May 20, 2011

Ishq Ki Koi Bhi Dawaa Nahi Hoti


Sunaa Hai Ishq Ki, Duniyaa Mein,
Koi Bhi Dawaa Nahi Hoti,
Pyaar Jis Dil Mein Ishq Ban Jaye,
Uss Ko Khof-E-Khudaa, Nahi Hoti,
Na Use Din Mein Chen Milta Hai,
Na Hi Shab Mein Qaraar Hota Hai,
Paaglon Jesi Hoti Halaat Hai,
Jab Na Dedaare Yaar Hotaa Hai,
Kabhi Hanstaa Hai, Wo Akele Mein,
Or Khud Hi Kabhi, Wo Rota Hai,
Ashq Ban Jaate Lahu Uss Ke,
Jab Na Didaare Yaar Hota Hai,
Itni Shiddat Se Jo Kare Chahaat,
Wo Hazaaron Mein, Do Char Hote Hai,
(Mohabbat) Ne Ki Hai Chahaat Aesi (Mohabbat se),
Jo Hazaaron Mein Shumaar Hota Hai.

Kisi Ki Chahat Mein Itne Paagal Na Ho,
Ho Sakta Hai Wo Aapki Manzil Na Ho,
Uski Muskurahat Ko Mohabbat Na Samajhna,
Kahin Ye Muskurana Uski Aadat Na Ho.

Teri chahat me hum zamana bhool gaye,

Tere baad kisi ko apnana bhool gaye,

Phir laga sara jahan veerana hum ko,

Jaise Chaman me phool meheknaa bhool gaye,

Tum se mohabat hi bataya saare Jahan ko,

Yahi baat tum ko batana bhool gaye,

Hum ne mita diya jahan bhi likha tha Naam Tera,

Magar apne dil se mitana bhool gaye,

Woh juda hue hum se muskrate hue,

Magar apni palkon se ansoo hatana bhool gaye...
 

No comments: