July 19, 2011

Ghazal ^^^Aap Ke Liye ^^^


Teri Yaadon Ke Bina Koi Lamha Guzarta Nahin Toh Kya Karoon..
Dil Har Pal Tujh Ko Hi Pukare To Main Kya Karoon..

Meri Shaksiyat Ko Jo Pehchaan Di Tune Wo Kya Byaan Karoon..
Aap Se Hi Dil Mera Haara Hai To Main Kya Karoon..

Yeh Gam Aapka Apne Naam Kaise Karoon..
Teri Hi Khushi Mein Dil Rona Chahe To Main Kya Karoon..

Tere Bin Ujdi Hai Dil Ki Basti To Kya Karoon..
Dil Ki Kashti Ka Tu Ban Gaya Hai Maajhi Kya Karoon..

Kisi Ko Gale Laga Ke Rone Ki Muraad Ab Main Karoon..
Is Bhari Duniya Mein Dil Aapko Hi Apna Kahe To Kya Karoon..

Is Marz-E-Ishq Ki Koi Dawa Nahin Milti Kya Karoon..
Gehre Zakhmon Ke Nishan Na Jaaye To Kya Karoon..

Mere Ashkon Ka Sagar Tere Do Haath Dhoondhe To Kya Karoon..
Tujhko Dena Chahe Zindgani Mere Saare Haq To Kya Karoon..

Meri Bebasi Ka Tujhe Hai Ehsaas Is Baat Se Kaise Inkaar Karoon..
Tere Bin Zindagi Maut Si Lagti Hai Mujhe To Main Kya Karoon..

Tere Dil Mein Jo Basa Hai,
Main Woh Ek Ehsaas Hoon,
Door Rehkar Bhi Main Tere Paas Hoon....

Yeh Naa Soch Ke Teri Khamoshi Ne Mujhse Kuch Naa Kaha!!!
Meri Mohabbat Alfaazo Ki Mohtaj Nahi,
Main Tere Dil Ki Awaaz Hoon!!
Door Rehkar Bhi Main Tere Paas Hoon.....

Meri Pehchaan Tujhse Hi Hai,Teri Pehchaan Bhi Mujhse,
Tu Agar Jism Hai To Main Libaaz Hoon,
Door Rehkar Bhi Main Tere Paas Hoon....

Tujhko Tujhse Hi Churaa kar Mehfoos Rakha Hai Apne Dil Mein,
Tere Bin To Main Jaise, Ek Toota Hua Saaz Hoon!!!
Door Rehkar Bhi Main Tere Paas Hoon....

Jab Bhi Main Tanha Rehti Hoon,
Meri Har Soch Mujhse Tera Hi Zikar Karati Hai!!!
Tu Jo Saath Hai To Mehsoos Hota Hai Aksar,
Main Bhi Kuch Khaas Hoon..
Door Rehkar Bhi Main Tere Paas Hoon....

Tasveer Ki Koi Zubaan Nahi Hoti,
Aur Mohabbat Ki Umar Nahi Hoti,
Par Phir Bhi, Kabhi Zindagi Ke Panho Ko Palatkar Dekh,
Jo Bhuj Naa Paaye Mohabbat Mein,Main Waisi Ek Pyaas Hoon!!!
Door rehkar Bhi Main Tere paas Hoon....

Tere Jazbaaton Mein Bikhar Bhi Jaau To koi Gham Nahi!!!
Main Hi Tera Humsafar Hoon, Main Hi Humraaz Hoon..
Door rehkar bhi Main Tere Paas Hoon...
Apne Haathon ki lakeeron mein basa le mujhko
main hoon tera,Tu naseeb apna bana le mujhko
Apne haathon ki lakeeron mein basa le mujhko..

Mujhse Tu puchne aaya hai,waffa ke maani
Yeh Teri saada-dili maar na daale mujhko

Apne haathon ki lakeeron mein basa le mujhko...
Main hoon tera,Tu naseeb apna bana le mujhko...

Khud ko Main baant na daalu kahin Daaman-Daaman
Kar diya agar tune mere havale mujhko

Apne haathon ki lakeeron mein basa le mujhko...
Main hoon Tera,Tu naseeb apna bana le mujhko...

Vaada fir Vaada hai,Main zehar bhi pi jaau "QATEEL"
Shart yeh hai ke koi baahon mein sambhale mujhko

Apne haathon ki lakeeron mein basa le mujhko
Main hoon tera,Tu naseeb apna bana le mujhko...


Mujhe phir yaad aate hai.N mere bichre hue saathi
Lahoo mujh ko rulate hai.N mere bichre hue saathi

Mere takleef se hoti the un ko jo pareshaani
Usi ke yaad laate hai.N mere bichre hue saathi

Usi mehfil mai.N jis ki yaad se mujh ko muhabbat he
Abhi bhi khench late hai.N mere bichre hue saathi

Shanaasa haal se mere wo mujh se bhi zayaada hai.N
Mujhe khud se milate hai.N mere bichre hue saathi

Unhai.N shamo-sahar mai.N bhi hamesha yaad rakhta hoo.N
Mujhe kab bhool pate hai.N mere bichre hue saathi

Bula leta hoo.N akser khaab mai.N maazi ki yaadoo.N ko
Mujhe jab yaad aate hai.N mere bichre hue saathi

Kabhi jo neend aa jaye tu khaboo.N mai.N mere aaker
Mujhe pehroo.N sulate hai.N mere bichre hue saathi


Yeh dekhna hai ke kahani kahan badalti hai
Zindagi Aakhir Zindagi Hai
Har haal mein chalti hai

naa ummeedi mayoosi dil pe liye baitha hoon main
par sochta hoon ek pal ke liye bhi
saansein kahan thamti hai
Zindagi Aakhir Zindagi Hai
Har haal mein chalti hai

patharon ke chott ki parwah nahi mujhe
par phoolon se milli chott aankhein nam karti hai
Zindagi Aakhir Zindagi Hai
Har haal mein chalti hai

jashn kabhi manzil ka nahi safar ka hota hai
naa jaane zindagi kin halaaton se guzarti hai
Zindagi Aakhir Zindagi Hai
Har haal mein chalti hai

waqt ka takaza kaho ya kaho
khel haatho ki lakeeron ka
taqdeer sirf baaton ke
dam par kahan badalti hai
Zindagi Aakhir Zindagi Hai
Har haal mein chalti hai

muskurate hue har dard seh sakte hai
par kissi ki khamoshi dil ko bohat khalti hai
Zindagi Aakhir Zindagi Hai
Har haal mein chalti hai

dhoop aur chaao har safar ka hissa hai
mushkilon se ladhkar hi
humesha takdeer nikharti hai
Zindagi Aakhir Zindagi Hai
Har haal mein chalti hai


Mahsus Kar Mujhe Tu, Kabhi Paas Aa Ke Dekh
Mere Jahan-E-Dil Mein Apna Ghar Basa Ke Dekh

Koi Aisey Ajnabi Bhi Nahin Is Shahr Ke Log
Kuchh Keh To Ranj-O-Gham Ki, Sab Ko Suna Ke Dekh

Hamshakl Ho Gaya Hai Mere Gham Ka, Tera Gham
Tu Mere Dil Ko Apna Aayina Bana Ke Dekh

Yeh Farq Dair-O-Harm Ka Nazron Ka Bharam Hai
Tu Deengah Se Apni, Bahar To Aa Ke Dekh

Jab Ranjishon Mein Kat Gayee, Ab Na Fareb Kar
Waqt Aakhiree Hai, Ab Na Muskura Ke Dekh

Khamosh Sun Rahey Hain Hum, Sarghoshi-E-Bahar
Aatey Hain Apne Gaaon Se Jhonkey Hawa Ke Dekh

Main Muntzir Hun Roz-O-Shab, Aiy Dard-E-Do_Jahan!
Be-Dard, Jab Bhi Waqt Miley, Aazma Ke Dekh,..

No comments: