July 21, 2011

Jumay Ke 7 Aamaal


Jumay Ke 7 Aamaal



Hadees Mein Hay Ke Jo Jumay Ke Din 7 Aamaal Karle Us Ko Masjid Jaate Hue Har Qadam Per Aik Saal Ki NaNafli Namazun Ka Sawab Milega Or Aik Saal Ke Nafli Rozun Ka Sawab Milega.
(Ibne Maja, Tirmizi, Nisai Or Abu Dawood)
1.Ghusul Karna
2.Achay Kapray Pehan Na
3.Masjid Jane Ki Fikar Karna
4.Masjid Paidal Jana
5.Imam Ke Qareeb Baithnay Ki Koshish Karna
6.Khutba Ghor Se Sun Na
7.Koi Behooda Laghoo Kaam Na Karna
Us Ke ilawa Nikah Jumay Ke Din Asr Ke Baad Karna Sunnat Hay Or Agar Shawaal Ka Month ho tu Double Sawab Kyun ke Hazrat-e-Ayesha Razi Allah Tala Anha Farmati hein k musalmano Apni Shaadi Shawaal Ke Month mein kia karo.
Us ke ilawa Janaza Ho tu Jumay ki namaz se pehlay parhoo.Hadees mein hay ke aik rivayat mein hay k aglay jumay tak or aik mein hay k qayamat tak Maghfirat hojati hay agr jumay ki namaz se pehlay dafnaya .Awam mein ye baat mashoor hay k log ziyada hongay jumay ki namaz mein isi liye hum jumay ki namaz k baad janaza parhwate hein jo ke bilkul ghalat cheez chal pari hay. Or Ulama ne likha hay k Jumay ki namaz se pehlay sirf 4 admi bhi houn tu hazarun namazi jumay ke se wo 4 afzal hein jin hun ne Sunnat Ada ki hay.
Us Ke ilawa Jumay Ko Kisi ka inteqal hojaye yaani kisi ka Thursday ki maghrib k baad inteqal hua maghrib ke baad doosra din shuroo hojata hay tu wo shab jumay hi ki hay or murday ko jald se jald dafnane ko kaha gaya hay hadees mein or murday ko Baraf Khaane Rakhna Gunah-e-Kabeera Hay. 2 Hours tak aik qabar khoodne mein time lagta hay. hamare han jab koi marjata hay tu aik aik or do do din tak murday ko baraf khaanay mein rakha jata hay ko ke ghalat hay.Islam mein iski koi gunjaish nahi hay, Hadees mein hay ke “Agar wo naik hay tu usko achi jaghan jane se rokte ho Or Agr Bura hay tu apne paas rakhte ho”.or kisi ka wait karne ki zarorat nahi hay ! hamare han tu Allah maaf kare doosray city se falan a raha hay falahn country se falan araha hay ke uska chehra dekhlun abhi dafna na nahi sab beqaar kaam hein bas sab tayari hogai qabar khud gai kafan dafan ka intezam hogaya tu bas phir dair nahi karni chahiye or ulama me is ki misaal aisi di hay k jab kisi ko hadsa hojaye masalann kisi ka sir phatt jaye ya koi emergency hojaye tu unko forran hospital ilaj k liye le jate hein ! lekin Us Shaks ke saath tu itna bara hadsa hua hay moat ka tu usko Khilona banadete hein Awam !
Jumay Ke Din ” Surah Kahaf ” Parhne Per Ahadeees Mein Bhi Buhat Si Fazeelat Ai Hay, Lehaza Koshish Ye Karein Ke Jumay ki Namaz Se Pehlay Parhlein !
Jo Fasaad Ke Dor Mein Meri Sunnat Zinda Karega Allah Usko 100 Shaheedun Ka Sawab Dein Gay (Hadees)


Naqshe Qadam Nabi Ke Hein Janant Ke Raaste

Allah Se Milate Hein Sunnat Ke Raaste

No comments: