June 25, 2014

TAWHEED PART 3

Assalam o Alaikum wr wb Brothers / Sisters 

Jis nay us waqt kay Allah kay nabi Hazrat Muhammad Mustafa (Sallallahooalahi-Wasallam) kay bataye huway rastay ko ikhtiyar kiya Duniya gawah hay kay who Duniya may bhi kamyab huway or in shaa Al
lah AKHIRAT may bhi un kay liyay Allah nay ajar e Azeem rakha hay or jis nay waqt kay nabee ko nahee mana woh duniya may bhi zaleel huway or akhirat may un kay liyay dard nak Azab hay ,

Firon , Namrood or is kay ilawa kitnay hi jabir zalim or ameer o kabeer badshah thay ,

in logo nay apnay waqt kay nabi ki bat ko na mana Allah per iman layker nahee aye to ap nay daikha who kaisay zaleel ho ker maray or aj is duniya may koi bhe maa baap apnay betay ka nam firon , Namrood nahee rakhtay.

Hamay Allah ka her waqt shukar ada kerna chaiyay , Allah nay hamay itni sari naimto say nawaza hay kay,
hum Allah ka zindagee bher bhi shukar ada kertay rahay to woh kam hay,

Sab say bara Allah ka shukar kay Allah nay hamay Ashraful Makhlooq yani Insan banaya ,
Allah ka sab say bara ehsan kay Allah nay hamay Musalman paida kiya ,

Allah nay hamay musalman gharanay may paida kiya ,
Allah nay hamay hath pair ki salamti say paida kiya ,

Allah ka bara ehsan hay kay Allah nay hamay bagair kisi nuqs kay paida kiya , kitnay he bachay hotay hay jin ko paidaishi beemari hoti hay ,

Koi Bol nahee sakta ,
Koi sun nahee Sakta ,
Koi Daikh nahi sakta ,
Kisi kay hath may koi problem hay,
Kisi kay pair may koi problem ,
koi Paidaish say he mazoor hay ,
kisi ko mozi amraz hay ,
kisi kay dil may soorakh hay wagera wagera ,

Allah ka shukar kay us nay hamay apnay akhri or pyare Nabi Hazrat Muhammad Mustafa (Sallallahooalahi-Wasallam) ki ummat may say paida kiya jo sab say pehlay janat may dakhil hoge,
Allah nay hamay khatay peetay achay ghar may paida kiya ,

piyar mohabbat or bohat bohat khayal rakhnay walay maa baap kay ghar paida kiya,

jin ki na hum khidmat kertay hay ,
jin ki na hum izzat kertay hay,
pyar, mohabbat kernay walay bhai behan diya,

Allah ka shukar jis nay hamay azad mulk may paida kiya ,
Agar Allah na karay hum kisi aisay ghar may paida hojatay jo log Allah per iman na rakhtay hotay ,
Allah na karay hum deen islam ko na apnatay ,

Allah ki ibadat na kertay or Allah kay ilawa kisi or ko apna khuda mantay huway mar jatay to hamara thikana to jahanum he hota or dard nak azab hamara muntazar hota,

Allah ka bara ehsan hay kay Allah nay hamay daikhnay kay liyay Ankh di , Chalnay kay liyay Pair di ,
Kam kernay kay liyay hath diya,
Sun nay kay liyay kan diya,
achay or buray ki tameez kay lye dimag diya ,
Sehat or tandrusti wali zindagee de , achay say acha hamay Allah nay rizq diya ,
Pehan nay kay liyay achay say acha Libas diya ,
rehnay kay liyay achay say acha ghar diya ,
sonay kay liyay naram naram bister diya,
sardiyo may sardi say bachnay kay liyay garam garam cheezay di,
achee say achee rozgar / nokree di , 

har waqt Allah ka shukar ada kertay rehna chaiyay ,
khana kha ker Allah ka shukar ada kerna chaiyay ,
pani pee ker Allah ka shukar ada kerna chaiyay ,
Allah ki dee huwee her naimat per Allah ka shukar ada kerna chaiyay,
kitnay ha insan hay jo mohtaj hay ,
jo mazoor hay , jo mozi amraz may mubtala hay ,

jin kay pass khanay ko kuch nahe ,
jin kay pass pehanay nay ko kuch nahee zaban hay bol nahi saktay ,
Ankh hay daikh nahi saktay ,
kan hay sun nahi saktay ,
Chal nahi saktay kiun kay mazoor hay,
Her waqt Allah ka shukar ada kerna chaiyay.

No comments: