September 9, 2013

Naseehat (Advice).Hadith

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim


Mafhum-e-Hadith: kharid wa farokht ( Business) mein barkat

Hakim bin Hizam Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya kharidney aur bechney walon ko us waqt tak ikhtiyaar hai jab tak dono juda na ho jaye phir agar dono ne sachchaaii se kaam liya aur har baat saaf saaf khol di to unkey kharid wa farokht (Business) mein barkat hoti hai lekin agar koi baat chupa kar rakhi ya jhoot kahi to unki barkat khatam kar di jati hai
Sahih Bukhari, Vol 3, 2079

----------------------------------------

Narrated Hakim bin Hizam Radiallahu anhu : Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "The seller and the buyer have the right to keep or return goods as long as they have not parted or till they part; and if both the parties spoke the truth and described the defects and qualities (of the goods), then they would be blessed in their transaction, and if they told lies or hid something, then the blessings of their transaction would be lost."
Sahih Bukhari, Vol 3, Book 34, No. 293:


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim 

Sab milkar Allah ki (hidayat ki) Rasii ko mazbuti se thaam lo, aur aapas mein firqon mein na banto aur Allah ki us meharbani ko yaad karo jab tum ek dusrey ke dushman they to usney tumharey dilon mein ulfat daal di aur tum uski meharbani se bhai bhai ho gaye aur tum Aag ke ghadhey (brink of a pit) ke kinarey tak pahunch chukey they to Allah subhanahu ne tumko us sey bacha liya aur is tarah Allah apni aaytein khol khol kar sunata hai taki tum hidayat hasil karo
Al Quran , Aal-e-Imran (3), Verse #103

Aur Allah aur uskey Rasool ke hukm par chalo aur aapas mein jhagda na karna ke ( aisa karogey to) tum buzdil ho jaogey aur tumhara Iqbal jata rahega( yani taqat khatam ho jayegai) aur sabr se kaam lo ki Allah sabr karney walo ke saath hai
Al Quran: Surah Anfal (8): verse 46
------------------------------------------------

And hold fast, all of you together, to the rope of Allah (i.e. this Qur an), and be not divided among yourselves , and remember Favour of Allah on you, for you were enemies one to another but He joined your hearts together, so that, by His Grace, you became brethren (in Islamic Faith), and you were on the brink of a pit of Fire, and He saved you from it. Thus Allah makes His Ayat (proofs, evidence, verses, lessons, signs, revelations, etc.,) clear to you, that you may be guided.
Al Quran , Aal-e-Imran (3), Verse #103


And obey Allah and His Messenger, and do not dispute (with one another) lest you lose courage and your strength departs, and be patient. Surely, Allah is with those who are As-Sabirun (the patient).
Al Quran: Surah Anfal (8): verse 46

-------------------------------------------

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Mafhum-e-Quran : Parhaizgaron par marney se pahley Waseeyat karna lazim hai

Tum par farz kiya jata hai ki jab tum mein se kisi ke Maut ka waqt aa jaye to agar wo kuch Maal chorh janey wala ho to Maa Baap aur Rishteydaron ke liye Dastur ke Mutabiq Wasiyat kar jaye ye lazim hai parhezgaron par. Phir Jo koi usey sunney ke baad badal daaley uska gunaah usi par hoga jo usey badlega, beshaq Allah bada sunney wala aur janney wala hai.Al Quran, Surah Al-Baqara (2), Verse: 180-181
-----------------------------
English Translation
It is prescribed for you, when death approaches any of you, if he leaves wealth, that he makes a bequest to parents and next of kin, according to reasonable manners. (This is) a duty upon Al-Muttaqun. Then whoever changes the bequest after hearing it, the sin shall be on those who make the change. Truly, Allah is All-Hearer, All-Knower.
Al Quran, Surah Al-Baqara (2), Verse: 180-181

-------------------------------------------------------------

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Al Quran : Gunaah aur zulm ki baaton mein madad na karo

Neki aur parhaizgaari ke kaamo mein ek dusrey ki madad kiya karo aur gunaah aur zulm ki baaton mein madad na karo, aur allah se daro beshaq Allah ka azab sakht hai
Al Quran: Surah Al-Maeda (5), verse 2
---------------------------------------
Help you one another in Al-Birr and At-Taqwa (virtue, righteousness and piety); but do not help one another in sin and transgression. And fear Allah. Verily, Allah is Severe in punishment.
Al Quran: Surah Al-Maeda (5), verse 2

-------------------------------------------------

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Hadith: Koi shaksh apney kisi deeni bhai ki taraf Hathyaar se ishara na karey

Abu Huraira Radiallahu anhu se rivayat hai Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Koi shaksh apney kisi deeni bhai ki taraf Hathyaar se ishara na karey kyunki wo nahi janta mumkin hai shaitan uskey haaath se chura de aur phir wo kisi musalman ko maar kar uski wajah se jahannam ke ghadey mein gir jaye
Sahih Bukhari, Vol 8, 7072
---------------------------------------------------------------------
Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "None of you should point out towards his Muslim brother with a weapon, for he does not know, Satan may tempt him to hit him and thus he would fall into a pit of fire (Hell)"
Sahih Bukhari, Vol 9, Book 88, No. 193:

--------------------------------------------------

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim


Mafhum-e-Hadith: Koi Mard kisi (gair mahram) aurat ke saath tanhaii mein na baithey

Ibn Abbas Radiallahu anhu se rivayat hai ki unhoney nabee Sallallahu Alaihi Wasallam se suna ki koi Mard kisi (gair mahram) aurat ke saath tanhaii mein na baithey aur koi aurat us waqt tak safar na karey jab tak uskey saath uska mahram na ho itney mein ek sahabi khadey huye aur farmaya Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam mainey falah jihad mein apna naam likhwa diya hai aur meri Biwi hajj ke liye ja rahi hai to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya tu bhi uskey saath hajj ke liye ja.
Sahih Bukhari, Vol 4, 3006
------------------------------------------------------------------------

Narrated Ibn Abbas: That he heard the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam saying, It is not permissible for a man to be alone with a woman(gair mahram), and no lady should travel except with a Muhram (i.e. her husband or a person whom she cannot marry in any case for ever; e.g. her father, brother, etc.). Then a man got up and said, O Allah's Apostle! I have enlisted in the army for such-and-such Ghazwa and my wife is proceeding for Hajj. Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, Go, and perform the Hajj with your wife.
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 52, No. 250: 
-------------------------------------------------------------------

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Mafhum-e-Hadith: Agar Namaz parhtey waqt Neend aa jaye
to usey so jana chahiye yahan tak ki neend us se khatam ho jaye

Hazrat Aayesha radi allahu anha se rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne famaya namaz Parhtey waqt jab tum mein se kisi ko oongh aa jaye (feeling sleepy) to usey so jana chahiye yahan tak ki neend us se khatam ho jaye isliye ki jab tum mein se koi shaksh namaz mein oongh raha ho to wo kuch na janega ki wo maghfirat talab kar raha hai ya apney nafs ko baddua kar raha hai
Sahih Bukhari, wudhu ka Bayan (212)
------------------------------------------------------------------
Narrated 'Aisha radi allahu anha: Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "If anyone of you feels drowsy while praying he should go to bed (sleep) till his slumber is over because in praying while drowsy one does not know whether one is asking for forgiveness or for a bad thing for oneself."
Sahih Bukhari, Vol 1, Book 4, No. 211:

--------------------------------------------------------------------------------------

Bismillah-Hirrahman-Nirrahim 

Hadith : jab tum mein se koi shaksh masjid mein dakhil ho to baithney se pahley Do Rakaat namaz parh le

Abu Qatada Al Salmi radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah sallallahu-alaihi-wasallam ne farmaya jab tum mein se koi shaksh masjid mein dakhil ho to baithney se pahley Do Rakaat namaz parh le
Sahih Bukhari , Vol 1, # 444
---------------------------------------------------------------
Narrated Abu Qatada Al-Aslami may ALLAH be pleased with him Allah's Apostle Peace be upon him said, If anyone of you enters a mosque, he should pray two Rakat before sitting.
Sahih Bukhari,Vol 1, Book 8, No. 435

---------------------------------------------------------------------------------

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Hadith: khana khilao aur Salam karo jisko pahchantey ho usko bhi aur jisko na pahchantey ho usko bhi

Narrated 'Abdullah bin 'Amr Radiallahu anhu : A man asked the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam , "What sort of deeds or (what qualities of) Islam are good?" The Prophet replied, 'To feed (the poor) and greet those whom you know and those whom you do not Know
Sahih Bukhari , Vol 1, Book 2, No. 11
--------------------------------------------------------------------
Abdullah bin 'Amr Radiallahu anhu se rivayat hai ki Ek aadmee ne Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam se pucha kaunsa islam bahtar hai farmaya ki tum khana khilao aur Salam karo jisko pahchantey ho usko bhi aur jisko na pahchantey ho usko bhi.
Sahih Bukhari, iman ka Bayan (12)
-------------------------------------------------------------------------

No comments: