February 1, 2014

** DEENI UMOOR JAISE IMAMAT AUR DAWATO TABLEEGH PAR UJRAT WASOOL KARNE KI HURMAT **

Joh log apni dawat ko anbiya ki dawat ki taraf mansoob karte hai woh QUR'AN me Anbiyah alayhimusalaam ki Dawat par mutawajje ho:

"Kiya aap inn say koi ujrat chahatay hain? Yaad rakhiye kay aap kay rab ki ujrat boht hi behtar hai aur woh sab say behtar rozi rasan hai." (Surah Muminoon:72)

"Aisay logon ki raah per chalo jo tum say koi mawaza nahi mangtay aur woh raah-e-raast per hain." (Surah Yaseen:21)

"Keh dijiye! Kay mein tum say iss per koi ujrat talab nahi kerta aur na mein takaluf kerney walon mein say hun." (Surah Saad:86)

" Kiya tu (aye Muhammad sallalahu alayhi wasallam) inn say koi ujrat talab kerta hai kay yeh uskay tawaan say bojhal ho rahey hain." (Surah Toor:40)

" Kiya tu inn say koi ujrat chahta hai jiss kay tawaan say yeh dabay jatay hon."(Surah Qalam:46)

"Aur uss kitab per eman lao jo mein ney tumhari kitabon ki tasdeeq mein nazil farmaee hai aur uss kay sath tum hi pehlay kafir na bano aur meri aayaton ko thori thori qeematon per na farokht kero aur sirf mujh hi say daro." (Surah Baqarah:41)

"Aey eman walo! Aksar ulama aur abid logon ka maal na haq kha jatay hain aur Allah ki raah say rok detay hain aur jo log soney chandi ka khazana rakhtay hain aur Allah ki raah mein kharach nahi kertay unhen dard naak azab ki khabar phoncha dijiye." (Surah Tawbah:34)
** RASOOLULLAAH SALLALAHU ALAYHI WASALLAM KEY FARMAAN..**

Sunan Abu Dawood #531: (Saheeh)

Usman bin Abul 'Aas sey riwayat hai ki Maine Allah ke Nabi sallalahu alayhi wasallam sey guzarish ki woh mujhe Qabiley ka imam (namaz ke liye) banadey.Aap ne farmaya:Tum unkey imam ho,toh unke dhuafa (sabse daef)ko dekhna.Aur Muadhin usey banana joh Azaan dene ki logo se ujrat na wasool karey" (Saheeh)

Jab azaan dene ki ujrat wasul karna saabith nahi toh namaz parhaney ki kahan se saabith hogayi bhai??

Sunan Abu Dawood #3416 #3417 (Hassan,ikhtilaf hai,kuch ulama daef bhi mante hai.)

Ubaydah bin Samit sey riwayat he ki woh Ashaab e suffa key log ko likhna aur Qur'an sikhaya karte the.Inmey sey ek shaks ne mujhey ek kamaan dia.Mainey kaha.'Yeh toh kuch bhi nahi aur main issey Allah ki rah me teerandazi karunga.Main iskey barey me Rasool sallalahu alayhi wasallam ke paas jaunga aur sawaal karunga!Chunanchey mein aap sallalahu alayhi wasallam ke paas gaya aur kaha "Ya Rasoolullah sallalahu alayhi wasallam.Ek admi ne mujhe ek kamaan taufey mein diya.Inhey me Qur'an ki taleem deta hun aur is kamaan ki kuch maleet bhi nahi hai.toh kya mein issey Allah ki rah me teerandazi key liye istemaal karun? Aap sallalahu alayhi wasallam ne farmaya agar tujhe yeh baat pasand hai ki teri galey me AAG ka tauk pahnaya jaye toh usey qubool karle!

Sunan Abu Dawood #2917 (Hasan)

Al Hasan sey riwayat hai ki Imran bin Husayn ka ek dafah ek shaks key paas sey guzar hua joh quran ki tilawat karke logo sey maangta.Toh unhoney ne kaha Inna lillahi wa inna ilayhi rajioon! aur kaha ki mainey Allah ke Nabi sallalahu aalyhi wasallam ko kahte huye suna ki "Joh koi bhi Quran parta hai toh usey chahiye ki woh ALlah sey uskey zariye (ajr) talab karey.Beshak ek aisi qaum ayegi joh QUR'AN KO PADHKAR logo sey MANGA karegi.

Sunan Abu Dawood #3664 (Hasan)

Abu Hurayrah radhiallahu anhu sey riwayat hai ki Nabi sallalahu alayhi wasallam ne kaha ki 'Jis Shaksh ney woh ilm joh Allah ta'ala ki khushnoodgi haasil karne ke liye seekhi jati hai ,usey duniya haasil karne ke liye sikha toh woh JANNAT ki khusboo tak bhi nahi payega.
** KYA SAHABA EKRAAM (RIZWANULLAHI AJMA'EEN) ZINDAGI GUZARNE KE LIYE QUR'AN SEY KAMAYA KARTE THEY? ** (MAAZALLAH)

Saheeh Muslim # 4682

Anas bin Malik radhiallahu anhu sey riwayat hai ki kuch log Allah ke Nabi sallalahu alayhi wasallam key paas aaye aur unse kuch logo ki guzarish ki joh unhey quran aur sunnat sikhaye.Toh aap sallalahu alayhi wasallam ne 70 Ansaree sahaba ko bheje jinhey Qurra kaha jata tha woh raaton ko Quran parke uspar gaur aur fikr karte aur dinko masjid key liye pani latey aur lakdiyan bechkar kamatey aur us kamayi ashaab e suffa aur gareebo ke liye khana kharid latey.

Saheeh Bukhari # 285 Bk 34

Aisha radhiallahu anhu sey riwayat hai ki Allah ke Nabi sallalahu alayhi wasallam key sahaba MAJDOORI kiya karte the aur unki paseeney ki boo aya karti thi toh unhey gusl karne ko kaha jata tha.

Saheeh Bukhari #270 Bk 64

Umar radhiallahu anhu sey riwayat hai ki NABEE sallalahu alayhi wasallam Bani An Nadir key baag key khajuro ko becha karte they aur (ussey kharidkar khana) itna jama karte ki woh unkey Ahl key liye ek saal tak jama rahta.

** RUQAYA KEY BADLE UJRAT WASOOL KARNE KI GALAT ISTEDHLAL KA RADD **

Baaz log Saheehayn me joh Ruqya key mutalliq Allah ke Nabi sallalahu alayhi wasallam ne ujrat lene ka chooth dia hai uspar istedhlal karke usko kheechkar tamam deeni umoor par daakhil kardete hai.. halaki uppar diye huye dalayl aur doosri braheen ko darmiyan me rakhte huye yehi samjha jasakta hai ki sirf or sirf Ruqya key liye Nabi sallalalahu alayhi wasallam ne EK EXCEPTION bandha hai jiske badaulat log ujrat wasool karsakte hai.Isliye Saheeh Bukhari me Imam Bukhari rahimahullah ne isey Kitabut Tibb (Book of Medicines) me jama kiya hai.

Doosri baat Allah ke Nabi sallalahu alayhi wasallam ne Nikaah ko asaan karne key liye uski Mahr dene key liye kuch nahi bhi mila toh Quran parkar usko hi mahr par de dene ki ijazat diye hai.Yeh isliye ki gareeb key liye bhi nikah asaan ho aur zina mushkil.Abh kuch log hanfiyon ki tarha is hadeeth ko kheech kar quran key liye ujrat ko kis haysiyat se saabit karte hai yeh unki aqal ko hi samajh ata hai.Goya ki aagar Sahabi loha mahr me dete toh shayad yeh log Biwi ko lohey sey maarna bhi saabit kardetee!!! HASNEY KI BAATH NAHI RONEY KI BAATH HAI KI KAM AQALI KI BHI EK HADH HOTI HAI.

Baath poori tarha wazey hogayi ki kisi bhi soorat me Adhaan dena,Imamat karne par,Quran sikhaney par ujrat CHARGE yani wasool karna sakht HARAAM HAI.

Rabbana La tuzigh quloobana ba'ad idh hadaytana wahablana min ladunka rahmatan innaka antal Wahhaab

No comments: