June 25, 2014

TAWHEED PART 2

Assalam o Alaikum wr wb Brothers / Sisters 

zindage ka bhee aik maqsad hay ,
zindage ka bhee aik maqsad hay , 
Allah nay bina kisi maqsad kay hamay is duniya may nahee bheja hay , 

hamari zindagee kay maqsad Allah or us kay Rasool Hazrat Muhammad Mustafa (Sallallahooalahi-Wasallam) kay bataye huway tariqay kay mutabiq zindagee guzarna hay ,

kiya cheez halal hay kiya cheez haram hay ,
hamay apni zindage Quran or sunnat kay mutabiq guzarni hay ,
Allah or us kay bataye huway deen islam ko seekhna hay us per amal kerna or us kay paigham ko poori insaniyat tak pohchana hay ,

Allah nay insan ko ashraful makhlooqat banaya hay ,
achay or buray ki tameez sikhai hay ,
kiya sahee hay kiya galat hay is ka shaoor diya ,
kis rastay per chal ker insan kamyab hosakta hay ,

kis tarah kay amal ker kay insan Allah ko razi ker kay jannat may jasakta hay or
kis tarah insan buray rastay per chal ker
Allah ki nafarmani ker kay ,

Allah ko naraz ker kay Dozak may dala jasakta hay ,
jo insan Allah ki nafarmani kerta hay us ko Qabar may bhee azab milta hay ,
Qabar ya to jannat kay bago (Jannat kay garden) may say ya dozak kay gharro may say hay,

Allah nay taqreeban 1 Lakh 24 Hazar Paigambar is duniya may bhejay ,
jo har dor may insano ko Allah kay bataye huway rastay per chalnay ki talqeen kertay thay ,

un ko Allah kay bataye huway tariqay per chalnay ka kehtay ,
un ka samjhatay kay Allah kay siwa koi ibadat kay laiq nahee hay ,

un ko seedhay rastay per chalnay ki talqeen kertay or
burai say roktay or samjhatay kay kis tarah who Allah ki ibadat kerkay duniya or Akhirat may kamyab hosaktay..

CONTINUE.... 


No comments: