July 4, 2013

Sadqa-Zakat (Charity)

BISMILLAH-IR-RAHMAN-IR RAHEEM

Hadith: us sey parinada ya insaan ya janwar jo bhi khatey hain wo uski taraf se sadqa hai

Anas bin Malik Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Koi bhi musalman jo ek darkht ka paudha(small tree) lagaye ya khet mein beej boye phir us sey parinada ya insaan ya janwar jo bhi khatey hain wo uski taraf se sadqa hai
Sahih Bukhari, Vol 3, 2320


Narrated Anas bin Malik Radiallahu anhu : Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "There is none amongst the Muslims who plants a tree or sowsseeds, and then a bird, or a person or an animal eats from it, but is regarded as a charitable gift for him."
Sahih Bukhari, Book 39, Hadith 513
-----------------------------------------------------

Hadith: Agar aurat apney Shohar ki kamayee uski ejazat ke bagair bhi ( Allah ke raastey mein) kharch karey to usey Aadha sawab milta hai

Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya agar aurat apney Shohar ki kamayee uski ejazat ke bagair bhi ( Allah ke raastey mein) kharch karey to usey Aadha sawab milta hai
Sahih Bukhari, Vol 3, 2066

Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu :The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "If a woman gives something (i.e. in charity) from her husband's earnings without his permission, she will get half his reward."
Sahih Bukhari, Vol 3, Book 34, No. 280: 
------------------------------------------------

Jo log Apney Maal Allah ki Raah mein kharch kartey hain phir kharch karney ke baad na ehsaan rakhtey hain na satatey hain , unke liye Apney Rab ke yahan sawab hai aur unko na koi Darr hai aur na wo gamgeen hongey.
Al Quran, Surah Baqra (2)- 262

English Translation: *
Those who spend their wealth in the Cause of Allah, and do not follow up their gifts with reminders of their generosity or with injury, their reward is with their Lord. On them shall be no fear, nor shall they grieve.
Al Quran, Surah Baqra (2)- 262

-----------------------------------------------

Al Quran: Aur Rishteydaron aur Mohtajon aur Musafiron ko unka Haq ada karo…
Aur Rishteydaron aur Mohtajon aur Musafiron ko unka Haq ada karo aur Fizul kharchi se Maal na udao. ki Fizul kharchi karney waley to Shaitan ke bhaii hain aur shaitan apney parwardigaar (ki naimaton) ka kufran karney wala (nashukra) hai
Al Quran, Surah isra (17) , verse 26-27

English Translation:
And give to the kinsman his due and to the Miskin (poor) and to the wayfarer. But spend not wastefully (your wealth) in the manner of a spendthrift. Verily, the spendthrifts are brothers of the Shayatin (devils), and the Shaitan (Devil-Satan) is ever ungrateful to his Lord.
Al Quran, Surah isra (17) , verse 26-27 

-----------------------------------------------------------

Al quran : Aur usmein se kharch karo jo humney tumhey Rozi di hai is sey pahley ki kisi ko tum mein se maut aa jaye to kahey ki Eh mere Rab tuney mujhe thodi muddat ke liye Dheel kyun na di ki main khairat karta aur naik logon mein ho jata.
Al Quran , Surah Al-Munafiqoon (63), verse 10

And spend of that with which We have provided you before death comes to one of you, and he says: "My Lord! If only You would give me respite for a little while , then I should give Sadaqah of my wealth, and be among the righteous .
Al Quran , Surah Al-Munafiqoon (63), verse 10
 
----------------------------------------------------

Abdullah bin Abbas Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya us shaksh ke baarey mein jo apni haayeza biwi ( yani haiz ki halat mein) se humbistari karey to wo ek dinar ya aadha dinar sadqa karey.
Sunan Nasaii, Vol 1, 292 ( Sahih)


Anas Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Yahudiyon mein se jis waqt kisi khatun ko haiz aata to wo apney saath na usey khilatey aur na ek makan mein uskey saath rahtey, Sahaba Radi-Allahu-Anhuma ne iskey mutalliq pucha to is par Allah Subhanahu ne ye aayat nazil farmayee jiska mafhum hai ki


Aur Aapsey Haiz ke baarey mein puchtey hain kah dijiye ki wo Najasat (Napaki) hai isliye Haiz mein aurton se dur raho aur unkey paas na jao ( yani humbistari na karo) yahan tak ki wo paak ho jayain phir jab wo paak ho jaye to unkey paas jao jahan se Allah ne tumhey hukm diya hai beshaq Allah Tauba karney walo ko Dost rakhta hai aur bahut paak rahney walon ko dost rakhta hai - Al Quran 2:222


Phir Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne Sahaba karam Radi-Allahu-Anhuma se farmaya ki wo Aurton se Haiz ki halat mein saath khilayein Peelayein aur ek makan mein saath rahain aur humbistari (intercourse) ke alawa tamam kaam karain.
Sunan Nasaii, Vol 1, 291 ( Sahih)



It was narrated that Anas Radi-Allahu-Anhu said: "When one of their womenfolk menstruated, the Jewswould not eat or drink with them, nor mix with them in their houses. They asked the Prophet of Allah Peace be upon him about that, and Allah Mighty and Sublime revealed


They ask you concerning menstruation. Say: that is an Adha (a harmful thing for a husband to have a sexual intercourse with his wife while she is having her menses), therefore keep away from women during menses and go not unto them till they are purified. And when they have purified themselves, then go in unto them as Allah has ordained for you Truly, Allah loves those who turn unto Him in repentance and loves those who purify themselves
Al Quran, 2 : 222 ) So the Messenger Allah commanded them to eat and drink with them (menstruatingwomen) and to mix with them in their houses, and to do everything
with them except intercourse.
Sunan Nasaii, Vol 1, 289 (Sahih)




It was narrated from Ibn Abbas from the Prophet Peace be upon him Concerning a man who has had intercourse with his wife while she was menstruating: "Let him give a Dinar or half a Dinar in charity
Sunan Nasaii, Vol 1, 290 (Sahih)

--------------------------------------------------------

Hadith: Aadmee agar sawab ki niyat se apney gharwalon par kharch kare to to wo bhi uskey liye sadqa hai


Narrated Abu Mas'ud Radiallahu anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "If a man spends on his family with the intention of having a reward from Allah then it is a (kind of) alms-giving in reward for him.
Sahih bukhari, Vol 1, Book 2, No. 52

Abu Mas'ud Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya aadmee agar sawab ki niyat se apney gharwalon par kharch kare to to wo bhi uskey liye sadqa hai
Sahih Bukhari, Iman ka Bayan , No. 55

---------------------------------------------------

Hadith: Allah Subhanahu haraam Maal se diya hua Sadqa Qubul nahi farmatey

AbulMalih Radi Alllahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah Ta’ala haraam Maal se diya hua Sadqa Qubul nahi farmatey aur na hi bina paki ke Namaz (Qubul farmatey hain).
Sunan Abu Dawud, Vol 1, 59 ( Sahih)

Narrated AbulMalih Radi Alllahu Anhu : The Prophet peace_be_upon_him said: ALLAH does not accept charity from goods acquired by embezzlement as He does not accept prayer without purification.
Sunan Abu Dawud, Book 1, Number 0059 ( Sahih)
JAZAK-ALLAH KHAYREN

1 comment:

Unknown said...

Zakat literally means "to be clear, to grow, to increase.