi ne nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se arz kiya ke mere paas qurbani ke liye toh koi jaanwar nahin,
lekin mere paas ek doodh denewala jaanwar hai,
(adam iste'taat ka izhaar kiya ),
kya main uski qurbani kar lun ??
Toh nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-
" nahin ! Balketu eid ki namaz ke baad apne baal aur naakhun aur moochhen katwa aur apnezer e naaf baal moondh le,
bas allah taala ke nazdeek yahi teri poori qurbani hai "🌼( abu dawood jild 2 pg 29, nisaai jild 2 pg 201)🌼
lihaaza qurbani ki poori iste'taaat na Rakhne waalon ki tarah dhul hijjah ka chaand dekh kar hajaamat na karwaayen, eid ki namaz ke baad hajaamat karwaayen,

ARFAH KE DIN KA ROZA

dhul hijjah ki 9wi taareekh ko roza rakhne ki bhi badi fazilat hai,
jaise ke hadithme hai,nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-
" mujhe ummeed hai arfah ke roze ke sawaab ki allah taala ek saal ghujashta aur ek saal aainda ke gunaah maaf kar dega "
🌼( muslim jild 1 pg 367, tohfa ahwazi jild 2 pg 55-56, abu dawood jild 1 pg 329, baiheqi jild 2 pg 283)🌼

EIDAIN KA ROZA

Eidain ( eid ul fitr aur eid ul adha )
ka roza rakhna mana hai, isliye ke hadith
me hai
hz abu saeed khudri (ra) riwayat karte hain ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne:-
" eid ul fitr aur eid ul adha ke din roza rakhne se mana kiya hai "
🌼( bukhari jild 1 pg 267, muslim jild 1 pg 360. Abu dawood jild 1 pg 328, tohfatulahwazi jild 2 pg 26, daarimi page 353,)🌼

EIDAIN KE DIN KHAANA

Eid ul fitr ki namaz padhne ke liye kuch kha pee kar jaana chaahiye,
aur eid ul adha ke din eid ki namaz padhkar kuch khaana peena chahiye,
jaisa ki hadith me haihz abdullah bin bareeda (ra) apne baap se riwayat karte hain,
wah kahte hain ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) :-
" eid ul fitr ke din (eid ul fitr ki namaz padhne ke liye) nahin nikalte they yahan tak ki kuch khaa pee lete,
aur eid ul adha ke din nahin khaate they,
yahan tak ki eid ki namaz padh lete
🌼( tohfatul ahwazi jild 1 pg 380, darimi jild 1 pg 314, baihaqi jild 3 pg 283)🌼

EIDGAAH KI TARAF PAIDAL JAANA

Eidgaah ki taraf paidal jaana sunnat hai,
jaise ke hadith me hai,
ibn umar (ra) bayaan karte hain ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) eidgaah ki taraf paidal chal kar jaate ( eid ki namaz padhne ke liye, eid ki namaz padhkar )
waapas aate they (iski sanad me abdul rahman bin Abdullah umri zaeef hai ) "
🌼( miftah al hajah sharah ibn majah 93, baiheqi jild 3 pg 281)🌼
ek aur riwayat me is tarah hai,hz ali (ra) farmate hain ke:-
" ye sunnat hai ke eidgaah ki taraf paidal jaana chahiye aur
( eid ul fitr ki taraf ) jaane se pahle kuch kha pi lena chahiye "
(tohfatul ahwazi jild 1 pg 373)
sunnat yahi hai ke eidgaah ki taraf paidal chalkar jaaye aur waapas bhi paidal chalkar aayen,
haan ! Agar kamzor aur mareez hai,
ya eidgaah door faasle par hai,
itna chalne ki taaqat nahi toh phir
sawaari par bhi aana jayez hai,
agarchah imam baiheqi ne abu dawood ke hawale se likha hai ke waapsi par sawaar ho kar aasakta hai
🌼(baiheqi jild 3 pg 281)🌼

TAKBEERAAT

Eidgaah ki taraf jaate waqt aur
Waapas aate waqt jahar se takbeeraat padhni
chahiye, jaise ke marwi hai,
hz nafe (ra) riwayat karte hain ,
hz ibn umar (ra) se ke:-
" ibn umar (ra) eid ul azha aur eid ul fitr ke
din jab eidgah Ki taraf jaate toh buland
awaaz se takbeerein kahte, yahan tak ke
eidgaah me pahunch jaate phir eidgah me bhi
pahunch kar takbeerein kahte, yahan tak ke imam sahab aajaate, eid ki namazpadhaane ke liye "
🌼( daar e kutni jild 2 pg 45)🌼
is baare me aur bhi riwayat daare kutni 🌼(kitabul eidain )
jild 12, baiheqi ( bab takbeer ) jild 3 pg 278,🌼
me mazkoor hai,
lekin un riwayat ki sanad haisiyat kawi nahin,
haan !
Aurtein raaste me buland aawaz se
takbeeraat na kahen,
balke wah apne munh me aahista aahista posheedah sirri aawaz se padhen.....

🌹AURTON KO EIDGAH ME LE JAANA🌹

Aurton ka mardon ke saath eidgah me jana sunnat hai,
is baare me bukhari pg 133,
muslim jild 1 pg 291,
tohfatul ahwazi jild 1 pg 379,
abu dawood jild 1 pg 41,
nisaai jild 1 pg 131, darimi jild 1 pg 314,
baiheqi jild 3 pg 306,
me riwayat milti hain jinka khulasa ye hai
hz umme atiya (ra) bayan karti hai ke nabi e akram sallalaho Alaihi wasallam (pbuh) ne hamen is baat ka huqm diya hai ke :-
" ham apni naujawaan aur haizwaali aur pardah naseeh khwaateen ko eid ul fitr aur eid ul adha ke mauqe pareidgaah ki taraf le jaayen
(taake wah eid ki namaz ada karen )
aur musalmanoki duaon aur bhalaai me shareek hon,
"haan haiz wali aurtein namaz se alaiheda (alag) rahen,
hz umme atiya (ra) kahti hain ke maine arz kiya:-
" aiy allah ke rasool !
Kisi ke paas chadar nahin hoti ?"
aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-
" uski ( musalman saheli, padosi ) bahem usko
apni chadar pahna de "

🌹EIDAIN KI NAMAZ MAIDAN ME🌹

Hz ali (ra) farmate hain ke:-" eidain ki namaz sahra aur maidaan me padhna sunnat hai "
🌼(majmua al zawaid jild 1 pg 223)🌼

🌹EIDAIN KI NAMAZ MASJID ME🌹

Kisi gharz ki wajah se eidain ki namaz masjid me bhi padhi ja sakti haihz abu hurairah (ra) bayaan karte hain ke ek
dafa eid ke din baarish hogayi
Toh baarish ki wajah se nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne eid ki namaz sahaba kiram (ra) ko masjid me padhaai
🌼( abu dawood jild 1 pg 164, miftah al hajah sharah ibn majah pg 94)🌼


FITNA TAKFIR----- UN SABKO KAFIR KAHNA JO HAMARI MUKHALIFAT KARTE HAI



Aj kal kuch log har us shaks ko kAFIR kAHTE HAI jo unki mukhalifat (oppose) karta hai. ALLAH HAME AESE TAKFEER se bACHAE AAMEEN YA RAB.
 Ye ARTICLE UN TAKFEERIO BHAIYO OR BEHANO ke liye NASHIAT HAI. 

Allah pak Quran e majeed me farmate hai

Dehaati log kehtay hain kay hum emaan laye. Aap keh dijiye kay darhaqeeqat tum emaan nahi laye lekin tum yun kaho kay hum islam laye(Muslim hue) halankay eeman to abhi tak tumharay dilon mein dakhil hi nahi hua hai.

Surah Hujurat (49), ayat: 14.

RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya

” Wo Log jinhone Eeman ki kalemaat kahe hai lekin eeman to abhi tumhare dilo me dakhil bhi nahi hua hai! Musalmano ki burai mat karo na hi unki galtiya nikalo, kyuki jo bhi unki galtiya nikalega toh Allah uski galtiya nikalega wo kyuna apne ghar me hi ho. “

Narrated by Abu Dawood, no. 4880; classed as saheeh (authentic) by al-Albaani.



ULEMA e DEEN KE RAAE KUCH IS TARHA HAI:


Sheikh Ibn Taymiyah raheemaullah farmate hai

فالإمام أحمد رضي الله تعالى عنه ترحم عليهم ( يعني الخلفاء الذين تأثروا بمقالة الجهمية الذين زعموا القول بخلق القرآن ، ونصروه ) واستغفر لهم ، لعلمه بأنه لم يتبين لهم أنهم مكذبون للرسول ، ولا جاحدون لما جاء به ، ولكن تأولوا فأخطأوا ، وقلدوا من قال ذلك لهم

Imam Ahmad r.a. ne unlogo (wo Khalifa jo Jahamis  ke raae se mutassir hue aur unki himayat ki jinka dawa ye tha ki Quran makhlook hai) ke liye rahmat aur magfirat ki duae ki, kyuki unhe pata tha ki unlogo ko ye waazeh nahi hua tha ki wo RasoolAllah aur jo wo laye the usse kufr kar rahe the balki unhe galat tasawwur hua tha aur unhone galti ki thi aur unki pairwi ki jinlogo ne unhe ye kaha tha. End quote.

Majmoo’ al-Fataawa (23/349).



Shaykh ul Islam raheemaullah farmate hai

وأما التكفير فالصواب أن من اجتهد من أمة محمد صلى الله عليه وسلم وقصد الحق فأخطأ لم يكفر ، بل يغفر له خطؤه

Takfeer  ke silsile me sahih Raae ye hai ki Muhammad ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ke Ummati maise ek shaks jo kisi masaael me sach janne ki jiddo jahad karta hai, lekin kisi galat natije pe pahochta hai, to aeso ke liye Kafir hone ka tasawwur nahi karna chaiye, balki wo apni galti ke liye muaf kar diya jayenge.

[Majmoo' al-Fataawa (3/229)].



Sheikh Ibn Taymiyah raheemaullah farmate hai

هذا مع أني دائماً ومن جالسني يعلم ذلك مني ، أني من أعظم الناس نهياً عن أن ينسب معين إلى تكفير وتفسيق ومعصية ، إلا إذا علم أنه قد قامت عليه الحجة الرسالية التي من خالفها كان كافراً تارة ، وفاسقاً أخرى ، وعاصياً أخرى ، وإني أقرر أن الله قد غفر لهذه الأمة خطأها ، وذلك يعم الخطأ في المسائل الخبرية القولية والمسائل العملية . وما زال السلف يتنازعون في كثير من هذه المسائل ، ولم يشهد أحد منهم على أحد لا بكفر ولا بفسق ولا بمعصية

Taaham(however), jo mere sath baithta hai use mere bareme ye pata hai, Ham unlogo maise hai jo hamesha zor dekar kisi khas shaks ko Kafir, Faasiq ya gunahgaar kahne se mana karte hai, jab tak ke ye pata na chal jaye ki shariah ki dalail us par wazeh ho chuki hai, aur ye sabit ho jaye ki wo Kafir, Fasiq ya gunahgaar hai. Mai ye Daawe se kahta hu ki Allah ne is ummah ko muaf kar diya hai un khatao ke liye jo dastan (narrative) ya amali(practical) muamle ke ho. Salaf  in maise boht se muamlo  me musalsal bahes karte rahe  lekin un maise kisi ne bhi ek dusre ko Kafir, Fasiq ya gunahgaar hone ki gawahi nahi di.

[Majmoo' al-Fataawa (3/229)].


Shaykh Ibn Baaz r.a. se ek ahkaam ke bareme pucha gaya tha ki kisi khas jamaat me shamil hona aur sirf usi jamaat ke Tarike ki pairwi karna aur kisi dusre jamaat ki nahi. Unhone farmaya:

” Har shaks ke upar ye lazim hai ki wo sach par amal kare, jo Allah aur us ke Rasool ne farmaya hai, naahi kisi ek jamaat ke tarike par chahe wo Ikhwan al-Muslimeen ho ya Ansaar al-Sunnah ya koi aur jamaat. Use haq par amal karna chaiye. Agar wo Ansaar al-Sunnah me shamil hota hai aur unhe madad karta hai un muamlo me jinme wo sach ki pairwi karta hai, ya fir agar wo Ikhwan al-Muslimeen me shamil hota hai aur wo ittifak karta hai un muamlo me jisme wo log sach ki pairwi karte hai bina intihai(extreme) me jaye ya bina Gafil hue, to usme koi harj nahi hai. Lekin agar wo unke aqido me yakeen kare aur kabhi na fire unse, to iski ijazat nahi hai. Use haq par amal karna hai wo chahe use kahi bhi le jaye. Agar haq Ikhwan al-Muslimeen ke sath hai to use us par amal karna chaiye ya agar Ansaar al-Sunnah ke sath hai to us par pairwi karna chaiye ya agar kisi aur jamaat ke sath hai to us par pairwi karni chaiye. Use haq par amal karna chaiye aur sare jamaat ki madad karni chaiye haq ke hawale se lekin use kisi khas tarike ke soch par amal nai karna chaiye, use tark na karte hue, chahe agar baad me wo galat ya batil hi nikle.  Ye galat hai aur iski ijazat nahi hai. Use un jamaat ke sath rahna chaiye jisme wo sahih hai aur un ke sath un muamlat me nahi rahna chaiye jo galat hai.

[Majmoo' Fataawa wa Maqaalaat Mutanaawi'ah li Samaahat al-Shaykh al-'Allaamah 'Abd al-'Azeez ibn Baaz (may Allaah have mercy on him), p. 237].



Shaykh Muhammad ibn ‘Uthaymeen ne farmaya

Jadeed daur me Kuch log jinhone salafiyyah ka rasta apnaya unlogo ne har us shaks ko gumraah kahna shuru kar diya jo unse ikhtilaf karta hai yaha tak ke agar wo shaks sahih ho, aur kuch logo ne Hibz ka rasta apnaya jis tarha se dusre groh(parties) ne apnaya tha jo apne ap ko Mazhab e Islam se hone ka dawah karte hai. Ye kuch aesa hai jo na-pasandida hai aur jiski manzuri nahi di ja sakti, aur unlogo se ye kahna chaiye: Salaf as saleh ke tarike ko dekho, wo kya kiya karte the? Un ke tarike ko dekho aur kaise wo khule dil ke the jab ikhtilaf ki surat aati thi jisme ijtihaad jaiyz hai (aur ikhtilaf kabile qubul hai). Woh bade masail me bhi Ikhtilaf karte the, eeman aur amal ke masail me. Ap ko kuch chize milengi, jaise, RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ka Allah ko dekhne pe inkar karna jab ki dusro ne kaha ki unhone dekha hai. Apne  kuch ko ye kahte hue dekha hoga ki qayamat ke din jo chiz tauli(weighted)  jayegi wo hai aamaal jab ki dusre log kahte the ki wo  to aamaal ki kitab hai jo tauli jayengi. Ap unhe dekhenge ki wo Fiqh ke muamlo me bhi kafi had tak ikhtilaf karte the, jaise Nikah, wirasat ka hissa, khareed aur farokhqt, aur dusre muamlo me. Lekin is ke bawujud unhone ek dusre ko gumraah nahi kaha.

Salafiyyah ek khas Jamaat ke taur par jiski alag khushusiyat ho jisme log un logo ke siwa sabko gumraah kahe, in logo ka salafiyyah se kuch lena-dena nahi hai. Jaha tak ke salafiya jiska matlab salaf ki pairwi karna eeman me, kalimaat aur aamaal me, ittihad, mutabqat aur shafkat aur muhabbat ke taraf bulana jaisa ki RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya: “Momin ke Misaal ek jism me Muhabbat, rahmat aur shafkat ki tarha hai; jab koi ek hisse me takleef hoti hai toh fir baaki hissa bhi us ke sath jaagta hai aur bukhar me shamil ho jata hai- YE ASAL SALAFIYYAH HAI

[Liqaa'aat al-Baab al-Maftooh, 3/246]



Shaykh ul Hadeeth Umar Siddique jo ki ek Salafi ulema hai (Gujran wala Pakistan se)

Maine Shaykh Umar Siddique se pucha Shaykh Shanqiti ke fatawe ke mutallik ki kya wo sahih hai ya galat, Unhone farmaya hamne kabhi bhi ye Dawah nahi kiya hai ki sirf ham hi log jannat me jayenge, hamara maukuf ye hai ki saare log jannat me jayenge siwae mushrikeen ke yaha tak ke Bidatee bhi qayamat ke din jannat me jayenge saza ke baad in shaa Allah, aur unhone ek hadith ka hawala diya

“Jannat ke logo ki 120 kataar(rows) hai jisme se 80 is ummat se hai aur 40 dusri ummat se.”

(Reported by al-Tirmidhi, 3469; he said this is a hasan hadeeth)


Shaykh Saalih al Munajjid farmate hai:

Jannat ke sawal ke hawale se  ki woh sirf Ahl as-Sunnah jamaat hi hai. Ye galat raae hai. Kisi bhi ulema ne aesa nahi kaha hai; balki Muhammad ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ke sabhi ummati jinhone un ke pukar ka jawab diya wo jannat me dakhil honge; koi isse mahroom nahi rahega siwae un ke jo apne aediyo ke bal palat jaye aur unhone apne Islam ko mansukh kar diya wo amal kar ke jo unhe Islam se mukammal taur par bahar karde, aur wo Biddati jo shariah ke khilaf gaye aur ahl as- Sunnah se ikhtilaf kiya, wo un ahle tauheed ke gunah gaaro ki tarah pesh honge Allah ki marzi se jo azmat wala buland hai: agar usne chaha to wo saza dega aur agar usne chaha to wo muaf kar dega, fir sabka aakhri mukaam Jannat hoga, agar uski maut Tawheed par hui hai.


Shaykh Ibn Taymiyyah farmate hai

“ومَن قال إن الثنتين والسبعين فِرقة كل واحد منهم يكفر كفراً ينقل عن الملة : فقد خالف الكتاب والسنَّة وإجماع الصحابة رضوان الله عليهم أجمعين ، بل وإجماع الأئمة الأربعة وغير الأربعة ؛ فليس فيهم مَن كفَّر كلَّ واحد من الثنتين وسبعين فرقة”

Jo  ye kahta hai ki saare 72 firqo ne kufr kiya is tarah se jisse wo Islam ke bahar aa gae ho to wo Quran, Sunnah, sahabao ke ijma aur char Imam ke Ijma aur dusro ke khilaf gaya hai. In maise koi bhi nahi hai jisne sare 72 firqo ko kafir samjha. End quote.
Majmoo‘ al-Fataawa, 7/218 [Islamqa fatwa no. 159301]


Abu Huraira r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya, “Agar koi shaks apne (Muslim) bhai ko Kafir kahta hai to beshak undono maise koi ek (kafir) hai.” [matlab agar jise kafir kaha ja raha hai wo kafir na hua to jisne kafir kaha hai wo kafir ho jata hai].

 Sahih al-Bukhari, hadith- 6103.

Thabit bin Ad-Dahhak r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya, “Jisne ek momin pe lanat ki to wo aesa hai ki usne uska katl kiya aur jisne ek momin ko Kafir kaha to ye aesa hai ki usne usko maar dala.”

 Sahih al-Bukhari, 6105.


In sare hawalo se ye pata chalta hai ki TAKFEER kARNA GALAT  HAI, isse RasoolAllah aur ulemao ne mana farmaya hai. Sochne ki baat hai ki kisi Dusre par Kafir ka fatawa lagana farz nahi hai, agar koi ho ga bhi to uska muamla Allah se hai. Ham risk kyu le. Allah hame Takfeer karne ke jahalat se bachae. AAMEEN YA RABBUL ALAMEEN