September 9, 2013

Gunaah (Sin) Hadith

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Mafhum-e-Hadith: Ek Jumaa se guzrey jumaa tak ke Gunaah maaf


Salman farsi Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jisney jumaa ke din ghusal kiya aur khub paki hasil ki aur Tel (oil) ya khushbu istemal ki phir jumaa ke liye chala aur Do aadmiyon ke beech mein na ghusa aur jitni uski kismat mein thi namaz Parhi phir jab Imam bahar aaya aur khutba shuru kiya to khamosh ho gaya,uskey is jumaa se guzrey (past) jumaa tak ke tamam gunaah baksh diye jayengey.
Sahih Bukhari, Vol 2, 910

Narrated Salman Al-Farsi Radiallahu anhu : Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Anyone who takes a bath on friday and cleans himself as much as he can and puts oil (on his hair) or scents himself; and then proceeds for the prayer and does not force his way between two persons , and prays as much as is written for him and remains quiet when the Imam delivers the Khutba, all his sins in between the present and the last friday will be forgiven."
Sahih Bukhari, Book #13, Hadith #33

--------------------------------------------------------------------------

Bismillah-irrahman-Nirrahim

Al Quran : (Allah) us waqt bhi unkey saath hota hai jab Raat ko chup kar uski marzi ke khilaf mashwarey kartey hain


Aur un logon ki taraf se mat jhagdo jo apney Dil mein daga rakjhtey hain jo shaksh Dagabaaz gunaahgar ho usey beshaq Allah pasand nahi karta ye log insaano se chuptey hain aur Allah se nahi chuptey, halanki wo (Allah) us waqt bhi unkey saath hota hai jab Raat ko chup kar uski marzi ke khilaf mashwarey kartey hain aur unkey sarey aamal par Allah ihata kiye huye hai
AL Quran, Surah An Nisa, verse 107-108

--------------------------------------------------------
And argue not on behalf of those who deceive themselves. Verily, Allah does not like anyone who is a betrayer, sinner. They may hide (their crimes) from men, but they cannot hide (them) from Allah; for He is with them (by His Knowledge), when they plot by night in words that He does not approve. And Allah ever encompasses what they do.
AL Quran, Surah An Nisa, verse 107-108

----------------------------------------------------------------------

Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith: yahi haal paancho waqt ki namazo ka hai ki Allah Paak unkey zariye se Gunahon ko mita deta hai

Abu Hurairah Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya agar kisi shaksh ke darwazey par Nahar jari ho aur wo rozana usmein paanch baar nahaye to tumhara kya ghuman hai kya uskey badan par kuch bhi mail baqi rah sakta hai sahaba radi-Allahu-Anhuma ne farmaya hargiz nahi Aapney farmaya ki yahi haal paancho waqt ki namazo ka hai ki Allah Paak unkey zariye se Gunahon ko mita deta hai
Sahih Bukhari , Vol 1, # 528

Narrated Abu Huraira may ALLAH be pleased with him I heard Allah's Apostle Peace be upon him saying, "If there was a river at the door of anyone of you and he took a bath in it five times a day would you notice any dirt on him?" They said, "Not a trace of dirt would be left." The Prophet Peace be upon him added, "That is the example of the five prayers with which Allah blots out (annuls) evil deeds.
Sahih Bukhari, Book 10, Number 506:

---------------------------------------------------------------------

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Mafhum-e-Hadith: Namazi ke aagey se Guzarney wale ko rok dena chahiye

Abu Said Khudri Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki jab koi shaksh kisi cheez ki taraf munh karkey namaz parey aur us cheez ko aad (sutra) bana raha ho aur phir bhi agar koi samney se guzrey to usey rok dena chahiye aur agar phir bhi na maney to usey forcily rokna chahiye kyunki wo shaitan hai
Sahih Bukhari, Vol 1, 508

Narrated Busr bin saeed Radiallahu anhu se rivata hai ki Abu Jahim Radiallahu anhu ne kaha ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya agar Namazi ke samney se guzarney wala shakash janta ki uska kitna bada gunaah hai to uskey samney se guzarney ki bajaye wo 40 (din, mahiney aur saal) tak intezar karta, abu an nadr ne kaha ki mujhe yaad nahi ki unhoney 40 din , mahiney ya saal kaha tha.
Sahih Bukhari, Vol 1 , 510

---------------------------------------------------------------------------

Narreted by Abu Sa'id khudri Radiallahu anhu , "I heard the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam saying, 'If anybody amongst you is praying behind something as a Sutra and somebody tries to pass in front of him, then he should repulse him and if he refuses, he should use force against him for he is a satan.
Sahih Bukhari, Vol 1, Book 9, No. 488


Narrated Busr bin Said Radiallahu anhu :Abu Juhaim Radiallahu anhu said that, "Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, 'If the person who passes in front of another person in prayer knew the magnitude of his sin he would prefer to wait for 40 (days, months or years) rather than to pass in front of him." Abu An-Nadr said, "I do not remember exactly whether he said 40 days, months or years."
Sahih Bukhari, Vol 1, Book 9, No. 489:

-------------------------------------------------------------------------

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jis shaksh ne Allah subhanahu ke liye is tarah Hajj kiya ki na koi fahash (buri) baat ki aur na koi gunaah to wo is tarah wapas aayega jaisey uski Maa ne usey abhi paida kiya ho ( yani gunaaho se bilkul paak)
Sahih Bukhari, 1521
----------------------------------------------------

Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Whoever performs Hajj for Allah's pleasure and does not do evil or sins then he will return (after Hajj free from all sins) as if he were born a new.
Sahih Bukhari, Volume 2, Book 26, Number 596:

---------------------------------------------------------------------------

Bismillah irrahman nirrahim

Hadith: Uskey gunaah badan se nikal jaatey hain, yahan tak ki naakhuno ke neechey se bhi nikal jatey hain


Nu'am Al-Mujmir radi allahu anhu se rivayat hai ki main Abu Hurirah Radiallahu anhu ke saath masjid ki chat (roof) par chada unhoney wudhu kiya aur kaha ki mainey Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam se suna ki meri ummat ke log wudhu ke nishaanat ki wajah se Qayamat ke din "Al-Ghurr-ul-Muhajjalun" ( Safaid Peshani aur Safaid haath paaw waley) kah kar bulaye jayengey to tum mein jo koi apni chamak badana chahta hai to wo bada le (yani regular wudhu karta rahey)
Sahih Bukhari, Vol 1, 136

Hazrat usman bin Affan Radi Allahu Anhu se Rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo Shaksh achchi tarah wudhu karey to uskey gunaah badan se nikal jaatey hain, yahan tak ki naakhuno ke neechey se bhi nikal jatey hain
Sahih Muslim, Vol1, 578

------------------------------------------------------------------------------

Narrated Nu'am Al-Mujmir Radiallahu anhu : Once I went up the roof of the mosque, along with Abu Huraira. He perform ablution and said, "I heard the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam saying, "On the Day of Resurrection, my followers will be called "Al-Ghurr-ul-Muhajjalun" ( the person who have white hands ,legs and face) from the trace of Ablution and whoever can increase the area of his radiance should do so (i.e. by performing ablution regularly).'
Sahih Bukhari, Vol 1, Book 4, No. 138:

Uthman b. 'Affan reported: The Messenger of Allah (way peace be upon him) said: He who performed ablution well, his sins would come out from his body, even coming out from under his nails.
Sahih Muslim, Book 002, Number 0476:

------------------------------------------------------------------
Bismillah-Hirrahman-Nirrahim 

Mafhum-e-hadith: Namazi ke samney se Guzarney ka gunaah

Abu Jaheem radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah sallallahu-alaihi-wasallam ne farmaya ki agar Namazi ke samney se guzarney wala janta ki uska kina bada gunaah hai to uskey samney se guzarney par 40 ( Din ya mahiney ya saal) tak wahi khadey rahney par tarjeeh deta Abu al nasar ne kaha ki mujhe yaad nahi ki basar bin saeed ne 40 din kaha ya 40 mahina ya 40 Saal
Sahih Bukhari , Vol 1, # 510
----------------------------------------------------------------------
Narrated Busr bin Said: Abu Juhaim Radi-Allahu-Anhu Said , "Allah's Apostle said, 'If the person who passes in front of another person in prayer knew the magnitude of his sin he would prefer to wait for 40 (days, months or years) rather than to pass in front of him." Abu An-Nadr said, "I do not remember exactly whether he said 40 days, months or years."
Sahih Bukhari,Volume 1, Book 9, Number 489:

---------------------------------------------------------------------------------------------

Bismillah-Hirrahman-Nirrahim
Hadith: Koi gunaah us sey badh kar nahi tha ki koi shaksh Quran ki surah ya Aayat parh kar bhula de

Hazrat Anas bin Malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya meri Ummat ke kaamon ke sawab mere samney pesh kiye gaye yahan tak ki kisi shaksh ka masjid se kooda karkat nikalney ka sawab bhi aur isi tarah meri ummat ke gunaah bhi mere samney pesh gaye to un gunahon mein se koi gunaah us sey badh kar na tha ki koi shaksh Quran ki surah ya Aayat parh kar ( ya yaad karkey bhula de
Sunan Abu Dawud, Vol 1, # 459
--------------------------------------------------------------------
Narrated Anas ibn Malik may ALLAH be pleased with him : The Prophet peace be upon him said: The rewards of my people were presented before me, so much so that even the reward for removing a mote by a person from the mosque was presented to me. The sins of my people were also presented before me. I did not find a sin greater than that of a person forgetting the Qur'anic chapter or verse memorised by him.
Sunan Abu Dawud, Vol 1, Book2 # 461

------------------------------------------------------------------------------------------

Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith: Jisey bagair saboot ke koi fatwa diya jaye uska Gunaah us par hoga jisney usko fatwa diya

Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya jisey bagair saboot ke koi fatwa diya jaye uska Gunah us par hoga jisney usko fatwa diya
 Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 53

------------------------------------------------------------------------------------
Narrated Abu Hurairah Radi Allahu Anhu “The Messenger of ALLAH Peace be upon him said: 'Whoever is given a Fatwa (verdict) that has no basis, then his sin will be upon the one who issued that Fatwa.
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 53

No comments: