June 25, 2014

---AKHLAAQ (CHARACTER)---

Assalam o Alaikum Wr Wb Brothers / Sisters

Al Quran : Gharo mein salam karke dakhil hua karo

Al Quran : Momeeno Apne Gharon ke siwa Dusre gharon mein un gharwlon se ejazat liye bina aur unhe salam kiye bina dakhil na hua karo ye tumhare haq mein behtar hai
Surah An Noor (24), Aayah 27

O you who believe! Enter not houses other than your own, until you have asked permission and greeted those in them; that is better for you
Al Quran : Surah An Noor (24), Aayah 27
----------------------------------------------

Hadith: Jiske Ghar ka Darwaza ziyada kareeb ho wo hadiye (gift) ka ziyada haqdar hai…

Ummul Momeneen Hazrat aayesha Radiallahu anha ne arz kiya Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam mere 2 Padosi (neighbor) hain to mujhe kiskey ghar hadiya bhejna chahiye Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jiska darwaza tumse kareeb hai.
Sahih Bukhari, Vol 4, 2595

Hadith: The one whose door is nearer to you , has more rights..

Narrated Aisha Radiallahu anha :I said, "O Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam I have two neighbors; which of them should I give a gift to?" The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "(Give) to the one whose door is nearer to you."
Sahih Bukhari, Vol 3, Book 47, No. 767:
----------------------------------------------

Mafhum-e-hadith: Gift (hiba) dekar wapas na lo

Abbas Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Apna Hiba (gift) wapas lene wala us Kuttey (dog) ki tarah hai jo Qey (Vomit) karkey chaat jata hai.
Sahih Bukhari, Vol 4, 2589

Narrated Ibn 'Abbas Radiallahu anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "One who takes back his gift (which he has already given) is like a dog that swallows its vomit."
Sahih Bukhari, Vol 3, Book 47, No. 762:

--------------------------------------------
mafhum-e-hadith: Ghulamo ke saath bhi sila rahmi

Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab kisi ka ghulam (naukar) khana laye aur wo usey apney saath na bitha sakey to usey ek ya do niwaley Zarur khila de kyunki usney isko(khaney ko) tayyar karney ki takleef uthayee hai.
Sahih Bukhari, Vol 4, 2557

Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "When your servant brings your meals to you then if he does not let him sit and share the meals, then he should at least give him a mouthful or two mouthfuls of that meal or a meal or two meals, as he has prepared it."
Sahih Bukhari, Vol 3, Book 46, No. 732:

-----------------------------------------------

Hadith: Qataa Rahmi karney wala (Rishtey todney wala) jannat mein nahi jayega

Jubair bin Mutim Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Qataa Rahmi karney wala (Rishtey todney wala) jannat mein nahi jayega.
Sahih Bukhari, 5984

Narrated Jubair bin Mutim Radi Allahu Anhu : That he heard the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam saying, "The person who severs (split or cut ) the bond of kinship (Relationship) will not enter Paradise.
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 13:
-------------------------------------------

Billi (Cat) ko bhuka maar deney ki wajah se Dojakh mein chali gayee

Abdullah bin Umar Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Ek Aurat ko azab is wajah se hua kyunki usney ek billi ko itni der tak baandh kar rakha tha ki wo bhook se mar gayee aur wo Aurat isi wajah se Dozakh mein dakhil huyee. Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne faramaya ki Allah taala ne us sey kaha tha { Aur allah hi jiyada janta hai } ki jab tuney us Billi ko baand kar rakha us waqt na tuney usey kuch khilaya aur na kuch pilaya aur na usey chod ki wo zameen ke keedey makodey hi kha kar apna pet bhar leti.
Sahih Bukhari, Vol 3 , 2365

Hadith: Allah put her in Hell because of She locked a Cat till it died of hunger.

Narrated 'Abdullah bin 'Umar Radiallahu anhu : Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "A woman was tortured and was put in Hell because of a cat which she had kept locked till it died of hunger." Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam further said, (Allah knows better) Allah said (to the woman), 'You neither fed it nor watered when you locked it up, nor did you set it free to eat the insects of the earth."
Sahih Bukhari, Vol 3, Book 40, No. 553:
-----------------------------------------------

Ek Kuttey (dog) Par Raham ki wajah se Bakhshish ho gayee

Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ek shakhsh ja raha tha ki usey sakht piyas lagi usney ek kunwey mein utar kar paani peeya phir bahar aaya to dekha ki ek Kutta(dog) haanf raha hai aur pyas ki wajah se keechad chaat raha hai usney (apney dil mein) kaha ki ye bhi is waqt aisey hi pyas mein mubtala hai jaisey abhi mujhe lagi huyee thi (wo phir se kunwey mein utra) apney jutey ko bhar kar usey apney daanto se pakdey huye upar aaya aur kuttey ko pani pilaya Allah taala ne uskey is kaam ko qubul kiya aur uski maghfirat farmayee Sahaba ne arz kiya Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam kya humein chopayo (animals) par bhi ajar milega Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya har jaandar mein sawab hai.
Sahih Bukhari, Vol 3 , 2363

Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu : Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "While a man was walking he felt thirsty and went down a well and drank water from it. On coming out of it, he saw a dog panting and eating mud because of excessive thirst. The man said, 'This (dog) is suffering from the same problem as that of mine. So he (went down the well), filled his shoe with water, caught hold of it with his teeth and climbed up and watered the dog. Allah thanked him for his (good) deed and forgave him." The people asked, "O Allah's Apostle! Is there a reward for us in serving (the) animals?" He replied, "Yes, there is a reward for serving any animate."
Sahih Bukhari, Vol 3, Book 40, No. 551:
-----------------------------------

Hadith: Allah ki jhooti Qasam khaney waley par Allah ka Ghazab

Mafhum-e-Hadith: Wo Allah se is haal mein milega ki Allah Taala us par Ghazabnaak hoga.

Abdullah bin Mas'ud Radiallahu anhu se rivayat hai ki Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo shkash koi aisee jhooti Qasam khaye jiskey jariye wo kisi ke maal par nahaq Qabza kar le to wo Allah se is haal mein milega ki Allah Taala us par Ghazabnaak hoga.
Sahih Bukhari, Vol 3, 2356

Narrated 'Abdullah bin Mas'ud Radiallahu anhu The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Whoever takes a false oath to deprive somebody of his property will meet Allah while He will be angry with him."
Sahih Bukhari, Vol 3, Book 40, No. 546:
-----------------------------------

Hadith: us sey parinada ya insaan ya janwar jo bhi khatey hain wo uski taraf se sadqa hai

Anas bin Malik Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Koi bhi musalman jo ek darkht ka paudha(small tree) lagaye ya khet mein beej boye phir us sey parinada ya insaan ya janwar jo bhi khatey hain wo uski taraf se sadqa hai
Sahih Bukhari, Vol 3, 2320

Narrated Anas bin Malik Radiallahu anhu : Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "There is none amongst the Muslims who plants a tree or sows seeds, and then a bird, or a person or an animal eats from it, but is regarded as a charitable gift for him."
Sahih Bukhari, Book 39, Hadith 513

------------------------------------

Hadith: Teen tarah ke Shaksh jis par Allah khud Muddadi (opponent ) banega

Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki Allah taala ka farman hai teen tarah ke log aisey hain jika Qayamat ke din main khud Muddaii banuga
ek to wo shkash jisney mere naam par ahad (vada) kiya aur phir vada khilafi ki,
Dusra wo shaksh jisney kisi Aazad aadmee ko bech kar uski Qeemat khayee,
Teesra wo shaksh jisney kisi ko majdur kiya phir kaam to us sey pura kiya lekin uski majduri na di
Sahih Bukhari, Vol 3, 2270

( Hadith: Allah will be an opponent to three types of people on the Day of Resurrection )

Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu , The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Allah said, 'I will be an opponent to three types of people on the Day of Resurrection:
1. One who makes a covenant in My Name, but proves treacherous;
2. One who sells a free person and eats his price; and
3. One who employs a laborer and takes full work from him but does not pay him for his labour. Sahih Bukhari, Vol 3, Book 36, No. 470:

------------------------

Mafhum-e-Hadith: Mere Do Padosi hain unmein se kiskey paas mein Hadiya (Gift) bheju

Aayesha Radiallahu anha se rivayat hai ki mainey pucha Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam mere Do Padosi hain unmein se kiskey paas mein Hadiya (Gift) bheju, To Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jiska darwaza tujhse jiyada kareeb hai.
Sahih Bukhari, Vol 3,2259

Narrated Aisha Radiallahu anha : I said, "O Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam ! I have two neighbors; which of them should I give a gift to?" The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "(Give) to the one whose door is nearer to you."
Sahih Bukhari, Vol 3, Book 47, No. 767:
------------------------------------

Hadith: Allah ke nazdeek sabse bura shkash wo hai jo sakht jhagdalu( faltu ki ladaii karne wala) ho

Aisa Radiallahu anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah ke nazdeek sabse bura shkash wo hai jo sakht jhagdalu( faltu ki ladaii karne wala) ho
Sahih Bukhari, Vol 8, 7188

Narrated 'Aisha Radiallahu anha : Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "The most hated person in the sight of Allah, is the most quarrelsome person."
Sahih Bukhari, Vol 9, Book 89, No. 298:
-----------------------------------

Hadith: logo mein sabse badtareen shaksh wo hai jo Do rukha (daugla) hai

Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya logo mein sabse badtareen shaksh wo hai jo Do rukha (daugla) hai jiska kuch logon ke samney ek rukh hota hai aur dusrey logon ke samney dusrey rukh se milta hai
Sahih Bukhari, Vol 8, 7179

Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu : Allah's Apostles said, "The worst of all mankind is the double-faced one, who comes to some people with one countenance and to others, with another countenance."
Sahih Bukhari, Vol 9, Book 89, No. 290:

---------------------------------------

Hadith: Agar wo (haakim) imaandari ke saath uski hifazat nahi karta to wo jannat ki khushbu bhi nahi payega.

Maqil Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab Allah kisi bandey ko kisi riaayat (yani kisi jagah ke logon ka) ka hakim (ruler) banata hai aur wo imandari ke saath uski hifazat nahi karta to wo jannat ki khushbu bhi nahi payega.
Sahih Bukhari, Vol 8, 7150

Narrated Ma'qil Radiallahu anhu : I heard the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam saying, "Any man whom Allah has given the authority of ruling some people and he does not look after them in an honest manner, will never feel even the smell of Paradise."
Sahih Bukhari, Vol 9, Book 89, No. 264:

----------------------------------------------

Al Quran : Jab tumhey salam kiya jaye to tum us sey behtar jawab do ya wohi kah do beshaq Allah har cheez ka hisab lene wala hai
Al Quran: Surah 4, verse 86

When you are greeted with a greeting, greet in return with what is better than it, or (at least) return it equally. Certainly, Allah is Ever a Careful Account Taker of all things.
Al Quran: Surah 4, verse 86
-----------------------------------

Mafhum-e- Quran : Apney parents ko uff bhi na kaho (say not to parents a word of disrespect)

Apney Maa baap (parents) ke saath bhalaii (neki) kartey raho aur agar tumharey samney unmein se ek ya dono budhapey ko pahunch jaye to unhey Uff bhi na kaho aur na unhey jhidako aur unsey adab se baat karo aur unkey samney shafqat se aajazi ke saath jukey raho aur kaho ki Eh Mere Rab jaisey unhoney mujhe bachpan se paala hai isi tarah tu bhi un par raham farma
Al Quran Chapter 17 : Verse 23-24

Be dutiful to your parents. If one of them or both of them attain old age in your life, say not to them a word of disrespect, nor shout at them but address them in terms of honour. And lower unto them the wing of submission and humility through mercy, and say: "My Lord! Bestow on them Your Mercy as they did bring me up when I was young."
Al Quran Chapter 17 : Verse 23-24

----------------------------------------------

Al Quran : jisney kisi ko zindagi bakshi usney jaisey tamam insaano ko zindagi bakshi.

Jisney kisi insaan ko khoon ke badley ya zameen mein fasaad failaney ke siwa kisi aur wajah se Qatl kiya to usney Tamam insaano ko Qatl kar diya aur jisney kisi ko zindagi bakshi usney jaisey tamam insaano ko zindagi bakshi.
Al Quran: Surah Al-Maeda (5) Verse 32

if anyone killed a person not in retaliation of murder, or (and) to spread mischief in the land - it would be as if he killed all mankind, and if anyone saved a life, it would be as if he saved the life of all mankind.
Al Quran: Surah Al-Maeda (5) Verse 32
-----------------------------------------------

Mafhum-e-Hadith: Koi Mard kisi (gair mahram) aurat ke saath tanhaii mein na baithey

Ibn Abbas Radiallahu anhu se rivayat hai ki unhoney nabee Sallallahu Alaihi Wasallam se suna ki koi Mard kisi (gair mahram) aurat ke saath tanhaii mein na baithey aur koi aurat us waqt tak safar na karey jab tak uskey saath uska mahram na ho itney mein ek sahabi khadey huye aur farmaya Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam mainey falah jihad mein apna naam likhwa diya hai aur meri Biwi hajj ke liye ja rahi hai to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya tu bhi uskey saath hajj ke liye ja.
Sahih Bukhari, Vol 4, 3006

Narrated Ibn Abbas: That he heard the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam saying, It is not permissible for a man to be alone with a woman(gair mahram), and no lady should travel except with a Muhram (i.e. her husband or a person whom she cannot marry in any case for ever; e.g. her father, brother, etc.). Then a man got up and said, O Allah's Apostle! I have enlisted in the army for such-and-such Ghazwa and my wife is proceeding for Hajj. Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, Go, and perform the Hajj with your wife.
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 52, No. 250:
------------------------------------------

Mafhum-e-Hadith: jaanwar par raham ki wajah se janna

Abu Hurirah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki ek shaksh ne ek kuttey ko dekha jo pyaas ki wajah se geeli mitti kha raha tha to us shaksh ne apna juta (shoe) liya aur us sey pani bhar ke pilaney laga jab tak ki usney(dog) apni pyas na bujha li. Allah ne us shaksh ke kaaam ki qadar ki aur usey jannat mein dakhil kar diya.
Sahih Bukhari, wudhu ka Bayan, 173

Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "A man saw a dog eating mud from (the severity of) thirst. So, that man took a shoe (and filled it) with water and kept on pouring the water for the dog till it quenched its thirst. So Allah approved of his deed and made him to enter Paradise."
Sahih Bukhari , Vol 1, Book 4, No. 174:

-------------------------------------------------

Hadith: dahiney taraf se achcha kaam shuru karna

Aisha Radi allahu anha se rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam juta (shoe) pahanney, kanghi karne , wudhu karney aur apney har kaam mein dahiney taraf se kaam ki Ibtida karney ko pasand kartey they.
Sahih Bukhari, Vol 1, 168

Narrated 'Aisha Radiallahu anha : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam used to like to start from the right side on wearing shoes, combing his hair and cleaning (wudhu) himself and on doing anything else.
Sahih Bukhari, Vol 1, Book 4, No. 169:
----------------------------------------------

No comments: