September 18, 2013

Halal-Haram ( Permissible and Not permissible).


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Hadith : Tum log Bismillah Parh kar usey kha liya karo


Aisha Radiallahu anha se rivayat hai ki Kuch logon ne arz kiya Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam bahut se log hamarey yahan Ghosht latey hain humein ye malum nahi ki Allah ka naam unhoney zabah ke waqt liya tha ya nahi? Is par Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya tum log Bismillah Parh kar usey kha liya karo.
Sahih Bukhari, Vol 3, 2057


Narrated 'Aisha Radiallahu anhu : Some people said, "O Allah's Apostle! Sallallahu Alaihi Wasallam Meat is brought to us by some people and we are not sure whether the name of Allah has been mentioned on it or not (at the time of slaughtering the animals)." Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said (to them), "Mention the name of Allah and eat it."
Sahih Bukhari, Vol 3, Book 34, No. 273:

-------------------------------------------------------------

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Hadith: Tum log Bismillah par kar usey kha liya karo.

Aisha Radiallahu anha se rivayat hai ki Kuch logon ne arz kiya Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam bahut se log hamarey yahan Ghosht latey hain humein ye malum nahi ki Allah ka naam unhoney zabah ke waqt liya tha ya nahi? Is par Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya tum log Bismillah par kar usey kha liya karo.
Sahih Bukhari, Vol 3, 2057
-------------------------------------------------------------------------
Narrated 'Aisha Radiallahu anha : Some people said, O Allah's Apostle! Sallallahu Alaihi Wasallam Meat is brought to us by some people and we are not sure whether the name of Allah has been mentioned on it or not (at the time of slaughtering the animals). Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said (to them), Mention the name of Allah ( Say Bismillah) and eat it.
Sahih Bukhari, Vol 3, Book 34, No. 273:

-------------------------------------------------------------

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim


Hadith: Halal aur haram khula hua hai aur in dono ke darmiyan kuch cheezein shuba (doubtful) wali hain


Numan Bin Bashir Radiallahu anhu se rivayat hai ki main Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam se suna ki Halal aur haram khula hua hai aur in dono ke darmiyan kuch cheezein shuba (doubtful) wali hain jinko bahut se log nahi jantey phir jisney apne aapko in shuba ki cheezon se bacha liya usney apney deen aur izzat ko bacha liya aur jo koi in shuba ki cheezon mein Parh gaya uski missal us charwahey ki hai jo kisi ki charagah ke aas paas apney janwaron ko charaye aur kareeb hai ki uskey janwar usmein chale jaye sun lo har baadshah ki ek charagah hoti hai Allah ki chaaragah uski zameen par haram cheezain hain – sun lo badan mein ek ghosht ka tukda hai jab wo durast hoga to sara badan durast hoga aur agar wo bigad gaya to sara badan bigad gaya aur wo tumhara dil hai
Sahih Bukhari, Iman ka Bayan ,No.52


Narrated An-Nu'man bin Bashir Radi Allahu Anhu : I heard Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam saying, ' legal and illegal things are evident but in between them there are doubtful (suspicious) things and most of the people have no knowledge about them. So whoever saves himself from these suspicious things saves his religion and his honor. And whoever indulges in these suspicious things is like a shepherd who grazes (his animals) near the Hima (private pasture) of someone else and at any moment he is liable to get in it. (O people!) Beware! Every king has a Hima and the Hima of Allah on the earth is His illegal (forbidden) things. Beware! There is a piece of flesh in the body if it becomes good (reformed) the whole body becomes good but if it gets spoilt the whole body gets spoilt and that is the heart.
Sahih bukhari, Vol 1, Book 2, No. 49:

-----------------------------------------------------------------------------------
Bismillah-Hirrahman-Nirrahim


Hadith: Allah Subhanahu haraam Maal se diya hua Sadqa Qubul nahi farmatey

AbulMalih Radi Alllahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah Ta’ala haraam Maal se diya hua Sadqa Qubul nahi farmatey aur na hi bina paki ke Namaz (Qubul farmatey hain).
Sunan Abu Dawud, Vol 1, 59 ( Sahih)
---------------------------------------------------------------------------
Narrated AbulMalih Radi Alllahu Anhu : The Prophet peace_be_upon_him said: ALLAH does not accept charity from goods acquired by embezzlement as He does not accept prayer without purification.
Sunan Abu Dawud, Book 1, Number 0059 ( Sahih)
-------------------------------------------------------------------

Bismillah-Hirrahman-Nirrahim
Hadith: Har peeney wali cheez jo Nasha laye wo haraaam hai


Aap se Sharaab aur juye (gambling) ke baarey mein puchtey hain kah do inmein bada gunaah hai aur logon ke liye kuch faydey bhi hain aur unka Gunaah unkey Nafaa se bahut bada hai
Al Quran, Al-Baqara, Ch. 2, Verse 219

Aayesha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya Peeney ki wo har cheez jo Nasha laney wali ho wo Haram hai
Sahih Bukhari, Vol 1, No. 242

---------------------------------------------------------------------------
They ask you concerning alcoholic drink and gambling. Say: "In them is a great sin, and (some) benefit for men, but the sin of them is greater than their benefit."
Al Quran, Al-Baqara, Ch. 2, Verse 219


Narrated Aisha Radi Allahu Anha The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "All drinks that produce intoxication are Haram (forbidden to drink).
Sahih Bukhari, Volume 1, Book 4, Number 243

---------------------------------------------------------------------------

No comments: