July 5, 2013

RamaDhaN-HaditH...

Urdu Translation:
Umm Aayesha radi allaho anha se rivayat hai ki jab (Ramadhan ka) Aakhri ashra aata to Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam apna tehband mazboot baandh letey (yani apni kamar kas letey) aur un raaton mein Aap Sallallahu Alaihi Wasallam khud bhi jagtey aur apney ghar walonko bhi jagaya kartey they 
Sahih Bukhari , Vol 3, 2024 

English Translation:
Narrated Aisha Radi Allahu Anha With the start of the last ten days of Ramadan, the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam used to tighten his waist belt (i.e. work hard) and used to pray all the night, and used to keep his family awake for the prayers 
Sahih Bukhari, Book 32, Number 241:

----------------



Beshaq humne is (Quran) ko Shab--e-Qadr mein nazil kiya hai 
Aur Aapko kya Malum ki Shab-e-Qadr Kya hai 
Shab-e-Qadr Hazar mahino se behtar hai 
ismein farishtey aur rooh nazeel hote hain Aapney Rab ke hukm se har kaam par 
wo subah Roshan honey tak salamti ki raat hai
Al Quraan: Surah Al-Qadr (97)

We have indeed revealed this (Quraan) in the Night of Power:
And what will explain to thee what the night of power is?
The Night of Power is better than a thousand months.
Therein come down the angels and the Spirit by Allah.s permission, on every errand:
Peace!...This until the rise of morn!
Al Quraan: Surah Al-Qadr (97) 

-------------------------------------------


Urdu Translation:
Umm Aayesha radi allaho anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallaho alaihey wasallam ne farmaya
Shab-e-Qadr ko Ramadhan ki Aakhri Ashrey ki Taaq (21, 23, 25, 27, 29) raaton mein talaash karo 
Sahih Bukhari, 2017 


English Translation:
Narrated 'Aisha Radi Allahu Anha: Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said,
"Search for the Night of Qadr in the odd nights (21, 23, 25, 27, 29) of the last ten days of Ramadan." 
Sahih Bukhari, Volume 3, Book 32, Number 234 

--------------------------------------



Urdu Translation:
Abu Hurairah Radi allaho anho se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Jo koi Shab e Qadr mein Imaan ke saath aur sawab ki niyat se Ibadat ke liye khada ho to uskey tamam pichley gunaah baksh diye jayengey 
Sahih Bukhari, Vol3, 1901


English Translation:
Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, Whoever established prayers on the night of Qadr out of sincere faith and hoping for a reward from Allah, then all his previous sins will be forgiven; 
Sahih Bukhari, Book 31, No. 125
--------------------------------------------



Urdu Translation:
Mafhum-e-hadith: Soban Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya kareeb hai ki dusri Qaumein tum par aisee tut parhegui jaisa bhuka khaney par tut parhta hai kisi ne arz kiya Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam kya hum us waqt bahut kam hongey farmaya ki nahi bulki tum us zamaney mein bahut ziyada hongey lekin tum sailab ( ya samundar) ke upar tairtey huye koodey kachrey (ya jhaag) ki tarah hongey aur Allah subhanahu tumhare Dushmano ke seeney se tumhara khauf aur ruaab nikal dega aur Allah tumharey seeno mein Wahan daal dega kisi ne kaha Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Wahan kya cheez hai to farmaya Duniya se Muhabbat aur Maut ko na pasand karna. 
Sunan Abu Dawud, Volume 3, #892


English Translation:
Narrated Thawban Radi Allahu Anhu : The Prophet (peace_be_upon_him) said: The nations will gather against you like those who are invited to a feast while they are starving. Someone asked: Will that be because of our small numbers at that time? He replied: No, you will be numerous at that time: but you will be scum and rubbish like that carried down by a torrent(or like the foam that floats on the ocean), and Allah will take fear of you from the breasts of your enemy and put wahn into your hearts. Someone asked: What is wahn (enervation). Apostle of Allah (peace_be_upon_him): He replied: Love of the world and dislike of death. 
Sunan Abu Dawud, Book 37, #4284
-------------------------------------------



Urdu Translation:
Hazrat Zaid bin Khalid radi-allahu-anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu-Alaihi-Wasallam nefarmaya Jo kisi Rozeydar ka roza iftar karaye
 to usko bhi uskey barabar sawab milega aur rozeydar ke sawab mein kami bhi nahi hogi 
Sunan Ibn Majah,Vol 1,#1746 

English Translation:
Narrated by Zaid bin Khalid may ALLAH be pleased with him said: The prophet peace be upon him said Whoever gives food to a fasting person
 with which to break his fast, will have a reward equal to his, without it detracting in the slightest from the reward of the fasting person. 
Sunan Ibn Majah, Vol 2,#1746
--------------------------------------------


Urdu Translation:
Jo Gunaahgar ( kaafir) hain wo ( Duniya mein) Momeeno se hansee kiya kartey they, Aur jab unkey pass se Guzartey to haqarat se ishaarey kartey 
Aur jab apney ghar ko jaatey to itratey huye jaatey , aur jab in ( momeeno) ko dekhtey to kahtey ki ye to gumraah hain, 
Haalanki wo un par nigraah bana kar nahi bhejey gaye hain, 
To Aaj momeen kaafiron se hansee karengey (aur) takhton par ( baithey huye) unka haaal dekh rahey hongey , to kaafiron ko unkey kaamo ka badla mil gaya 
Al Quran , Surah 83, Verse 29-36


English Translation:
Verily, (during the worldly life) those who committed crimes ( kaafir) used to laugh at those who believed.And, whenever they passed by them, used to wink one to another (in mockery). And when they returned to their own people, they would return jesting;And when they saw them, they said: "Verily these have indeed gone astray!" But they (disbelievers, sinners) had not been sent as watchers over them (the believers). 
But this Day (the Day of Resurrection) those who believe will laugh at the disbelievers, On (high) thrones, looking (at all things).Are not the disbelievers paid (fully) for what they used to do? 
Al Quran , Surah 83, Verse 29-36
---------------------------------------------




Urdu Translation:
Umm Aayesha radi allaho anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallaho alaihey wasallam ne farmaya
Shab-e-Qadr ko Ramadhan ki Aakhri Ashrey ki Taaq (21, 23, 25, 27, 29) raaton mein talaash karo 
Sahih Bukhari, 2017 


English Translation:
Narrated 'Aisha Radi Allahu Anha: Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said,
"Search for the Night of Qadr in the odd nights (21, 23, 25, 27, 29) of the last ten days of Ramadan." 
Sahih Bukhari, Volume 3, Book 32, Number 234 
-----------------------------------------------




No comments: