October 15, 2014

SURAH ANBIYA ( Page 2, Aayat 26-50)

(Sura-Anbiya Makka mai Nazil hui, is mai aikso-bara (112) Aayatain 


 
21.26 (Mushrik log) kehtay hain kay rehman aulad wala hai (ghalat hai) uss ki zaat pak hai bulkay woh sab uss kay ba-izzat banday hain.

21.27 Kiss baat mein Allah per paish dasti nahi kertay bulkay uss kay farmaan per kaar band hain.

21.28 Woh inn kay aagay peechay kay tamam umoor say waqif hai woh kissi ki bhi sifarish nahi kertay ba-juz unn kay jin say Allah khush ho woh to khud haibat-e-elahee say larzan-o-tarsan hain.

21.29 Inn mein say agar koi bhi keh day kay Allah kay siwa mein laeeq-e-ibadat hun to hum ussay dozakh ki saza den hum zalimon ko issi tarah saza detay hain.

21.30 Kiya kafir logon ney yeh nahi dekha kay aasman-o-zamin ba-hum milay julay thay phir hum ney unhen juda kiya aur her zinda cheez ko hum ney pani say peda kiya kiya yeh log phir bhi emaan nahi latay.

21.31 Aur hum ney zamin mein pahar bana diye takay woh makhlooq ko hila na sakay aur hum ney iss mein kushada raahen bana den takay woh raasta hasil keren.

21.32 Aasman ko mehfooz chat bhi hum ney hi banaya hai. Lekin log iss ki qudrat kay namoono per dehan hi nahi dhartay.

21.33 Wohi Allah hai jiss ney raat aur din aur sooraj aur chand ko peda kiya hai. Inn mein say her aik apney apney madaar mein tertay phirtay hain.

21.34 Aap say pehlay kissi insan ko bhi hum ney hameshgi nahi di kiya agar aap marr gaye to woh hamesha kay liye reh jayen gay.

21.35 Her jaandaar mot ka maza chakhney wala hai. Hum ba-tareeq imtehan tum say her aik ko buraee bhalaee mein mubtila kertay hain aur tum sab humari hi taraf lotaye jaogay.

21.36 Yeh munkireen tujhay jab bhi dekhtay hain to tumhara mazaq hi uratay hain kay kiya yehi woh hai jo tumharay maboodon ka zikar buraee say kerta hai aur woh khud hi rehman ki yaad kay bilkul hi munkir hain.

21.37 Insan jald baaz makhlooq hai. Mein tumhen apni nishaniyan abhi abhi dikhaoon ga tum mujh say jald baazi na kero.

21.38 Kehtay hain kay agar sachay ho to bata do kay yeh wada kab hai.

21.39 Kaash! Yeh kafir jantay kay uss waqt na to yeh kafir aag ko apney chehron say hata saken gay aur na apni peethon say aur na unn ki madad ki jayegi.

21.40 (Haan haan!) waday ki ghari unn kay pass achanak aajayegi aur enhen hakka bakka ker dey gi phir na to yeh log ussay taal saken gay aur na zara si mohlat diye jayengay.

21.41 Aur tujh say pehlay rasoolon kay sath bhi hansi mazaq kiya gaya pus hansi kerney walon ko hi uss cheez ney gher liya jiss ki woh hansi uratay thay.

21.42 Inn say poochiye kay rehman say din aur raat tumhari hifazat kaun ker sakta hai? Baat yeh hai kay yeh log apnay rab kay zikar say phiray huye hain.

21.43 Kiya humaray siwa inn kay aur mabood hain jo enhen musibaton say bacha len. Koi bhi khud apni madad ki taqat nahi rakhta aur na koi humari taraf say rafaqat diya jata hai.

21.44 Bulkay hum ney enhen aur inn kay baap dadon ko zindagi kay saro saman diye yahan tak kay unn ki muddat-e-umar guzar gaee. Kiya woh nahi dekhtay kay hum zamin ko iss kay kinaron say ghatatay chalay aarahey hain abb kiya wohi ghalib hain?

21.45 Keh dijiye! Mein to tumhen Allah ki wahee kay zariye aagah ker raha hun magar behray log baat nahi suntay jabkay unhen aagah kiya jaye.

21.46 Agar enhen teray rab kay kissi azab ka jhonka bhi lag jaye to pukar uthen kay haye humari bad-bakhti! Yeqeenan hum gunehgar thay.

21.47 Qayamat kay din hum darmiyan mein laa rakhen gay theek theek tolney wali tarazoo ko. Phir kissi per kuch bhi zulm na kiya jayega. Aur agar aik raaee kay daney kay barabar bhi amal hoga hum ussay laa hazir keren gay aur hum kafi hain hisab kerney walay.

21.48 Yeh bilkul sach hai kay hum ney musa-o-haroon ko faislay kerney wali noorani aur perhezgaron kay liye waaz-o-naseehat wali kitab ata farmaee hai.

21.49 Woh log jo apney rab say bin dekhay khof khatay hain aur qayamat (kay tasawwur) say kaanptay rehtay hain.

21.50 Aur yeh naseehat-o-barkat wala quran bhi humin ney nazil farmaya hai kiya phir bhi tum iss kay munkir ho.

1 comment:

Zain Shabir said...

This is useful. Ma Shaa Allah. Thanks for sharing. May Allah Bless You. Also visit this website for Hadiths in Arabic, Urdu and English translation, Naats Lyrics, Islamic Blogs, Prayer Times, Qissas-ul-Anbia and 99 Names Of Allah with meaning and translation. IF Islam