June 16, 2013

Bidat (Innovation)


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Mafhum-e-hadith : jisney bhi yahan (madiney mein) bida’t nikali us par Allah taala aur tamam farishton aur insano ki laanat hai


Anas Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya madina Harem hai falah jagah se falah jagah tak, is hadd mein na koi darakht kaata jaye na jkoi bida’t ki jaye aur jisney bhi yahan bida’t nikali us par Allah taala aur tamam farishton aur insano ki laanat hai
Sahih Bukhari, Vol 3, 1867



Narrated Anas Radiallahu anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Medina is a sanctuary from that place to that. Its trees should not be cut and no heresy should be innovated nor any sin should be committed in it, and whoever innovates in it an heresy or commits sins (bad deeds), then he will incur the curse of Allah, the angels, and all the people."

Sahih Bukhari, Vol 3, Book 30, No. 91:
------------------------------------------------------------------------------------
Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Hadith: Unhey mere samney se kheench liya jayega main kahunga ki Eh mere Rab ye to meri ummat ke log hain

Abdullah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya main Hauj-e-kausar par tum logo ka paish khaima (predecessor) hunga aur tum mein se kuch log meri taraf aayengey jab main unhey hauj ka pani deney ke liye jhukunga to unhey mere samney se kheench liya jayega main kahunga ki Eh mere Rab ye to meri ummat ke log hain. Allah taala farmayega Aapko maaluum nahi, ke unhoney aapkey baad deen mein kya nayee batein nikal li thi.
Sahih Bukhari, Vol 8, 7049


Narrated 'Abdullah Radiallahu anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "I am your predecessor at the Lake-Fount (Kauthar) and some men amongst you will be brought to me, and when I will try to hand them some water, they will be pulled away from me by force whereupon I will say, 'O Lord, my companions!' Then the Almighty will say, 'You do not know what they did after you left, they introduced new things into the religion after you.'"
Sahih Bukhari, Vol 9, Book 88, No. 173
-----------------------------------------------------------------------------------------------------
Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith: Sabse badtareen kaam Deen mein nayee nayee baton ka paida karna hai

Jabir bin Abdullah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya sabse behtar amr (amal ke liye) Allah ki kitab hai aur sabse behtar tareeqa Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ke tareeqa hai sabse badtareen kaam Deen mein nayee nayee baton ka paida karna hai aur har Nayee baat gumrahi hai aur farmaya ki jis shaksh ne marney ke baad maal chorha wo uskei warison ka hai aur jisney karz ya Ayaal ( children) chorhey wo mere zimmey hai
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 45 (Sahih)


Narrated Jabir bin Abdullah “Then the Messenger of ALLAH Peace be upon said The best of matters is the Book of ALLAH and the best of guidance is the guidance of Muhammad Peace be upon him The most evil matters are those that are newly-invented, and every innovation (Bid'ah) is a going astray.' And he used to say: 'Whoever dies and leaves behind some wealth, it is for his family, and however leaves behind a debt or dependent children, then they are both my responsibility.'”Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 45 (Sahih)
----------------------------------------------------------------------------
Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Mafhum-e-Hadith: Unhoney Nayee nayee batein nikalee tumharey baad

Hazrat Ummul Momineen Salma Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Alaihi Wasallam ne farmaya main tumhara pesh khaima hunga Hauz par to tum Hoshiyar rahokoi tum mein se Aisa na ho mere pass aaye phir hataya jaye jaisey bhatka hua oont hataya jata hai main kahunga ye kyun hataye jatey hain jawab milega tumhey malum nahi unhoney Nayee nayee batein nikalee tumharey baad ( tarah tarah ki Bidatein Aaitqad aur amal mein) Main kahunga to dur ho
Sahih Muslim , Vol 6, 5974


Umm Salma Radi Allahu Anha, the wife of Allah's Apostle may peace be upon him said Allah's Messenger may peace be upon him said: I shall be your harbinger on the Cistern; therefore, be cautious lest one of you should come (to me) and may be driven away like a stray camel. I would ask the reasons, and it would be said to me: You don't know what innovations they made after you. And I would then also say: Be away.
Sahi Muslim, Book 030, Number 5686:
-----------------------------------------------------------------
Bismillah-Hirrahman-Nirrahim
Hadith: jisney hamarey Deen mein aisee baat ka Ezafa kiya jo usmein nahi to uski baat Qubul nahi hai
Umma Aayesha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya jisney hamarey Deen mein aisee baat ka Ezafa kiya jo usmein nahi to uski baat Qubul nahi hai(Sahih)
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , #14


Hadith: Whoever innovates something in this matter of ours (i.e., Islam) that is not part of it, will have it rejected
Narrated Aisha may ALLAH be pleased with her that the Messenger of ALLAH Peace be upon him said: “Whoever innovates something in this matter of ours (i.e., Islam) that is not part of it, will have it rejected.” (Sahih)
Sunan Ibn Majah, Vol 1, # 14
-------------------------------------------

No comments: