June 16, 2013

ImaaN (Faith)

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Mafhum-e-Hadith: Qabr mein honey wala ek sawal,Tu inkey (Rasoollallah Sallalllahu Alaihi wasallam ke) baarey kein kya kaha karta tha ?

Anas bin malik radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallaho Alaihi wasallam ne farmaya banda jab apni Qabr mein rakha jata hai aur uskey saathi jab peeth mod kar jatey hain to wo unki jutiyon ki aawaz sunta hai phir do farishtey uskey paas aatey hain usko bithatey hain aur us sey kahtey hain tu in shaksh ke baarey mein kya kaha karta tha( yani Muhammed Sallallahu alaihi wasallam ke baarey mein) momeen kahta hai Main gawahi deta hun ki wo Allah ke bandey hain aur uskey Rasool hain, Allah taala un par apni Rahmat aur salam bhejey, us sey kaha jata hai ki tu apna (pichla) thikana dekh jahannam mein , Allah taala ne iskey badley tujhe jannat mein thikana diya, Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya wo apney dono thikaney dekhta hai, Qatada ne kaha Anas ne humse zikr kiya ki uski Qabr 70 haath chodi ho jati hai aur sabzey se bhar jati hai (yani bageecha ban jata hai) Qayamat tak.
Sahih Muslim , Vol6, 7216
--------------------------------
English Translation:
Anas b. Malik Radi allahu anhu reported Allah's Apostle (may peace be upon him) said: When the servant is placed in his grave and his companions retrace their steps arid he hears the noise of the footsteps, then two angels come to him and make him sit and say to him: What you have to say about this person (Prophet Peace be upon him)? If he is the believer, it would say: I bear testimony to the fact that he is a servant of Allah and His Messenger. Then it would be said to him: Look to your (previous) seat in the Hell- Fire, for Allah has substituted (the seat of yours) with a seat in Paradise. Allah's Messenger (may peace be upon him) said: He would be shown both the seats. Qatada said: It was mentioned to us that his grave (the grave of a believer) expands to seventy cubits and is full with verdure until the Day when they would be resurrected.
Sahih Muslim, Book 040, Number 6862:
------------------------------------------------------------------------------------------------------


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Hadith: Imaan madiney mein simat kar is tarah aa jayega jaisey saanp simat kar apney bill mein aa jata hai

Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ( Qayamat ke kareeb) Imaan madiney mein simat kar is tarah aa jayega jaisey saanp simat kar apney bill mein aa jata hai
Sahih Bukhari, Vol 3, 1876

Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu : Allah's Apostle said, "Verily, Belief returns and goes back to Medina as a snake returns and goes back to its hole (when in danger)."
Sahih Bukhari, Vol 3, Book 30, No. 100

---------------------------------------------------------

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Beshaq Jo log kaafir hain , Ahla-e-kitaab (mein se) aur mushrik wo dojakh ki Aag mein parey rahngey (aur) hamesha usmein rahngey , Ye log sab makhluq se badtar hain

Beshaq jo log imaan laye aur neik kaam kartey rahey wo tamam makhluq se behtar hain
Al Quran , Surah bayyina(98), verse 6-7

Verily, those who disbelieve (in the religion of Islam, the Qur an and Prophet Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ) from among the people of the Scripture (Jews and Christians) and Al-Mushrikun will abide in the Fire of Hell. They are the worst of creatures
Verily, those who believe and do righteous good deeds, they are the best of creatures.
Al Quran , Surah bayyina(98), verse 6-7
--------------------------------------------------------------

Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith: Haya (Sharam) bhi imaan ka hissa hai
Salim Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne ek shaksh ko suna wo apney bhai ko Haya ki naseehat kar raha tha to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya haya bhi imaan ka hissa haiSunan Ibn Majah, Vol 1 , # 58 (Sahih)


Narrated Salim Radi Allahu Anhu that his father said: “The Prophet Peace be upon him heard a man urging his brother to be modest. He said: 'Indeed, modesty is a branch of faith.'”
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 58 (Sahih)
-------------------------------------------------

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Mafhum-e-Hadith: Sabse Afzal Amal Allah aur uskey Rasool par Imaan lana

Abu Hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam se pucha gaya ki kaunsa amal sabse afzal hai farmaya Allah aur uskey Rasool par Imaan lana, kaha gaya uskey baad kaunsa ? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ALlah ki raah mein Jihad karna kaha gaya phir kya hai ? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Hajj Mabroor
Sahih Bukhari, Vol2, 1519

Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam was asked, "Which is the best deed?" He Sallallahu Alaihi Wasallam said, "To believe in Allah and His Apostle." then asked, "Which is the next (in goodness)?" He Sallallahu Alaihi Wasallam said, "To participate in Jihad in Allah's Cause." then asked, "Which is the next?" He Sallallahu Alaihi Wasallam said, "To perform Hajj-Mabrur. "
Sahih Bukhari, Volume 2, Book 26, Number 594:
------------------------------------------------------------------------

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Mafhum-e-Hadith: jismein ye 3 khaslatein (baatein) paida ho jaye usney Imaan ki mithas ko pa liya

Hazrat Anas Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya 3 khaslatein (Qualities) aisee hain ki jismein ye paida ho jaye usney Imaan ki mithas ko pa liya:

Awwal ye ki Allah aur uska Rasool uske nazdeek sabse Jiyada mehboob ban jaye, dusra ye ki kisi insaan se sirf Allah ki Raza ke liye mohabbat kare, teesra ye ki wo kufr mein wapas lautney ko aisa bura janey jaisa ki aag mein daley jenny ko bura samajhta hai
Sahih Bukhari, Iman ka Bayan No. 21

Narrated Anas Radiallahu anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Whoever possesses the following three qualities will have the sweetness (delight) of faith:

1. The one to whom Allah and His Apostle becomes dearer than anything else.2. Who loves a person and he loves him only for Allah's sake.3. Who hates to revert to Atheism (disbelief) as he hates to be thrown into the fire."
Sahih Bukhari , Vol 1, Book 2, No. 15
---------------------------------------------------------

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Mafhum-e-Hadith: Tamam logon mein sabse ziyada Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam se Muhabbat

Hazart Anas Radiallahu anhu se riyayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya tum mein se koi shaksh Imaan wala nahi hoga jab tak uskey walid aur uski aulad aur tamam logo se jiyada uskey dil mein meri mohabbat na ho jaye
Sahih Bukhari, Iman ka Bayan , 14

Narrated Anas Radiallahu anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said "None of you will have faith till he loves me more than his father, his children and all mankind."
Sahih Bukhari , Vol 1, Book 2, No. 14
--------------------------------------------------------

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Hadith: tum mein se koi shaksh Imaan wala nahi hoga jab tak apney bhai ke liye wohi pasand na karey jo apney aap ke liye karta hai

Hazrat Anas Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya tum mein se koi shaksh Imaan wala nahi hoga jab tak apney bhai ke liye wohi pasand na karey jo apney aap ke liye karta hai
Sahih Bukhari, Iman ka Bayan ,13

Narrated Anas Radiallahu anhu :The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "None of you will have faith till he wishes for his (Muslim) brother what he likes for himself."
Sahih Bukhari , Vol 1, Book 2, No. 13
---------------------------------------------------------

Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Mafhum-e-Hadith :Takleef dene wali cheez ko raastey se hata dena bhi Imaan ka hissa hai
Hazrat Abu hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya imaan ki 60 se kuch upar ya 70 hissey (baab) hain jismein sabse kaam takleef dene wali cheez ko raastey se hata dena hai aur sabse ziyada LA iLAHA iLLALLAH kahna hai aur haya bhi IMaan ka hissa hai
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 57 (Sahih)

Narrated Abu Hurairah Radi Allahu Anhu The Messenger of ALLAH Peace be upon him said: Faith has sixty-some or seventy parts, the least of which is to remove a harmful thing from the road and the greatest of which is to say La illaha illallah (none has the right to be worshipped but ALLAH) And modesty is a branch of faith.Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 57 (Sahih)
-------------------------------------------------------


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith: kaunsa amal sabse afzal hai farmaya Allah aur uskey Rasool par Imaan lana

Hazrat Abu Hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam se pucha gaya ki kaunsa amal sabse afzal hai farmaya Allah aur uskey Rasool par Imaan lana, kaha gaya uskey baad kaunsa ? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah ki raah mein Jihad karna kaha gaya phir
kya hai ? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Hajj Mabroor
Sahih Bukhari, Vol1, 26
Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu :Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam was asked, "What is the best deed?" He Sallallahu Alaihi Wasallam replied, "To believe in Allah and His Apostle (Muhammad). The questioner then asked, "What is the next He replied, "To participate in Jihad in Allah's Cause." The questioner again asked, "What is the next ?" He replied, "To perform Hajj 'MubrurSahih Bukhari Volume 1, Book 2, Number 26: 
--------------------------------------------------


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith: 3 khaslatein (aadatein) aisee hai ki jismein ya paida ho jaye usney Imaaan ki mithas ko pa liya

Anas radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya 3 khaslatein (aadatein) aisee hai ki jismein ya paida ho jaye usney Imaaan ki mithas ko pa liya, awwal ye ki Allah aur uska Rasool uskey nazdeek sabse ziyada mehboob ban jaye dusrey ye ki wo kisi insaan se sirf Alllah ki Raza ke liye Muhabbat rakhey, teesrey ye ki wo Kufr mein wapas lautney ko aisa bura jaaney jaisa ki Aag mein daley jaaney ko bura janta hai
Sahih Bukhari, Vol1, 16


Narrated Anas Radi Allahu Anhu The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Whoever possesses the following three qualities will have the sweetness (delight) of faith:
1. The one to whom Allah and His Apostle becomes dearer than anything else
2. Who loves a person and he loves him only for Allah's sake.
3. Who hates to revert to Atheism (disbelief) as he hates to be thrown into the fire.
Sahih Bukhari, Volume 1, Book 2, No. 16
---------------------------------------------------------

Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith: Tum mein se koi bhi Imaan wala na hoga jab tak Main uskey walid aur Aulad se bhi ziyada uska mehboob na ban jauu


Abu hurarirah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Qasam hai us zaat ki jiskey haath mein meri jaan hai tum mein se koi bhi Imaan wala na hoga jab tak Main uskey walid aur Aulad se bhi ziyada uska mehboob na ban jauu
Sahih Bukhari, Vol1, 14.


Hadith: None of you will have faith till he loves me more than his father and his children

Narrated Abu Hurair Radi Allahu Anhu: "Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "By Him in Whose Hands my life is, none of you will have faith till he loves me more than his father and his children.
Sahih Bukhari, Volume 1, Book 2, Number 14
-------------------------------------------------------

Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith: Musalman wo hai jiski zuban aur haath se Musalman bachey rahey…


Abdullah bin Amr radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Musalman wo hai jiski zuban aur haath se Musalman bachey rahey aur Muhajir wo hai jo un kaamo ko chor de jinhe Allah taala ne mana farmaya
Sahih Bukhari, Vol1, 10

Hadith: A Muslim is the one who avoids harming Muslims with his tongue and hands…
Narrated Abdullah bin Amr Radi Allahu Anhu :The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "A Muslim is the one who avoids harming Muslims with his tongue and hands. And a Muhajir (emigrant) is the one who gives up (abandons) all what Allah has forbidden."
Sahih Bukhari Volume 1, Book 2, Number 10
------------------------------------------------------

Bismillah-Hirrahman-Nirrahim
Hadith: Haya ( sharam) bhi Imaan ki ek shaakh hai

Abu Hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Imaan ki 60 se kuch upar shaakhain hain aur Haya ( sharam) bhi Imaan ki ek shaakh hai

Sahih Bukhari, Vol1, 9

Hadith: Haya is a Part of Faith.

Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Faith (Belief) consists of more than sixty branches (i.e. parts). And Haya (This term "Haya" covers a large number of concepts which are to be taken together; amongst them are self respect, modesty, bashfulness, and scruple, etc.) is a part of faith."
Sahih Bukhari, Volume 1, Book 2, Number 9

No comments: