October 15, 2013

Burey Aamal (Evil Deeds)

Bismillah ir rahmanir rahim

Hadith : jismein ye chaar (4) khaslatein (aadatein) ho wo munafiq hoga

Abdullah bin 'Amr Radiallahu anhuma se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jismein 4 khaslatein (aadatein) ho wo munafiq hoga aur ismein se ek aadat bhi ho to usmein nifaq hoga jab tak ki wo ye chor na de
1. Jab baat karey to jhoot boley,
2. Jab wada karey to pura na karey,
3. jab mua’ahida (ahad) karey to be wafaii karey
4. Aur jab ladaii karey to bad-zubani par utar aaye.
Sahih Bukhari, Vol3, 2459

Narrated 'Abdullah bin 'Amr Radiallahu anhuma : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Whoever has (the following) four characters will be a hypocrite, and whoever has one of the following four characteristics will have one characteristic of hypocrisy until he gives it up. These are:
1. Whenever he talks, he tells a lie;
2. Whenever he makes a promise, he breaks it;
3. Whenever he makes a covenant he proves treacherous;
4. Whenever he quarrels, he behaves impudently in an evil insulting manner."
Sahih Bukhari, Vol 3, Book 43, No. 639:

-------------------------------------------------------------

Bismillah ir rahmanir rahim

Hadith: Zulm se Kisi ki Zameen lene wale ka Anjam…


Narrated Said bin Zaid Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jisney kisi ki zameen Zulm se le li usey Qayamat ke din 7 zameeno ka Tauq(Huge belt or patta) pahnaya jayega.
Sahih Bukhari, Vol 3, 2452
Narrated Said bin Zaid Radiallahu anhu :Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Whoever take the land of somebody unjustly, his neck will be encircled with it down the seven earths (on the Day of Resurrection).
Sahih Bukhari, Vol 3, Book 43, No. 632:

------------------------------------------------------

Bismillah ir rahmanir rahim

Hadith: Uska koi neik amal hoga to us zulm ke badley wohi le liya jayega

Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya agar kisi shaksh ne kisi dusrey ki izzat (reputation) ya koi aur cheez par zulm kiya ho to us sey aaj hi us din ke aaney se pahle maaf karwa le jis din na deenar hongey na dirham bulki uska koi neik amal hoga to us zulm ke badley wohi le liya jayega aur agar koi neik amal uskey paas nahi hoga to us mazlum ki buraeeyan us par daal di jayegi.
Sahih Bukhari, Vol 3, 2449

Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu : Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Whoever has oppressed another person concerning his reputation or anything else, he should beg him to forgive him before the Day of Resurrection when there will be no money (to compensate for wrong deeds), but if he has good deeds, those good deeds will be taken from him according to his oppression which he has done, and if he has no good deeds, the sins of the oppressed person will be loaded on him."
Sahih Bukhari, Vol 3, Book 43, No. 629: 

------------------------------------------------------------

Bismillah ir rahmanir rahim 

Hadith: Mazlum Ki baddua se bacho

Ibn Abbas Radiallahu anhuma se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne jab Muadh Radiallahu anhu ko yemen bheja to unsey ye kaha ki mazloom ki Baddua se dartey rahna kyunki uskey aur Allah Taala ke darmiyan koi parda nahi hota
Sahih Bukhari, Vol 3, 2448

Narrated Ibn Abbas Radiallahu anhuma : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam sent Mu'adh Radiallahu anhu to Yemen and said, Be afraid, from the curse of the oppressed as there is no screen between his invocation and Allah.
Sahih Bukhari, Vol 3, Book 43, No. 628:

------------------------------------------------

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-hadith: Allah taala ko Fizul Baat karna pasand nahi

Al-Mughira bin Shuba Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah taala ne Fizul Baat karney ko, zyada sawal karney ko aur Maal zaya(fizul kharch) karney ko Napasand (hated) bataya hai.
Sahih Bukhari, Vol 3, 2408

Narrated Al-Mughira bin Shu'ba: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said Allah has hated for you vain, useless talk, or that you talk too much about others, to ask too many questions, (in disputed religious matters) and to waste the wealth (by extravagance).
Sahih Bukhari, Vol 3, Book 41, No. 591: 

-----------------------------------------------------------

Bismillah hirrahman nirrahim

Mafhum-e-Hadith: Wo Allah se is haal mein milega ki Allah Taala us par Ghazabnaak hoga.

Abdullah bin Mas'ud Radiallahu anhu se rivayat hai ki Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo shkash koi aisee jhooti Qasam khaye jiskey jariye wo kisi ke maal par nahaq Qabza kar le to wo Allah se is haal mein milega ki Allah Taala us par Ghazabnaak hoga.
Sahih Bukhari, Vol 3, 2356

Narrated 'Abdullah bin Mas'ud Radiallahu anhu The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Whoever takes a false oath to deprive somebody of his property will meet Allah while He will be angry with him."
Sahih Bukhari, Vol 3, Book 40, No. 546:

--------------------------------------------------------

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Hadith: Teen tarah ke Shaksh jis par Allah khud Muddadi (opponent ) banega

Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki Allah taala ka farman hai teen tarah ke log aisey hain jika Qayamat ke din main khud Muddaii banuga
ek to wo shkash jisney mere naam par ahad (vada) kiya aur phir vada khilafi ki,
Dusra wo shaksh jisney kisi Aazad aadmee ko bech kar uski Qeemat khayee,
Teesra wo shaksh jisney kisi ko majdur kiya phir kaam to us sey pura kiya lekin uski majduri na di
Sahih Bukhari, Vol 3, 2270

----------------------------------------
( Hadith: Allah will be an opponent to three types of people on the Day of Resurrection )

Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu , The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Allah said, 'I will be an opponent to three types of people on the Day of Resurrection:
1. One who makes a covenant in My Name, but proves treacherous;
2. One who sells a free person and eats his price; and
3. One who employs a laborer and takes full work from him but does not pay him for his labour. Sahih Bukhari, Vol 3, Book 36, No. 470: 

----------------------------------------------------------

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Hadith: Allah ke nazdeek sabse bura shkash wo hai jo sakht jhagdalu( faltu ki ladaii karne wala) ho

Aisa Radiallahu anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah ke nazdeek sabse bura shkash wo hai jo sakht jhagdalu( faltu ki ladaii karne wala) ho
Sahih Bukhari, Vol 8, 7188

Narrated 'Aisha Radiallahu anha : Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "The most hated person in the sight of Allah, is the most quarrelsome person."
Sahih Bukhari, Vol 9, Book 89, No. 298: 

-----------------------------------------------------------

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Hadith: logo mein sabse badtareen shaksh wo hai jo Do rukha (daugla) hai

Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya logo mein sabse badtareen shaksh wo hai jo Do rukha (daugla) hai jiska kuch logon ke samney ek rukh hota hai aur dusrey logon ke samney dusrey rukh se milta hai
Sahih Bukhari, Vol 8, 7179

Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu : Allah's Apostles said, "The worst of all mankind is the double-faced one, who comes to some people with one countenance and to others, with another countenance."
Sahih Bukhari, Vol 9, Book 89, No. 290: 

-----------------------------------------------------------

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Hadith: Amaanat mein Khayaant karney wala Hakim

Maqil Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya agar koi shaksh musalmano ka hakim banaya gaya aur usney unkey muaamley mein khayanat ki aur usi haalat mein mar gaya to Allah taala us par jannat haram kar deta hai.
Sahih Bukhari, Vol 8, 7150

Narrated Ma'qil Radiallahu anhu : Allah's Apostle said, "If any ruler having the authority to rule Muslim subjects dies while he is deceiving them, Allah will forbid Paradise for him."
Sahih Bukhari, Vol 9, Book 89, No. 265: 

---------------------------------------------------------

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Al Quran: Unke burey kaamon ke sabab un par faqa (bhuk) aur khauff aa gaya.

Aur Allah ek aisee basti ki misaal bayan farmata hai jahan har tarah ka aman tha
uski Rozi ba faragat ( bahut ziyada) har jagah se chali aati thi phir (unhoney) Allah ke
Ehsaano ki nashukri ki phir Allah ne unke burey kaamon ke sabab se jo wo kiya kartey they , ye maza chakhaya ki un par faqa aur khauff aa gaya.
AL Quraan, Surah An Nahl (16), Verse : 112

And Allah puts forward the example of a township that dwelt secure and and well-content its provision coming to it in abundance from every place, but it (its people) denied the Favours of Allah (with ungratefulness). So Allah made it taste extreme of hunger (famine) and fear, because of that (evil ) which they (its people) used to do .
AL Quraan, Surah An Nahl (16), Verse : 112
-----------------------------------------
Dua:
رَبَّنَا لَا تُؤَاخِذْنَا إِن نَّسِينَا أَوْ أَخْطَأْنَا
Our Lord! Punish us not if we forget or fall into error
Eh hamarey RAb Agar hum bhul jaye ya galti karey to hamari pakad na farma.
Al Quran , Surah Baqra (2), Verse 286
--------------------------------------------------

Bismillah-irrahman-Nirrahim

Al Quran : (Allah) us waqt bhi unkey saath hota hai jab Raat ko chup kar uski marzi ke khilaf mashwarey kartey hain

Aur un logon ki taraf se mat jhagdo jo apney Dil mein daga rakjhtey hain jo shaksh Dagabaaz gunaahgar ho usey beshaq Allah pasand nahi karta ye log insaano se chuptey hain aur Allah se nahi chuptey, halanki wo (Allah) us waqt bhi unkey saath hota hai jab Raat ko chup kar uski marzi ke khilaf mashwarey kartey hain aur unkey sarey aamal par Allah ihata kiye huye hai
AL Quran, Surah An Nisa, verse 107-108


And argue not on behalf of those who deceive themselves. Verily, Allah does not like anyone who is a betrayer, sinner. They may hide (their crimes) from men, but they cannot hide (them) from Allah; for He is with them (by His Knowledge), when they plot by night in words that He does not approve. And Allah ever encompasses what they do.
AL Quran, Surah An Nisa, verse 107-108

--------------------------------------------------------

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim
Jo Shaksh Neik baat ki sifarish karey to usko us (ke sawab) mein se Hissa milega, aur Jo buri baat ki sifarish karega usko us(ke Azab) mein se Hissa milega, Aur Allah har cheez par Kudrat rakhta hai
Al Quran:Surah-An-Nisa(4),Aayah 85 

Whoever recommends and helps a good cause becomes a partner therein,
And whoever recommends and helps an evil cause, shares in its burden,
And Allah hath power over all things.
Al Quran: Surah-An-Nisa(4),Aayah 85
-----------------------------------------------------------

Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith: Allah taala unkey Dilon par Muhar laga dega phir wo Ghafeeleen mein ho jayengey

Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne apney mimbar par se irshaad farmaya Logon ko Namaz jumaa tark karney (chorh deney) se baaz rahna chahiye nahi to ALLAH taala unkey Dilon par Muhar laga dega phir wo Ghafeeleen mein ho jayengey
Sunan An Nasai, Vol 1, # 1373 (Sahih)


Narrated Abdullah bin umar may ALLAH be pleased with him said that Prophet peace be upon him said while he was on minbar that The people should stop neglecting Friday prayer or ALLAH will pleace a seal on their hearts and they will be deemed as being among the negligent
Sunan An Nasai, Vol 2, 1371 (Sahih)

------------------------------------------------------

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Mafhum-e-Hadith: Namazi ke aagey se Guzarney wale ko rok dena chahiye


Abu Said Khudri Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki jab koi shaksh kisi cheez ki taraf munh karkey namaz parey aur us cheez ko aad (sutra) bana raha ho aur phir bhi agar koi samney se guzrey to usey rok dena chahiye aur agar phir bhi na maney to usey forcily rokna chahiye kyunki wo shaitan hai
Sahih Bukhari, Vol 1, 508

Narrated Busr bin saeed Radiallahu anhu se rivata hai ki Abu Jahim Radiallahu anhu ne kaha ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya agar Namazi ke samney se guzarney wala shakash janta ki uska kitna bada gunaah hai to uskey samney se guzarney ki bajaye wo 40 (din, mahiney aur saal) tak intezar karta, abu an nadr ne kaha ki mujhe yaad nahi ki unhoney 40 din , mahiney ya saal kaha tha.
Sahih Bukhari, Vol 1 , 510

Narreted by Abu Sa'id khudri Radiallahu anhu , "I heard the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam saying, 'If anybody amongst you is praying behind something as a Sutra and somebody tries to pass in front of him, then he should repulse him and if he refuses, he should use force against him for he is a satan.
Sahih Bukhari, Vol 1, Book 9, No. 488

Narrated Busr bin Said Radiallahu anhu :Abu Juhaim Radiallahu anhu said that, "Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, 'If the person who passes in front of another person in prayer knew the magnitude of his sin he would prefer to wait for 40 (days, months or years) rather than to pass in front of him." Abu An-Nadr said, "I do not remember exactly whether he said 40 days, months or years."
Sahih Bukhari, Vol 1, Book 9, No. 489:

---------------------------------------------------

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Hadith: Musalmaan ko Gaali dena Fisq hai aur Qatl karna Kufr

Abdullah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya musalman ko gaali dena Fisq (belong to Fasiq) hai aur Qatl karna kufr hai
Sahih Bukhari, Vol 8, 7076

Narrated Abdullah Radiallahu anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said,
Abusing a Muslim is Fusuq (evil doing) and killing him is Kufr (disbelief).
Sahih Bukhari, Vol 9, Book 88, No. 197: 

-----------------------------------------------------------

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Hadith: Koi shaksh apney kisi deeni bhai ki taraf Hathyaar se ishara na karey

Abu Huraira Radiallahu anhu se rivayat hai Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Koi shaksh apney kisi deeni bhai ki taraf Hathyaar se ishara na karey kyunki wo nahi janta mumkin hai shaitan uskey haaath se chura de aur phir wo kisi musalman ko maar kar uski wajah se jahannam ke ghadey mein gir jaye
Sahih Bukhari, Vol 8, 7072

Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "None of you should point out towards his Muslim brother with a weapon, for he does not know, Satan may tempt him to hit him and thus he would fall into a pit of fire (Hell)"
Sahih Bukhari, Vol 9, Book 88, No. 193:

--------------------------------------------------------

Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Mafhum-e-hadith: Namazi ke samney se Guzarney ka gunaah

Abu Jaheem radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah sallallahu-alaihi-wasallam ne farmaya ki agar Namazi ke samney se guzarney wala janta ki uska kina bada gunaah hai to uskey samney se guzarney par 40 ( Din ya mahiney ya saal) tak wahi khadey rahney par tarjeeh deta Abu al nasar ne kaha ki mujhe yaad nahi ki basar bin saeed ne 40 din kaha ya 40 mahina ya 40 Saal
Sahih Bukhari , Vol 1, # 510

Narrated Busr bin Said: Abu Juhaim Radi-Allahu-Anhu Said , "Allah's Apostle said, 'If the person who passes in front of another person in prayer knew the magnitude of his sin he would prefer to wait for 40 (days, months or years) rather than to pass in front of him." Abu An-Nadr said, "I do not remember exactly whether he said 40 days, months or years."
Sahih Bukhari,Volume 1, Book 9, Number 489:

No comments: