Aj kal kuch log har us shaks ko kAFIR kAHTE HAI jo unki mukhalifat (oppose) karta hai. ALLAH HAME AESE TAKFEER se bACHAE AAMEEN YA RAB.
Ye ARTICLE UN TAKFEERIO BHAIYO OR BEHANO ke liye NASHIAT HAI.
Allah pak Quran e majeed me farmate hai
Dehaati log kehtay hain kay hum emaan laye. Aap keh dijiye kay darhaqeeqat tum emaan nahi laye lekin tum yun kaho kay hum islam laye(Muslim hue) halankay eeman to abhi tak tumharay dilon mein dakhil hi nahi hua hai.
Surah Hujurat (49), ayat: 14.
RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya
” Wo Log jinhone Eeman ki kalemaat kahe hai lekin eeman to abhi tumhare dilo me dakhil bhi nahi hua hai! Musalmano ki burai mat karo na hi unki galtiya nikalo, kyuki jo bhi unki galtiya nikalega toh Allah uski galtiya nikalega wo kyuna apne ghar me hi ho. “
Narrated by Abu Dawood, no. 4880; classed as saheeh (authentic) by al-Albaani.
ULEMA e DEEN KE RAAE KUCH IS TARHA HAI:
Sheikh Ibn Taymiyah raheemaullah farmate hai
فالإمام أحمد رضي الله تعالى عنه ترحم عليهم ( يعني الخلفاء الذين تأثروا بمقالة الجهمية الذين زعموا القول بخلق القرآن ، ونصروه ) واستغفر لهم ، لعلمه بأنه لم يتبين لهم أنهم مكذبون للرسول ، ولا جاحدون لما جاء به ، ولكن تأولوا فأخطأوا ، وقلدوا من قال ذلك لهم
Imam Ahmad r.a. ne unlogo (wo Khalifa jo Jahamis ke raae se mutassir hue aur unki himayat ki jinka dawa ye tha ki Quran makhlook hai) ke liye rahmat aur magfirat ki duae ki, kyuki unhe pata tha ki unlogo ko ye waazeh nahi hua tha ki wo RasoolAllah aur jo wo laye the usse kufr kar rahe the balki unhe galat tasawwur hua tha aur unhone galti ki thi aur unki pairwi ki jinlogo ne unhe ye kaha tha. End quote.
Majmoo’ al-Fataawa (23/349).
Shaykh ul Islam raheemaullah farmate hai
وأما التكفير فالصواب أن من اجتهد من أمة محمد صلى الله عليه وسلم وقصد الحق فأخطأ لم يكفر ، بل يغفر له خطؤه
Takfeer ke silsile me sahih Raae ye hai ki Muhammad ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ke Ummati maise ek shaks jo kisi masaael me sach janne ki jiddo jahad karta hai, lekin kisi galat natije pe pahochta hai, to aeso ke liye Kafir hone ka tasawwur nahi karna chaiye, balki wo apni galti ke liye muaf kar diya jayenge.
[Majmoo' al-Fataawa (3/229)].
Sheikh Ibn Taymiyah raheemaullah farmate hai
هذا مع أني دائماً ومن جالسني يعلم ذلك مني ، أني من أعظم الناس نهياً عن أن ينسب معين إلى تكفير وتفسيق ومعصية ، إلا إذا علم أنه قد قامت عليه الحجة الرسالية التي من خالفها كان كافراً تارة ، وفاسقاً أخرى ، وعاصياً أخرى ، وإني أقرر أن الله قد غفر لهذه الأمة خطأها ، وذلك يعم الخطأ في المسائل الخبرية القولية والمسائل العملية . وما زال السلف يتنازعون في كثير من هذه المسائل ، ولم يشهد أحد منهم على أحد لا بكفر ولا بفسق ولا بمعصية
Taaham(however), jo mere sath baithta hai use mere bareme ye pata hai, Ham unlogo maise hai jo hamesha zor dekar kisi khas shaks ko Kafir, Faasiq ya gunahgaar kahne se mana karte hai, jab tak ke ye pata na chal jaye ki shariah ki dalail us par wazeh ho chuki hai, aur ye sabit ho jaye ki wo Kafir, Fasiq ya gunahgaar hai. Mai ye Daawe se kahta hu ki Allah ne is ummah ko muaf kar diya hai un khatao ke liye jo dastan (narrative) ya amali(practical) muamle ke ho. Salaf in maise boht se muamlo me musalsal bahes karte rahe lekin un maise kisi ne bhi ek dusre ko Kafir, Fasiq ya gunahgaar hone ki gawahi nahi di.
[Majmoo' al-Fataawa (3/229)].
Shaykh Ibn Baaz r.a. se ek ahkaam ke bareme pucha gaya tha ki kisi khas jamaat me shamil hona aur sirf usi jamaat ke Tarike ki pairwi karna aur kisi dusre jamaat ki nahi. Unhone farmaya:
” Har shaks ke upar ye lazim hai ki wo sach par amal kare, jo Allah aur us ke Rasool ne farmaya hai, naahi kisi ek jamaat ke tarike par chahe wo Ikhwan al-Muslimeen ho ya Ansaar al-Sunnah ya koi aur jamaat. Use haq par amal karna chaiye. Agar wo Ansaar al-Sunnah me shamil hota hai aur unhe madad karta hai un muamlo me jinme wo sach ki pairwi karta hai, ya fir agar wo Ikhwan al-Muslimeen me shamil hota hai aur wo ittifak karta hai un muamlo me jisme wo log sach ki pairwi karte hai bina intihai(extreme) me jaye ya bina Gafil hue, to usme koi harj nahi hai. Lekin agar wo unke aqido me yakeen kare aur kabhi na fire unse, to iski ijazat nahi hai. Use haq par amal karna hai wo chahe use kahi bhi le jaye. Agar haq Ikhwan al-Muslimeen ke sath hai to use us par amal karna chaiye ya agar Ansaar al-Sunnah ke sath hai to us par pairwi karna chaiye ya agar kisi aur jamaat ke sath hai to us par pairwi karni chaiye. Use haq par amal karna chaiye aur sare jamaat ki madad karni chaiye haq ke hawale se lekin use kisi khas tarike ke soch par amal nai karna chaiye, use tark na karte hue, chahe agar baad me wo galat ya batil hi nikle. Ye galat hai aur iski ijazat nahi hai. Use un jamaat ke sath rahna chaiye jisme wo sahih hai aur un ke sath un muamlat me nahi rahna chaiye jo galat hai.
[Majmoo' Fataawa wa Maqaalaat Mutanaawi'ah li Samaahat al-Shaykh al-'Allaamah 'Abd al-'Azeez ibn Baaz (may Allaah have mercy on him), p. 237].
Shaykh Muhammad ibn ‘Uthaymeen ne farmaya
Jadeed daur me Kuch log jinhone salafiyyah ka rasta apnaya unlogo ne har us shaks ko gumraah kahna shuru kar diya jo unse ikhtilaf karta hai yaha tak ke agar wo shaks sahih ho, aur kuch logo ne Hibz ka rasta apnaya jis tarha se dusre groh(parties) ne apnaya tha jo apne ap ko Mazhab e Islam se hone ka dawah karte hai. Ye kuch aesa hai jo na-pasandida hai aur jiski manzuri nahi di ja sakti, aur unlogo se ye kahna chaiye: Salaf as saleh ke tarike ko dekho, wo kya kiya karte the? Un ke tarike ko dekho aur kaise wo khule dil ke the jab ikhtilaf ki surat aati thi jisme ijtihaad jaiyz hai (aur ikhtilaf kabile qubul hai). Woh bade masail me bhi Ikhtilaf karte the, eeman aur amal ke masail me. Ap ko kuch chize milengi, jaise, RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ka Allah ko dekhne pe inkar karna jab ki dusro ne kaha ki unhone dekha hai. Apne kuch ko ye kahte hue dekha hoga ki qayamat ke din jo chiz tauli(weighted) jayegi wo hai aamaal jab ki dusre log kahte the ki wo to aamaal ki kitab hai jo tauli jayengi. Ap unhe dekhenge ki wo Fiqh ke muamlo me bhi kafi had tak ikhtilaf karte the, jaise Nikah, wirasat ka hissa, khareed aur farokhqt, aur dusre muamlo me. Lekin is ke bawujud unhone ek dusre ko gumraah nahi kaha.
Salafiyyah ek khas Jamaat ke taur par jiski alag khushusiyat ho jisme log un logo ke siwa sabko gumraah kahe, in logo ka salafiyyah se kuch lena-dena nahi hai. Jaha tak ke salafiya jiska matlab salaf ki pairwi karna eeman me, kalimaat aur aamaal me, ittihad, mutabqat aur shafkat aur muhabbat ke taraf bulana jaisa ki RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya: “Momin ke Misaal ek jism me Muhabbat, rahmat aur shafkat ki tarha hai; jab koi ek hisse me takleef hoti hai toh fir baaki hissa bhi us ke sath jaagta hai aur bukhar me shamil ho jata hai- YE ASAL SALAFIYYAH HAI
[Liqaa'aat al-Baab al-Maftooh, 3/246]
Shaykh ul Hadeeth Umar Siddique jo ki ek Salafi ulema hai (Gujran wala Pakistan se)
Maine Shaykh Umar Siddique se pucha Shaykh Shanqiti ke fatawe ke mutallik ki kya wo sahih hai ya galat, Unhone farmaya hamne kabhi bhi ye Dawah nahi kiya hai ki sirf ham hi log jannat me jayenge, hamara maukuf ye hai ki saare log jannat me jayenge siwae mushrikeen ke yaha tak ke Bidatee bhi qayamat ke din jannat me jayenge saza ke baad in shaa Allah, aur unhone ek hadith ka hawala diya
“Jannat ke logo ki 120 kataar(rows) hai jisme se 80 is ummat se hai aur 40 dusri ummat se.”
(Reported by al-Tirmidhi, 3469; he said this is a hasan hadeeth)
Shaykh Saalih al Munajjid farmate hai:
Jannat ke sawal ke hawale se ki woh sirf Ahl as-Sunnah jamaat hi hai. Ye galat raae hai. Kisi bhi ulema ne aesa nahi kaha hai; balki Muhammad ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ke sabhi ummati jinhone un ke pukar ka jawab diya wo jannat me dakhil honge; koi isse mahroom nahi rahega siwae un ke jo apne aediyo ke bal palat jaye aur unhone apne Islam ko mansukh kar diya wo amal kar ke jo unhe Islam se mukammal taur par bahar karde, aur wo Biddati jo shariah ke khilaf gaye aur ahl as- Sunnah se ikhtilaf kiya, wo un ahle tauheed ke gunah gaaro ki tarah pesh honge Allah ki marzi se jo azmat wala buland hai: agar usne chaha to wo saza dega aur agar usne chaha to wo muaf kar dega, fir sabka aakhri mukaam Jannat hoga, agar uski maut Tawheed par hui hai.
Shaykh Ibn Taymiyyah farmate hai
“ومَن قال إن الثنتين والسبعين فِرقة كل واحد منهم يكفر كفراً ينقل عن الملة : فقد خالف الكتاب والسنَّة وإجماع الصحابة رضوان الله عليهم أجمعين ، بل وإجماع الأئمة الأربعة وغير الأربعة ؛ فليس فيهم مَن كفَّر كلَّ واحد من الثنتين وسبعين فرقة”
Jo ye kahta hai ki saare 72 firqo ne kufr kiya is tarah se jisse wo Islam ke bahar aa gae ho to wo Quran, Sunnah, sahabao ke ijma aur char Imam ke Ijma aur dusro ke khilaf gaya hai. In maise koi bhi nahi hai jisne sare 72 firqo ko kafir samjha. End quote.
Majmoo‘ al-Fataawa, 7/218 [Islamqa fatwa no. 159301]
Abu Huraira r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya, “Agar koi shaks apne (Muslim) bhai ko Kafir kahta hai to beshak undono maise koi ek (kafir) hai.” [matlab agar jise kafir kaha ja raha hai wo kafir na hua to jisne kafir kaha hai wo kafir ho jata hai].
Sahih al-Bukhari, hadith- 6103.
Thabit bin Ad-Dahhak r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya, “Jisne ek momin pe lanat ki to wo aesa hai ki usne uska katl kiya aur jisne ek momin ko Kafir kaha to ye aesa hai ki usne usko maar dala.”
Sahih al-Bukhari, 6105.
In sare hawalo se ye pata chalta hai ki TAKFEER kARNA GALAT HAI, isse RasoolAllah aur ulemao ne mana farmaya hai. Sochne ki baat hai ki kisi Dusre par Kafir ka fatawa lagana farz nahi hai, agar koi ho ga bhi to uska muamla Allah se hai. Ham risk kyu le. Allah hame Takfeer karne ke jahalat se bachae. AAMEEN YA RABBUL ALAMEEN
No comments:
Post a Comment