October 15, 2013

Khwateen ke liye ( Women Special). HADITH

Bismillah-Hirrahman-Nirrahim


Abdullah bin Abbas Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya us shaksh ke baarey mein jo apni haayeza biwi ( yani haiz ki halat mein) se humbistari karey to wo ek dinar ya aadha dinar sadqa karey.
Sunan Nasaii, Vol 1, 292 ( Sahih)


Anas Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Yahudiyon mein se jis waqt kisi khatun ko haiz aata to wo apney saath na usey khilatey aur na ek makan mein uskey saath rahtey, Sahaba Radi-Allahu-Anhuma ne iskey mutalliq pucha to is par Allah Subhanahu ne ye aayat nazil farmayee jiska mafhum hai ki


Aur Aapsey Haiz ke baarey mein puchtey hain kah dijiye ki wo Najasat (Napaki) hai isliye Haiz mein aurton se dur raho aur unkey paas na jao ( yani humbistari na karo) yahan tak ki wo paak ho jayain phir jab wo paak ho jaye to unkey paas jao jahan se Allah ne tumhey hukm diya hai beshaq Allah Tauba karney walo ko Dost rakhta hai aur bahut paak rahney walon ko dost rakhta hai - Al Quran 2:222


Phir Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne Sahaba karam Radi-Allahu-Anhuma se farmaya ki wo Aurton se Haiz ki halat mein saath khilayein Peelayein aur ek makan mein saath rahain aur humbistari (intercourse) ke alawa tamam kaam karain.
Sunan Nasaii, Vol 1, 291 ( Sahih)



It was narrated that Anas Radi-Allahu-Anhu said: "When one of their womenfolk menstruated, the Jewswould not eat or drink with them, nor mix with them in their houses. They asked the Prophet of Allah Peace be upon him about that, and Allah Mighty and Sublime revealed


They ask you concerning menstruation. Say: that is an Adha (a harmful thing for a husband to have a sexual intercourse with his wife while she is having her menses), therefore keep away from women during menses and go not unto them till they are purified. And when they have purified themselves, then go in unto them as Allah has ordained for you Truly, Allah loves those who turn unto Him in repentance and loves those who purify themselves
Al Quran, 2 : 222 ) So the Messenger Allah commanded them to eat and drink with them (menstruatingwomen) and to mix with them in their houses, and to do everything
with them except intercourse.
Sunan Nasaii, Vol 1, 289 (Sahih)




It was narrated from Ibn Abbas from the Prophet Peace be upon him Concerning a man who has had intercourse with his wife while she was menstruating: "Let him give a Dinar or half a Dinar in charity
Sunan Nasaii, Vol 1, 290 (Sahih)

-------------------------------------------------------

Bismillah-Hirrahman-Nirrahim


Mafhum-e-Hadith: Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne farmaya tumhara haiz tumharey haath mein to nahi hai.


Aayesha Radi-Allahu-Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya ki Mujhe Masjid mein Chatayee ( boriya, Mat) lakar do to mainey Arz kiya ki Ya Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam main haiz ki halat mein hu , to Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne farmaya tumhara haiz tumharey haath mein to nahi hai.
Sunan Nasaii , Vol 1, 274 (Sahih)


Aayesha Radi-Allahu-Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ka sir Mubarak hum mein se (yani wives mein se) kisi ki Godd ( lap) mein hota aur wo khatun ( wife) haiz ki halat mein hoti aur Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam Quran ki Tilawat bhi farmatey
Sunan Nasaii , Vol 1, 277 (Sahih)




Aayesha Radi-Allahu-Anha se rivayat hai ki Main Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ke sir Mubarak mein kanghi kiya karti thi haalanki us waqt mujhe haiz ( period) aa raha hota.
Sunan Nasaii , Vol 1, 280 (Sahih)


Tashreeh: Jahiliyat ke zamaney mein Aurat ko haiz aaney par uska bistar alag kar diya jata tha usey chua nahi jata tha aur us sey ghar ke bahut se kaam nahi karwaye jatey they, Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne Apni zawja se haiz ki halat mein is tarah muamla farma kar un sab baton ko khatam kar diya.


It was narrated that from the Aisha may Allah be pleased with her that The Messenger Peace be upon him said Give me the mat from the Masjid She said: I am menstruating. The Messenger of Allah said: "Your menstruation is not in your hand.
Sunan Nasaii , Vol 1, 272 (Sahih)


It was narrated that from the Aisha may Allah be pleased with her that The head of the Messenger of Allah would rest in the lap of one of us when she was menstruating, and he would recite Quran.
Sunan Nasaii , Vol 1, 275, 278 (Sahih)

It was narrated that from the Aisha may Allah be pleased with her that I used to comb the Messenger of Allah Peace be upon him when I was menstruating.
Sunan Nasaii , Vol 1, 278 (Sahih)


Explanation: During the days of pre-Islamic ignorance, women were deemed inferior beings Especially during her menstrual cycles she was branded untouchable, and was
distanced from society. Consequently, many women became susceptible todeveloping an inferiority complex. By this Hadith Allah’s Messenger Peace be upon him put an end to the illtreatment of women. consider, for instance, the tender consideration he Peace be upon him showed to his menstruating wife.

----------------------------------------------------

BISMILLAH-HIRRAHMAN-NIRRAHIM

Kya aurat ko Ehatlaam ho jaye to usko ghusal karna lazim hai ? - HAAN


Umm salma Radi-Allahu-Anha se rivayat hai ki ek aurat ne arz kiya Ya Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam Allah subhanahu haq baat kahney se sharam aur haya mahsus nahi karta.Kya aurat ko Ehatlaam ho jaye to usko ghusal karna lazim hai ?
Aap Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya HAAN jis waqt aurat (napaak)paani (sharmgaah par) dekhey ye baat sunkar umm salma ko hansee aa gayee aur farmaney lagi kya aurat ko bhi ehatlaam hota hai ? Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-wasallam ne farmaya agar nahi hota to (bachchey ki)shakal aur surat kis tarah se (waldein ki) mushabah hoti
Sunan Nasaii, Vol 1, 199 (Sahih)


Narrated Authority of Umm Salamah may ALLAH be pleased with her that a women said: "Oh messenger of Allah may ALLAH be pleased with him , Allah is not shy to tell the truth. Does a woman have to perform Ghusl if she has a wet dream?" He Peace be upon him said: "Yes, if she sees water." Umm Salamah laughed and said: "Do women really have wet dreams?" The Messenger of Allah may ALLAH be pleased with him said how else would her child resemble her?"
Sunan Nasaii, Vol 1, 197 (Sahih)

--------------------------------------------------------

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim


Mafhum-e-Hadith: Koi Mard kisi (gair mahram) aurat ke saath tanhaii mein na baithey

Ibn Abbas Radiallahu anhu se rivayat hai ki unhoney nabee Sallallahu Alaihi Wasallam se suna ki koi Mard kisi (gair mahram) aurat ke saath tanhaii mein na baithey aur koi aurat us waqt tak safar na karey jab tak uskey saath uska mahram na ho itney mein ek sahabi khadey huye aur farmaya Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam mainey falah jihad mein apna naam likhwa diya hai aur meri Biwi hajj ke liye ja rahi hai to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya tu bhi uskey saath hajj ke liye ja.
Sahih Bukhari, Vol 4, 3006

Narrated Ibn Abbas: That he heard the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam saying, It is not permissible for a man to be alone with a woman(gair mahram), and no lady should travel except with a Muhram (i.e. her husband or a person whom she cannot marry in any case for ever; e.g. her father, brother, etc.). Then a man got up and said, O Allah's Apostle! I have enlisted in the army for such-and-such Ghazwa and my wife is proceeding for Hajj. Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, Go, and perform the Hajj with your wife.
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 52, No. 250: 

--------------------------------------------------

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim


Mafhum-e-Hadith : Haiz (menstruating woman) aur Nifas wali Aaurtein Hajj ke tamam arkaan ada karey siwaye tawaf-e-kaab ke

Abdullah ibn Abbas Radi Allahu Anhuma se rivayat hai kiRasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Haiz (menstruating woman) aur Nifas wali Aaurtein jab Meeqat par aaye to ghusal karkey ehraam baandh le, aur Hajj ke tamam arkaan ada karey siwaye tawaf-e-kaaba ke
Sunan Abu Dawud, vol1, 1731


Narrated Abdullah ibn Abbas Radi Allahu Anhuma : The Prophet (peace_be_upon_him) said: A menstruating woman and the one who delivered a child should take a bath, put on ihram and perform all the rites of hajj except circumambulation of the House (Ka'bah) when they came to the place of wearing ihram
Sunan Abu Dawud, Book 10, Number 1740:

--------------------------------------------------------

Bismillah irrahman Nirrahim

Mafhum-e-Hadith: Qabro ki Ziyarat (Visiting The graves)

Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alalihi Wasallam ne farmaya tum Qabro ki Ziyarat kiya karo kyunki wo tumhey maut ki yaad dilati hain.
Sahih muslim, Vol2, 2259

Buraida Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya mainey tumhey mana k

iya tha Qabro ki Ziyarat karney se lekin ab tum Ziyarat karo unki.
Sahih Muslim, Vol5, 5114

Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Qabro ki Ziyarat karo kyunki ye tumhey Aakhirat ki yaad dilati hain
Sunan ibn Majah, Vol 1, 1569 (Sahih)

Ibn Abbas Radi Allahu Anhu farmatey hain ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne qabron ki ziyarat karney wali aurton par laanat farmayee hain
Sunan ibn Majah, Vol 1, 1575 (Sahih)

Abdullah ibn Abbas Radi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Qabro ki ziyarat karney wali aurton par laanat farmayee hai aur isi tarah Qabron par masjid bananey walo aur us par chirag karney walon par bhi laanat farmayee hai
Sunan Abu Dawud, vol 2 , 1459


Abu Huraira reported: The Apostle of Allah may peace be upon him said visit the graves, for that makes you mindful of death.
Sahih muslim, Book #004, Hadith #2130

Abdullah b. Buraida radi allahu anhu reported that Allah's Messenger (may peace be upon him) said this: I prohibited you from visiting the graves, but (now) you may visit them.
Sahih Muslim, Book #022, Hadith #4866

It was narrated from Abu Hurairah that the Messenger of Allah peace be upon him said: Visit the graves, for they will remind you of the Hereafter.
Sunan Ibn majah, Vol 2, 1569 (Sahih)

It was narrated that Ibn Abbas radi allahu anhu that "The Messenger of Allah peace be upon him cursed women who visit graves.
Sunan Ibn majah, Vol 2, 1575 (Hasan)

Narrated Abdullah ibn Abbas Radi Allahu Anhuma: The Apostle of Allah (peace_be_upon_him) cursed women who visit graves, those who built mosques over them anderected lamps (there).
Sunan Abu Dawud, Book 20, Number 3230:

------------------------------------------------------------

BISMILLAH-HIRRAHMAN-NIRRAHIM


Mafhum-e-Hadith: ( Ghusal karte waqt ) Aurat ke liye sir ke baalon ko kholna zaruri nahi



Thawban Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam se Ghusal e janabat ke baarey mein daryaft kiya to Aap Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya ki Mard ke liye to ye jaruri hai ki wo Apna sir khol kar ( yani baal khol kar) baalon ko dhoye yahan tak ki paani Baalon ki jado tak pahunch jaye magar Aurat ke liye sir ke baalon ko kholna zaruri nahi hai bulki isko chahiye ki wo Dono Haath se 3 martaba paani sir par Daal le
Sunan Abu Dawud, Vol 1, # 255


Narrated Thawban Radi Allahu Anhu : Shurayh ibn Ubayd said: Jubayr ibn Nufayr gave me a verdict about the bath because of sexual defilement that Thawban may ALLAH be pleased with him reported to them that they asked the Prophet peace be upon him about it. He (the Prophet) replied: As regards man, he should undo (open) the hair of his head and wash it until the water should reach the roots of the hair. But there is no harm if the woman does not undo (open) it (her hair) and pour three handfuls of water over her head.
Sunan Abu Dawud, Vol 1, # Book 1, Number 0255

------------------------------------------------------------

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim


Hadith: Mainey dojakh mein jhaanka to to wahan aksar aurtein thi.

Ibn Abbas radi allahu anhuma se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya mainey jannat mein jhaanka to wahan ke log Aksar wo they jo faqeer hain,aur mainey dojakh mein jhaanka to to wahan aksar aurtein thi.
Sahih Muslim , Vol6, 6938


Ibn Abbas Radi allahu anhu reported that Allah's Messenger (may peace be upon him) said: I had a chance to look into the Paradise and I found that majority of the people was poor and I looked into the Fire and there I found the majority constituted by women.
Sahih Muslim, Book 036, Number 6597

-------------------------------------------------------------

Bismillah-Hirrahman-Nirrahim


Mafhum-e-Hadith: Jin Aurton ke Haiz ke Din guzar jaye aur phir bhi paak na ho to wo Namaz parh sakti hain


Aayesha Radi Allahu Anha se Rivayat hai ki Fatima bint Abi Hubaish ki Beti ne Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam se kaha ki Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam Main to Paak hi nahi hoti to kya mein bilkul Namaz chorh du Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ye Rag ka khoon hai Haiz nahi, isliye jab Haiz ke din ( jismein tumhey pahley Haiz aaya karta tha) aaye to Namaz chorh de aur jab Andazey ke Mutabiq wo din Guzar jaye to khoon Dho daal aur namaz parh
Sahih Bukhari, Vol 1, 303

Hadith: It is from a blood vessel and not the menses……

Narrated 'Aisha Radi Allahu Anhu : Fatima bint Abi Hubaish said to Allah's Apostle Peace be upon him , "O Allah's Apostle Peace be upon him I do not become clean (from bleeding). Shall I give up my prayers?" Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam replied: "No, because it is from a blood vessel and not the menses. So when the real menses begins give up your prayers and when it (the period) has finished wash the blood off your body (take a bath) and offer your prayers."
Sahih Bukhari, Volume 1, Book 6, Number 303: 

-----------------------------------------------------------------

Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith: Allah ki bandiyon (female slaves) ko masjid mein Namaz parhney se na roko
Ibn Umar Radi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya ki Allah ki bandiyon ko masjid mein Namaz parhney se na roko unkey betey ne kaha ki hum to jarur mana karengey is par hazrat Ibn Umar Radi Allahu Anhu gussa ho gaye aur farmaya ki main tujhse Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ka farman bayan karta hu aur tu kahta hai ki hum jarur mana karengey
Sunan Ibn Majah, Vol , # 16


Hadith: Do not prevent the female slaves of ALLAH from praying in the mosque

Narrated Ibn Umar may ALLAH be pleased with him that the Messenger of ALLAH Peace be upon him said: “Do not prevent the female slaves of ALLAH from praying in the mosque.” A son of his (that is, of Ibn 'Umar) said: “We will indeed prevent them!” He got very angry and said: “I tell you a Hadith from the Messenger of ALLAH Peace be upon him and you say, we will indeed prevent them?!” (Sahih)
Sunan Ibn Majah, Vol 1, # 16

No comments: