February 1, 2014

Quran And Hadith

Narrated An-Nu'man bin Bashir RadiyAllahu I
heard Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi
Wasallam) saying, Beware! There is a piece of
flesh in the body if it becomes good (reformed)
the whole body becomes good but if it gets
spoilt the whole body gets spoilt and that is the
heart.
[Sahih Bukhari :: Vol.1 :: Book 2 :: Hadith 50]
Urdu Translation: Narrated An-Nu'man bin
Bashir RadiyAllahu se Rivayat hai ke main ne
Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam se suna
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya
Sunlo badan mein Aik gosht ka tukda hai jab wo
durust hoga to sara badan durust hoga aur agar
wo bigad gaya to sara badan bigad gaya aur wo
tumhara dil hai.
[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol.1 :: Hadith 52]
-------------------------------
KIYA AAP JANTE HAIN?
“GOOD MORNING”
kiya hay.?
YE ZAMANA-e-JAHILIYAT KA SALAM HAY!
HAMARE PYARAY NABI{S.A.W.W} K PAAS 1 SHAKHS ne aa kar
“subha bakhair” {GOOD MORNING}
kaha TO AAP “S.A.W.W” NE FARMAYA HAMARA SALAM TUMHARE SALAM Se BEHTAR HAY or wohi Ahl-e-jannat ka salam hy..
YANI
“ASSALAM-O-ALAIKUM”
{Seerat-un- Nabwia. 2/272.
Ap Khud b Good morning kehne se bachen or dosron ko ye SHARE kar k bachne ko kahen..

------------------------------------------
Bismillah-irrahmanir-rahim

Allahumma inni Asalukal Jannat-Al-Firdaus
Allahumma inni Asalukal Jannat-Al-Firdaus
Allahumma inni Asalukal Jannat-Al-Firdaus

Allahumma Ajirna Minan Naar
Allahumma Ajirna Minan Naar
Allahumma Ajirna Minan Naar

Anas bin malik radi allahu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo Allah se 3 baar jannat ka sawal karta hai to Jannat kahti hai "Ya Allah isko jannat ata farma de"
aur jo 3 baar Dozakh ki aag se panah maangta hai to Dozakh ki aag kahti hai ki Ya Allah isko Aag se nijat ata farma de"
Sunan Ibn Majah , Vol. 1 #4340

Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab Allah taaala se mangna ho to Jannat Al firdaus mango kyunki wo jannat ka sabse achcha aur buland darja hai.
Sahih Bukhari, Vol 4, 2790

Abu Sa'id Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jannat mein ek Darakht hai jiskey saaye mein umdah aur tez raftaar ghodey par sawar shaksh 100 saal tak chalta rahe phir bhi usey tay ( complete) nahi kar sakta
Sahih Bukhari, Vol7, 6553

Sahal Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jannat waley (apney upar ke darjo ke) baalakhano (ghar) ko is tarah dekhegey jis tarah tum Aasman mein sitaron ko dekhtey ho
Sahih Bukhari, Vol7, 6555
---------------------------------------------------
Anas bin Malik narrated that the Messenger of Allah peace be upon him said "Whoever asks Allah Paradise three times,
Paradise says: 'O Allah, admit him into Paradise',
and whoever seeks refuge from the Fire three times, the Fire says: 'O Allah, save him from the Fire.'"
Sunan Ibn Majah , Vol. 1, Book 37, Hadith 4340

Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, when you ask Allah (for something), ask for Al-firdaus which is the best and highest part of Paradise.
Sahih Bukhari, Book 52, Hadith #48

Narrated Sahl Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "The people of Paradise will see the Ghuraf (special abodes) in Paradise as you see a star in the sky
Sahih Bukhari, Book 76, Number 561:

Narrated Abu Sa'id Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said: There is a tree in Paradise (so huge) that a fast (or a trained) rider may travel: for one hundred years without being able to cross it.
Sahih Bukhari, Book 76, Number 559e:

--------------------------
Bismillah-irrahmanir-rahim

Mafhum-e-Hadith: Kisi ke ghar mein bina ejazat jhaankna bhi mana hai

Al Quran : Eh Imaan walo apney gharon ke siwa aur kisi ke gharon mein na jaya karo jab tak ki Ejazat na le lo aur Ghar walo ko salam na kar lo ye tumharey liye behtar hai taki tum naseehat hasil karo
Al Quran Surah An-Noor (24) , verse 27

Hadith: Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Agar koi shaksh tere ghar mein tumse ejazat liye bagair jhaank raha ho aur tum usey kankari (paththar) maro jis sey uski aankh phoot jaye to tum par koi saza nahi hai
Sahih Bukhari, Vol8, 6888

Al Quran : O you who believe! Enter not houses other than your own, until you have asked permission and greeted those in them; that is better for you, in order that you may remember.
Al Quran Surah An-Noor (24) , verse 27

Hadith: Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu : That he heard prophet Peace be upon him said If someone is peeping (looking secretly) into your house without your permission, and you throw a stone at him and destroy his eyes, there will be no blame on you.
Sahih Bukhari, Volume 9, Book 83, Number 26

-----------------------------------------------

No comments: