February 24, 2014

QURAN AND HADITH (ROMAN URDU OR ROMAN ENGLISH)

As'Salam O Aly'Kum Wa Rahmatullahi Wa Barakatuhu

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Hazrat Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Bewaon aur miskeenon ke kaam aaney wala Allah ke raastey mein Jihad karney waley ke barabarhai ya Raat bhar Ibadat aur din bhar Roza rakhney waley ke barabar hai{Sahih Bukhari, 5353}"

-----------------------------

Al Quran : Mera maal mere kuch kaaam na aaya , mujhse meri hukumat bhi jati rahi

Aur Jiska aamal naama uskey Bahiney (left) haath mein diya jayega ,

wo kahega eh kaash mera Aamal naama na milta aur main na janta ki mera hisaab kya hai , kaash wo (maut) khatma karney wali hoti mera maal mere kuch kaaam na aaya , mujhse meri hukumat bhi jati rahi isey pakdo aur isey tauq pahna do , phir usey jahannam mein daal do Al Quran: Surah: Al Haqqaa (69) verse: (25-31)"

--------------------------

Raah-E-Hidayat

Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya koi din aisa nahi jata ki jab bande subah ko uthtey hain to do farishte aasman se na utarte ho, ( yani har roz do farishtey subah ko aasman se utartey hain) unmein se ek farishta ye kahta hai ki Eh ALLAH kharch karne wale ko iska badla de aur dusra kahta hai ki eh ALLAH bakhil (kanjus) ko tabah kar de

{Sahih Bukhari, Vol 2, 1442}

-------------------------------------

Hadith: jo bhi peene wali cheez nasha laaaye wo haram hai Aayesha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo bhi peene wali cheez nasha laaaye wo haram hai Sahih Bukhari, Vol 1, 242

Al Quran : Aap se Sharaab aur juye (gambling) ke baarey mein puchtey hain Kah do inmein bada gunaah hai aur logon ke liye kuch faydey bhi hain aur unka Gunaah unkey Nafaa se bahut bada hai Al Quran, Al-Baqara, (2), Verse 219


Narrated 'Aisha Radi Allahu Anha: ALLAH's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "All drinks that intoxicate are unlawful (to drink)." Sahih Bukhari, Book 4, Hadith 243

Al Quran : They ask you concerning alcoholic drink and gambling. Say: "In them is a great sin, and (some) benefit for men, but the sin of them is greater than their benefit." Al Quran, Al-Baqara (2), Verse 219

----------------------------------

Hazrat AYESHA Siddiqah (R.A) Se Riwayat hai ke EK Yahodi aurat Unse Kuch Maangne aaie Dorane Gufatgu us ne AYESHA (R.a.) SE kha Ke ALLAH tumhe Azabe QABAR Se Bachaye

Hazrat Ayesha (R.A.) NE Rasool ALLAH (s.a.w) Se pocha kya Logon Ko QABARON me Azaab Hoga ?

TO Rasool ALLAH (s.a.w) Ne Azaabe QABAR Se Pana Mangte Hoye Farmaya Haan !

Fhir Hazrat Ayesha (R.a) Ne Hadeese Garhan Ka zikar Kiya Jis ke Aakhir me hai Ke Fhir Aap ne Logon ko HUKAM diya Ke Woh AAZABE Qabar Se Panaah Maanghen..

{ Sahi Al Bukhari Kitab Al Qusuf Ahadees no. 1049}

---------------------------------

Hadith:meri ummat mein bahut chahney waley mere wo log hongey Urdu Translation: Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahao alaihi wasallam ne farmaya meri ummat mein bahut chahney waley mere wo log hongey jo mere baad paida hongey unmein se har koi ye khwahish rakhega ki kaash apney gharwalon aur maal sabko sadqa kar de aur mujhko dekh le {Sahih Muslim , Vol 6, 7145}

English Translation:

Abu Huraira Radi allahu anhu reported Allah's Messenger (may peace be upon him) as saying: The people most loved by (or to) me from amongst my Ummah would be those who would come after me but everyone amongst them would have the keenest desire to catch a glimpse of me even at the cost of his family and wealth. {Sahih Muslim Book 040, Number 6791}

اللَّهُـمّ صَــــــلٌ علَےَ مُحمَّــــــــدْ و علَےَ آل مُحمَّــــــــدْ

Allahumma salli Ala Muhammad wa ala aali Muhammad

-----------------------------------

Hadith: jo bhi peene wali cheez nasha laaaye wo haram hai Aayesha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo bhi peene wali cheez nasha laaaye wo haram hai Sahih Bukhari, Vol 1, 242

Al Quran : Aap se Sharaab aur juye (gambling) ke baarey mein puchtey hain Kah do inmein bada gunaah hai aur logon ke liye kuch faydey bhi hain aur unka Gunaah unkey Nafaa se bahut bada hai Al Quran, Al-Baqara, (2), Verse 219


Narrated 'Aisha Radi Allahu Anha: ALLAH's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "All drinks that intoxicate are unlawful (to drink)." Sahih Bukhari, Book 4, Hadith 243

Al Quran : They ask you concerning alcoholic drink and gambling. Say: "In them is a great sin, and (some) benefit for men, but the sin of them is greater than their benefit." Al Quran, Al-Baqara (2), Verse 219

-------------------------------

3 (Qisam K) Aadmiyon Se ALLAH Qayamat K Din Baat Tak Nahi Karain Gay Aur Na Unn Ki Taraf Dekhain Gay Aur Na Hi Unhain Paak Karain Gay Aur Unn K Liye Dard Naak Azaab Hai, 1, Apnay Payenchay Takhnon Se Neechay Tak Latkanay Wala, 2, (Koi Cheez) De Ker Ehsaan Jatanay Wala, 3, Jhooti Qasam Kha Ker Apnay Maal Ki Rughbat Dilanay Wala (Sahi Muslim, Kitab Ul Emaan Hadees:106) Sahi Al-Muslim Kitabus Salam"

---------------------------

HAZRAT ABU HURAIRAH (R.A) se Riwayat hai Woh Rasool ALLAH (s.a.w) Se Bayan Karte hain Ke Aap Ne Farmaya :

Jab ALLAH Bandhe Se MOHABBAT karta hai to Hazrat JIBRAIL (A.S) Ko Aawaz detaa hai ke

ALLAH TAALA falan Shaksh Ko Dost Rakhta hai _ Lehaza Tum Bhi Us ko Dost Rakho

To JIBRAIL (A.S) Us ko Dost Rakhte Hain _

Fhi Hazarat JIBRAIL (A.S) Tamaam Ahale Aasman me Ailan Kar Dete hain ke

ALLAH TAALA flaan shaksh se MOHABBAT Rakhta hai_ Lehaza Tum Bhi Us Se MOHABBAT Rakho _

Chunan che Tamaam Ahle Aasman Us se MOHABBAT Rakhte Hai Fhir Zamin Me Bhi Us ki Maqbooliyat Rakh Di Jaati hai ...

{ Sahi Al Bukhari kitab Bad Al Khalaq Ahadees No. 3209}

------------------------------------

Kisi Se Naram Baat Karna Ya Kisi Ko Darguzar Kar Dena …. Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! “Kisi Se Naram(Bhali) Baat Karna Ya Kisi Ko Darguzar(Muaf) Kar Dena, Uss Sadqe Aur Khairaat Se Behtar Hai, Jise Dene Ke Baad Uske Lene Waale Ko Dukh Pohnchaya Jaaye. Aur Allah Bada Beniyaz Hai”. -: (Surah Al Baqrah : Aayat-263)

---------------------

Paigam-E-Huda Hazrat Abu Hurairah RaziAllahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya

" Jab Allah T'aala se Mangna ho to Jannat Al Firdaus mango kyunki wo Jannat ka sabse Achcha aur Buland darja hai ".

Sahih Bukhari, Vol 4, 2790

----------------------------

1 comment:

faizanquranacademy said...

It is amazing and wonderful to visit your Blog. Thanks for sharing this information, this is useful to me.
https://faizanquranacademy.com/
Learn Quran online