(Sura-Anbiya Makka mai Nazil hui, is mai aikso-bara (112) Aayatain hain) |
21.01 Logon kay hisab ka waqt qareeb aagaya phir bhi woh bey khabri mein mun pheray huye hain. 21.02 Inn kay pass inn kay rab ki taraf say jo bhi naee naee naseehat aati hai issay woh khel kood mein hi suntay hain. 21.03 Inn kay dil bilkul ghafil hain aur inn zalimon ney chupkay chupkay sirgoshiyan kin kay woh tum hi jesa insan hai phir kiya waja hai jo tum aankhon dekhtay jadoo mein aajatay ho. 21.04 Payghumber ney kaha mera perwerdigar her uss baat ko jo zamin-o-aasman mein hai ba-khoobi janta hai woh boht hi sunnay wala aur jannay wala hai. 21.05 Itna hi nahi bulkay yeh to kehtay hain kay yeh quran peraganda khuwabon ka majmooa hai bulkay iss ney az-khud issay ghar liya hai bulkay yeh shaeer hai werna humaray samney yeh koi aisi nishani latay jesay kay aglay payghumber bhejay gaye thay. 21.06 Inn say pehlay jitni bastiyan hum ney ujarin sab eman say khali thin. To kiya abb yeh eman layen gay. 21.07 Tujh say pehlay bhi jitney payghumber hum ney bhejay sabhi mard thay jin ki taraf hum wahee utartay thay pus tum ehal-e-kitab say pooch lo agar khud tumhen ilm na ho. 21.08 Hum ney inn kay aisay jism nahi banaye thay kay woh khana na khayen aur na woh hamesha rehney walay thay. 21.09 Phir hum ney unn say kiye huye sab waday sachay kiye unhen aur jin jin ko hum ney chaha nijat ata farmaee aur hadd say nikal janey walon ko gharat ker diya. 21.10 Yaqeenan hum ney tumhari janib kitab nazil farmaee hai jiss mein tumharay liye zikar hai kiya phir bhi tum aqal nahi rakhtay? 21.11 Aure boht si bastiyan hum ney tabah ker din jo zalim thin aur unn kay baad hum ney doosri qom ko peda ker diya. 21.12 Jab unhon ney humaray azab ka ehsas ker liya to lagay uss say bhagney. 21.13 Bhag dor na kero aur jahan tumhen aasoodgi di gaee thi wahin wapis loto aur apney makanaat ki taraf jao takay tum say sawal to ker liya jaye. 21.14 Kehney lagay haaye humari kharabi! Be-shak hum zalim thay. 21.15 Phir to unn ka yehi qol raha yahan tak kay hum ney unhen jarr say kati hui kheti aur bujhi pari aag (ki tarah) ker diya. 21.16 Hum ney aasman-o-zamin aur inn kay darmiyan ki cheezon ko kheltay huye nahi banaya. 21.17 Agar hum yun hi khel tamashay ka irada kertay to to ussay apnay pass say hi bana letay agar hum kerney walay hi hotay. 21.18 Bulkay hum sach ko jhoot per phenk maartay hain pus sach jhoot ka sir tor deta hai aur woh ussi waqt nabood ho jata hai tum jo baten banatay ho woh tumharay liye baees-e-kharabi hain. 21.19 Aasmano aur zamin mein jo hai ussi Allah ka hai aur jo uss kay pass hain woh uss ki ibadat say na sirkashi kertay hain aur na thaktay hain. 21.20 Woh din raat tasbeeh biyan kertay hain aur zara si bhi susti nahi kertay. 21.21 Kiya inn logon ney zamin (ki makhlooqaat mein) say jinhen mabood bana rakha hai woh zinda ker detay hain. 21.22 Agar aasman-o-zamin mein siwaye Allah Taalaa kay aur bhi mabood hotay to yeh dono darhum barhum ho jatay pus Allah Taalaa arsh ka rab her uss wasf say pak hai jo yeh mushrik biyan kertay hain. 21.23 Woh apney kaamon key liye (kissi kay aagay) jawab deh nahi aur sab (uss kay aagay) jawab deh hain. 21.24 Kiya inn logon ney Allah kay siwa aur mabood bana rakhay hain inn say keh do laao apni daleel paish kero. Yeh hain meray sath walon ki kitab aur mujh say aglon ki daleel. Baat yeh hain kay inn mein kay aksar log haq ko nahi jantay issi waja say mun moray huye hain. 21.25 Tujh say pehlay bhi jo rasool hum ney bheja uss ki taraf yehi wahee nazil farmaee kay meray siwa koi mabood bar-haq nahi pus tum sab meri hi ibadat kero. |
October 15, 2014
SURAH ANBIYA (1-25 Aayat)
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment