July 14, 2013

Hazrat Imam Ali(a.s.) Aqwal-E-Zareen (quotes)

Hazrat imam Ali(a.s.) ne irshaad farmaaya ke:

1. Hajamat badan ko saalim aur badan ko pukhta karti hai.
2. Munch ka durust karma pakizgi aur sunnat hai.
3. Miswak Khuda ki khushnudi aur munh ki paakizgi ka sabab aur sunnat hai.
4. Wazu aur gusl ke waqt naak me paani daalne aur kuli krne se munh aur naak saaf rehte hai.
5. Chink sar k liye mufeed hai. Badan aur sar k jumla amraz k liye shifa hai.
6. Nakhun katne se badi bimariya dur hoti hai aur rizq me wusa’t hoti hai.
7. Bagal k baal saaf karne se insaan badbu se mehfuz rehta hai.aur sunnat bhi hai
8. Khane se pehle aur baad dono hath dhone se rizq me izafa hota hai.
9. Jo shakhs Khuda se murade chahta hai aur sunnat par amal karma chahta hai wo Eid ke dono ghusl kare.
10. Raat ki ibadat se jism sehatmand rahta hai Khuda raazi hota hai, rahmate naazil hoti hai aur anbiya ke akhlak se tamassuk rahta hai.
11. Seb khaane se meda sahi rahta hai.
12. Kundar chabane se jadbe mazbut hote hai aur balgam dur hota hai aur munh ki badbu khatam hoti hai.
13. Zameen me gardish karne se banisbat tulu e fajr se tulu e aaftab tak Masjid me bethne se rizq jaldi hasil hota hai.
14. Rozana Nashte me 21adad surkh kishmish khaane se maut k alawa saare amraz dur ho jaate hai.
15. Kapda dhone se ham w gam dur hota hai aur Namaz k liye taharat hoti hai.
16. Musalman qibla ki taraf nahi thukta. Agar bhul se thuk diya to fauran Istegfar krta hai.
17. Kisi bhi jageh aur kisi bhi waqt Zikre Khuda se gaafil ne raho.
18. Dastarkhaan par jo gira hai oos ko khao q k izne Khuda se is me Shifa hai amraaz se,oos k liye jo shifa ka khwaha ho.
19. Khuda Jamaal ko dost rakhta hai aur nemat k aasar apne bande par dekhna chahta hai.
20. A logo apni zabaan ko rook aur achchhe andaz me Salam karo.
21. Sharab peene aur mauze par masah karne me koi takayya nahi hai.
22. Jo Ham se Mohabbat karta hai oose hamare jaisa amal karma chahiye aur parhezgaari se hamari Madad karma chahiye. Yahi behtareen cheez hai jis se Dunya w Aakherat me madad li ja sakti hai.
23. Jaha hamari burai ki ja rahi ho waha na baitho.
24. Sachchai k paband raho isi me tumhaari najaat hai.
25. Kiti buri baat hai k Momeen be Aabru ho kar k Jannat me jaaye.
26. Apne kirdaar k zariye Qayamat ke deen hamari shafaat se dur na ho.
27. Qayaat k din Apne dushman k saamne Zalil na ho.
28. Jis cheeez ka Khuda ne Hukm diya hai oos par amal karo.
29. Jab apne bhai ki zarurat se aagah ho to oose Sawal I zehmat na do.
30. Ek dusre se mulaqat karo Aapas me mehrban raho aur ek-dusre ko tohfe do.
31. Tilli na khaao Q K osse fasid khun banta hai.
32. Siyah libas na pehno q k ye Firon ka libas hai.
33. Naukdaar joote na pahna karo is tarah k joote firon pehna karta tha.
34. Sharaab khoron se dur raho.
35. Khajur khaaya karo is se amraaz se shifa hai.
36. Bahut zyada istegfaar karo isse rizq haasil hota hai.
37. Jitna ho sake khair karo, kal tumhe yahi milega.
38. Behas wa mubahesa na kiya karo isse shak me mubtela ho jaoge.
39. Imam k Zuhu ka Intezaar karo Aur Allah ki rehmat se mayus na ho. Zuhur ka Intezaar Allah k nazdik bahot zyada pasandida hai.
40. Namaze Subh k baad Allah par tawakkal karo is waqt muraade milti hai.
41. Jab hajj karo to Rasule khuda ki Ziuarat zarur karo usi ka to huk diya gaya hai Ziyarat na karma aa Hazrat par jafa karma hai.
42. Gunahe Kabira ki takat na rakhne ki bina par Gunahe sagira ko kam na samj, q k sagira jama ho kar Gunahe kabira ho jate hai.
43. Sajdo ko tool do jo sajde ko tool dega wo itaat guzar aur najaat yaafta hoga.
44. Jab aankh me koi taklif ho to Aayatal kursi pado aur ye eatekad rakho k is se shifa ho sakti hai to inshallah shifa hogi.
45. Khaane par Allah ko bar bar yaad karo Khane ko fekp nahi Allah ki har nemat aur Rizq par Us ki hamd aur shukr zaruri hai.
46. Jo Allah se mukhtasar Rizq par Raazi hoga Allah us se mukhtasar Aml par khush hoga.
47. Agar dhup me baithna chahte ho to suraj ki taraf pusht kar k baitho isse andruni Bimari dur hoti hai.
48. Jab muslim kamzor ho jaaye to use gosht aur dahi khaana chahiye Allah ne in dono me quwat karar di hai.
49. Musalman, Musalman ka aayna hai jab apne bhai ki lagzish dekho to ……… Us ko samjao, Nasihat karo aur narmi se pesh aawo.
50. Raat me sadqa diya karo Raat ka sadqa gazabe khuda ko kam krta hai.
51. Agar yakin k baad shak ho to yakin par etemad karo q k shak nay akin ko dur kar sakta hai aur na kam kr sakta hai.
52. Baatil ki gawahi na do.
53. Agar Shia jawano me koi jawan muje aisa nazar aaye jo deeni malumaat na rakhta ho to mai oos ko saza duga.(Almuhasin v1,p228)
54. Musalman ilaaj oos waqt krta hai jab marz sehat par galib aa jata hai.
55. Tahaarat k baad wuzu das nekiya rakhta hai.
56. Susti se dur raho jo susti karega wo khuda k hukuk ada na kar sake ga.
57. Baddbu ka ilaaj paani se karo apne ko saaf suthra rakho Khuda gande logo ko pasand nahi karta Aise log k jaha baithe
58. dusro ko taklif ho.
59. Namaz mein daadhi se na khelo aur aise koi kaam na karo jisse namaz se ghafil ho jao.
60. Qabal iske ke dusrey kaam mein mashghool ho,neyk kaam mein jaldi karo.
61. Momin khud taklif aur skhti mein rhta hai,magr doosro’n ko aaram deta hai.
62. Tunhari aksar batein zikre khuda honi chahiye.
63. Gunaho’n se bacho kynki jb bnda gunah krta hai oska rizq qaid ho jaata hai.
64. Apni bimari ka elaaj sadqe se karo.
65. Zakaat ada kr k apne amwaal ki hefazat karo.
66. Parhezgaaro’n ke taqreeb ka zariya namaz hai.
67. Hajj har kamzoor ka jihad hai.
68. Behtareen Shauhar-dari aurat ka jihad hai.
69. Tangedasti margg azeem hai.
70. Ghamo-alam aadha budhapa hai.
71. Jisne Mashwarah se kaam liya wo halak nahi hua.
72. Sharif aur deendaar insan k saath hi neyki achhi lgti hai.
73. Har cheez ka 1 phal hai.Neyki ka phal jldi charagh roshan krta hai.
74. Jise sawab ka yaqeen ho,wo rahe-khuda mein kharch krne me duregh nahi krta.
75. Jo musibt k waqt apne zanu pr haath marey,uska ajr khatm ho jata hai.
76. Momin ka behtarin amal Zahoor ka intezar krna hai.
77. Jisne apne Waledain ko naraz kiya,Wo aaq hua.
78. Sadqa dekr rizq hasil karo.
79. Duao’n k zariye balao’n ko door karo.
80. Balao’n k hujoom me aafiyat talab kro,kyn k ye deen apne saat le jata hai.
81. Apne nafs ko achhe akhlaaq se araasta rakho.
82. Jo Sharab ko sharab jaankr piye,khuda ose qyamat mein gandagiyon se serab krega.
83. Aurat ko chahiye k apne Shauhar k liye Khusboo lagae.
84. Jo apne maal ki hefazat mein qatal kiya jae,wo Saheed hai.
85. Jisko dhokha diya gayaho,wo na hi qabile tareef hai naahi qabile ajr.
86. Baap-betey aur shauhar-zauja k beech koi qasam nahi.
87. Raat tak khamosh rahna achha nahi hai,magar zikre khuda mein.
88. Khuda-wande-aalam amanatdaar karigar ko dost rakhta hai.
89. Namaz se badhkr koi cheez khuda k nazdeek mahboob nahi.
90. Khuda ne aisi qaumo’n ki mazammat ki,jinhon-e auqate namaz ki prwah nahi ki.
91. Neyki kabhi purani nahi hoti,Gunah kabhi bhoolaya nahi jata.
92. Khuda uon logo’n k saath hai jo parhezgar hain,jo aapas me achha bartaw karey.
93. khade hokr paani na piyo,warna aisa mrz lahaq hoga jiska koi elaaj nahi maghar ye k khuda shifa de.
94. Agar namaz me koi keeda pakd le,to ya ose dafn kr de ya phook do,ya kapde me lapaet lo,yahan tk k namaz tamam krlo.
95. Khuda se panah maango k krz zyada na hone paae.
96. Ahlebayt(a.s)ki misaal qashtiye nooh ki hai,jisne mokhalefat ki Wo halak hua.
97. Kapde ko sametna Namaz k liye taharat hai.khua ka irshad hai k lebas ko paak kro,yani daman ko sameto.
98. Duniya mein 4 nahrein Jannat ki hai.1)Furat 2)Neel 3)Saejun 4)Jaejun.
99. Jo shakhs maidanejang mein ho,hamari awaz sune aur hmari mdd na kre khuda ose jahannam mein daal dega.
100. Jiswaqt hamare”qaeam” ka zahoor hoga ous waqt aasman se rahmat nazil hogi.Zamin apni shadabiyon ko raushan kr degi.
101. Agar tumhe ilm ho k dushman k darmiya rahne se tumhe kya darjaat milte hain to tumhari aankhe roshan ho jae.
102. Jab ghar mein dakhil ho to,Ahley khana par salam karo.
103. Apne bachho’n ko namaz ki taleem do.jab wo 8 saal k ho jaen to uon par sakhti karo.
104. Kutto se dur raho,agar sukhe kutte se mas ho jao to apne kapde par paani chhidak lo aur agar wo gila hai to apna kapda dho lo.
105. Agar hamari koi Hadees suno aur oos ko samaj na pao to hamari taraf wapas kr do. Oos k bare me khamush raho aur jab haq waze ho jae to oos k samne taslim ho jae. Dekho raaz ko fash krne wale aur jaldbaz na bano.
106. Jo hamare haq me gulu kare ga oos ki baazgasht hamari hi taraf hogi aur jo hamare haq me kotahi krega wo aakhirkar hamare hi paas aaega.
107. Hamare dosto k liye Allahi rahmat ki fauj hai aur hamare dushmano k liye azabe ilaahi k sipahi. Hamara rasta eatadal aur aur hamaribaate hidayat hai.
108. Har aqlmand bataharat quran ki tilawat krta hai.
109. Aise kapde me Namaz nahi panda chahiye jisme ek shana Dhaka hua ho aur dusra khula q k ye quame lut ka tarika hai.
110. Jo Namaz sahi maano me ada krega Allah oos k gunaah bakhsh dega.
111. Namaz me Khuda se darna chahiye jo Namaz me Khuda se darega wo namaz k dauran kisi chiz se khaillega nahi.
112. Dono sajdo k baad itni der baitho k tumhare aaza sakin ho jae q k yehi hamara tarika hai.
113. Kisi momin ki Namaz qabul nahi hoti jab tak wo jannat ki dua na kare aur jahannam se panah na mange.
114. Jab namaz pado to is tarah pado k ye tumhari goya aakhri namaz hai.
115. Muskurahat namaz ko nahi todti, hn kahkahe se namaz tut jaati hai.
116. Jo hame dil se dost rakhe, zaban se hamari himayat kre aur hamare sat jehad kre wo jannat me hamare darje me hoga.
117. Jo hame dushman rakhe hamare khilaf zabadn chalae aur hame nuksan pohchae wo jahannam k aakhri hisse me hoga.
118. Jannat wale hamare shiyo k darajaat is tarah dekhege jis tarah se log aasman par taarey dekhte hai.
119. Badan me sab se nashukri ankh hai dekho oos k mutalebat poore na kro warna ye tumhe khuda ki yaad se gafil kr degi.
120. Jab sura e wattin ki tilawat karo to aakhir mei ye kaho “Wa nahno ala zaleka minash shahedin”.
121. Allah ki ibaadat me sab se zyada dushwar manzil Namaz k liye jaana hai.
122. Jab koi barahna hota hai to shaitan oose tam’a ki nigaah se dekhta hai. Apne badan ko urya na karo.
123. Mard k liye ye baat munasib nahi hai k logo k darmyan baithe aur oos ki raan khooli ho.
124. Badbudar cheez kha kar Masjid jaaya na karo.
125. Sajde me apne pichhle hisse ko zyada uthaaya karo.
126. Gusl krne se pahle apne dono haath kohniyo tak dholo.
127. Jab akele Namaz pad rahe ho to is tarah pado k qiraat aur takbeer wa tasbeeh ki aawaz khud suno.
128. Jab namaz se utho to daahi taraf chalo.
129. Aisa safar na karo jis me deen ko khatra ho.
130. Jo paigambar e islam(s) par Salwat nahi bhejta o ski Dua radd kr di jati hai.
131. Jis ne hamari pairwi ki wo kabhi gumrah nah huwa.
132. Jis ne hamare dushman ki madad ki wo najat yafta na huwa.
133. Dekho Dunya ki Lalach me hamse doori akhtayaar na karo.
134. Aurat par ek nigaah k baad dusri nigaah na krna warna fitne me mubtela ho jaoge.
135. Jis ne Sharaab pi, 40 din tak o ski Namaz qabul nahi hogi.
136. Ek chaadar me 2 mardo ko nahi sona chahiye.
137. Kaddu(dudhi) khao osse Dimaag tez hota hai aur Rasoole Khuda ise pasand farmate thhey.
138. Jis ne dunya ki itaat ki aur is ko aakherat par tarji di oos ne apni Aakherat barbad ki.
139. Agar Namaz guzar ko ye maalum ho jaaye k Khuda ki kya kya rehmate oos k shamile haal ho rahi hai to wo kabhi sajde se sar na uthayega.
140. Achhaiyon ka hukm do aur buraiyo se rook.
141. Zabaan hi ki badaukat ahle jahannam, Jahannam me jaenge.
142. Apni Zabaan ki hifazat karo, zikre Khuda k alawa kisi aur cheez me oose mashgul na karo.
143. Jo koi tasveer banaega, Qayamat me oosse oos k bare me sawal kiya jaega.
144. Pahle Khuda ki hamd karo fir Dua maango.
145. Agar gunaah baaki rah gaye ho to Maut ki sakhti se gunaah maaf ho jaenge.
146. Jo hamara raaz fash karega, Khuda dahekte huwe lohe se oos ko mazey chakhega.
147. Nashey ki 4 kisme hai. 1.Jawani ka nasha 2.Daulat ka nasha 3.neend ka nasha 4.iktedaar ka nasha.
148. Machhli kam khao q k isse badan pani hojata hai aur balgam me izafa hota hai., saans bhari hojata hai.
149. Aahista aahista dudh pine se amraaz dur hojate hai, siwaey marzal Maut ke.
150. Anaar oos k andar ki chrabi k saath khaao oosse meada pukhta hota hai aur dil zinda hota hai Shaitani waswas dur hota hai.
151. Gaaii ka gosht mojab dard hai lekin oos k dudh me shifa hai,isi tarah oos ki charbi.
152. Apni aulaad ko taaza khajure chaba kr khilao. Rasoole Khuda ne I.Hasan(a) aur I.Husain(a) isi tarah khilayi thi.
153. Dekho kabhi shaitan ko rasta na do aur oos ki baato me na aao.
154. Namahram Aourton se dur raho.
155. Agar shaadi nahi huwi hai to 2 rakat namaz pado aur zyada se zyada Khuda ki hamd karo.

No comments: