January 5, 2014

HOW TO BE SUCCESSFUL IN LIFE!

BISMILLAH-IR RAHMAN-IR-RAHIM

60.08 Jin logon ney tum say deen kay baray mein laraee nahi lari aur tumhen jila watan nahi kiya unn kay sath salook-o-ehsan kerney aur munsifana bhalay bartao kerney say Allah Taalaa tumhen nahi rokta bulkay Allah Taalaa to insaf kerney walon say mohabbat kerta hai.

"Allah does not forbid you concerning those who do not fight you because of religion and do not expel you from your homes from being righteous towards them and acting justly towards them. Indeed, Allah loves those who act justly." (The Quran 60:8)
---------------------------
76.08 Aur Allah Taalah ki mohabat mein khana khilatay hein miskeen yateem aur qediyon ko.

76.09 Hum to tumhein sirf Allah Taalah ki raza mandi kay liye khilatay hein na tum say badla chatay hein na shuker guzari.

"And they give food in spite of their love for it to the poor, the orphan, and the captive, [Saying]: We feed you only for the acceptance of Allah. We wish neither from you reward nor gratitude." (The Quran 76: 8,9)
----------------
29.46 Aur ehal-kitab kay sath behas-o-mubahisa na kero magar iss tareeqay per jo umdah ho magar unn kay sath jo unn mein zalim hain aur saaf aeylaan kerdo kay humara to iss kitab per bhi emaan hai jo hum per utari gaee hai aur iss per bhi jo tum per utari gaee hai humara tumhara mabood aik hi hai. Hum sab ussi kay hukum bardaar hain.

"And do not argue with the People of the Scripture (Christians and Jews) except in a way that is best, except for those who commit injustice among them, and say we believe in that which has been revealed to us and revealed to you. And our God and your God is one; and we are Muslims [in submission] to Him." (The Quran 29: 46)
-----------------------------------
17.70 Yaqeenan hum ney aulad-e-adam ko bari izzat di aur unhen khuski aur tari ki sawariyan din aur unhen pakeeza cheezon ki roziyan din aur apni boht si makhlooq per unhen fazilat ata farmaee.

"And we have certainly honored the children of Adam, and carried them on the land and sea and provided for them of the good things and preferred them over much of what We have created with [definite] preference." (The Quran 17:70)
-------------------------------
03.18 Allah Taalaa farishtay aur ehal-e-ilm iss baat ki gawahi detay hain kay Allah kay siwa koi mabood nahi aur woh adal ko qaeem rakhney wala hai uss ghalib aur hikmata walay kay siwa koi ibadat kay laeeq nahi.

03.19 Be-shak Allah Taalaa kay nazdeek deen islam hi hai aur ehal-e-kitab ney apney pass ilm aa janey kay baad aapas ki sirkashi aur hasad ki bina per hi ikhtilaf kiya hai aur Allah Taalaa ki aayaton kay sath jo bhi kufur keray Allah Taalaa uss ka jald hisab lenay wala hai.

"Allah witnesses that there is no deity except Him, and [so do] the angels and those of knowledge - [that He is] maintaining [creation] in justice. There is no deity except Him, the Exalted in Might, the Wise. Indeed, the religion in the sight of Allah is Islam." (The Quran 3:18-19)