Kya Yahi Mohabbat Hai?
Agar milti BEWAFA ko saza-e-maut,
To DIWANO ki kabre he na hoti.]
Ek pal ko ro lete vo mehboob ki gum-e-judae me,
Yun fir ZINDAGI tanha kabhi guzari na hoti.
Mohbbat kab yahan kisi ki poori hoti hai,
Jaan bhi fida karde to bhi ye adhoori hoti hai.
Deewane to yun hi rah jate hai bina khwahishon ke,
Pori har khwahish to bewafa ke poojari ki hoti hai,
Humne bhi haseeno par daav khela mohbbat ka,
Unhone badle me hume barbaad kar diya.
Fir yaad aayi hume apne purane sathi mehkhane ki,
Usne ek pal me hi hume aabad kar diya.
Ye Mohbbat Bhi Kya Cheez Hai
Labon par hansi lani padti hai.
Ye mohbbat bhi kya cheej hai,
Ek se hoti hai aur hazaron se chhupani padti hai.
Bahut mushkil hota hai isse nibhana,
Agar ho jaye PYAR se to fir zamane se chhupana.
Ye mohbbat bhi kya cheej hai,
Har khushi is par hame lutani padti hai.
Bahut mushkil hota hai zamane se ladna,
Apni mohbbat ko bina lade hi pana.
Ye mohbbat bhi kya cheej hai,
Zindagi isme bhi apni dafnani padti hai.
Aanshu aa jate hai aankho me,
Labon par hansi lani padti hai.
Ye mohbbat bhi kya cheej hai,
Ek se hoti hai aur hazaron se chhupani padti hai.
Hamari Mohbbat Ke Aage Jhukhna Pada
Hamesha ke tarah he ye ek dhokha tha,
Tumse mohbbat bepanah karne ka ek mouka tha..!
Jab bhi tum milne aati thi jalta tha khuda,
Tabhe to aaj din tere milan ke tarha bohat chhota tha..!
Teri zulfon ke saaye me din yun he beet jata tha,
Tere aagosh me lipatkar har gum door ho jata tha..!
Jab bhe tum milne aati thi jalta tha khuda,
Tabhi to din palbhar me he guzar jata tha..!
Aakhir mohbbat me usse bhee jhukhna pada,
Hame chalte dekh mohbbat me usse bhi rukna pada..!
Jab bhi tum milne aati thi jalta tha khuda,
Tabhi to baarish banker usse bhe aaj rona pada..!
Usse bhe hamari mohbbat ke aage jhukhna pada.
Kyon Mohhabat Ka Imtehaan Lete Ho
Jindagi ko tumhare naam kiya hai.
Jalkar marna nahi hame tumhari mohbbat me,
Fir kyon parwano me hamara naam lete ho..!
Pata hai na jindagi jindagi nahi rahegi tere bin,
Fir kyon hamari mohbbat ka imtehaan lete ho..!
Hum to diwane bane bethe hai,
Aapki hi bataon ke kayal bane bethe hai.
Kese rakhe dil par kaabu hum,
Jab hanskar ek pal me hamari jaan lete ho..!
Pata hai na nahi rah sakte hai hum tere bin,
Fir kyon hamari mohbbat ka imtehaan lete ho..!
Tumse humne to sachcha pyar kiya hai,
Tumhari mohbbat me sab kuch nyochhawr kiya tha.
Kitne imtehaan diye hai tumhari mohbbat me,
Fir kyon hamari wafa par iljaam dete ho..!
Pata hai na jindagi jindagi nahi rahegi tere bin,
Fir kyon hamari mohbbat ka imtehaan lete ho..!
Ab aur na satana hame,
Mohbbat me na rushwa krna hame.
Jee nahi sakte hai ek pal bhi tere bin,
Fir kyon door rahne ki saja dete ho..!
Pata hai na jindagi jindagi nahi rahegi tere bin,
Fir kyon hamari mohbbat ka imtehaan lete ho..!!
No comments:
Post a Comment