May 2, 2013

Maghfirat (forgiveness)

Bismillah hir-Rahman nir-RahimHadith: Farishtey aaaye aur pucha ki tune kuch achchey kaam bhi kiye hain ?
Huzaifa bin yaman Radi allahu anhu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya gujishta ummaton ke kisi shaksh ki rooh ke paas farishtey aaaye aur pucha ki tune kuch achchey kaam bhi kiye hain ? Rooh ne jawab diya ki main apney naukron se kaha karta tha ki wo maaldaar (Karzdar) logon ko mohlat diya karey un par sakhti na karein aur mohtaajon ko ( karz) maaf kar diya karein phir farishton ne bhi us se dar guzar ki aur sakhti nahi ki.Sahih Bukhari, Vol 3, 2077
English Translation:Narrated Hudhaifa Radiallahu anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Before your time the angels received the soul of a man and asked him, 'Did you do any good deeds (in your life)?' He replied, 'I used to order my employees to grant time to the rich person to pay his debts at his convenience.' So Allah said to the angels; "Excuse him." Rabi said that (the dead man said), 'I used to be easy to the rich and grant time to the poor.' Or, in another narration, 'grant time to the well-off and forgive the needy,' or, 'accept from the well-off and forgive the needy.'Sahih Bukhari, Vol 3, Book 34, No. 291----------------------------------------------------


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim 
Mafhum-e-Hadith: Ek Jumaa se guzrey jumaa tak ke Gunaah maafSalman farsi Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jisney jumaa ke din ghusal kiya aur khub paki hasil ki aur Tel (oil) ya khushbu istemal ki phir jumaa ke liye chala aur Do aadmiyon ke beech mein na ghusa aur jitni uski kismat mein thi namaz Parhi phir jab Imam bahar aaya aur khutba shuru kiya to khamosh ho gaya,uskey is jumaa se guzrey (past) jumaa tak ke tamam gunaah baksh diye jayengey.
Sahih Bukhari, Vol 2, 910Narrated Salman Al-Farsi Radiallahu anhu : Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Anyone who takes a bath on friday and cleans himself as much as he can and puts oil (on his hair) or scents himself; and then proceeds for the prayer and does not force his way between two persons , and prays as much as is written for him and remains quiet when the Imam delivers the Khutba, all his sins in between the present and the last friday will be forgiven."Sahih Bukhari, Book #13, Hadith #33------------------------------------------------------


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim
Al Quran: Shaitan tumhey tangdasti (gareebi) ka khauff dilata haiShaitan tumhey tangdasti ka khauff dilata hai aur be hayaaii ke kaam karney ko kahta hai aur Allah subhanahu tumse apni bakhshish aur rahmat ka Wada karta hai aur Allah bahut kushaeesh karney wala sab kuch jaanney wal haiAl Quran, Al-Baqara (2) , Verse 268
Shaitan (Satan) threatens you with poverty and orders you to commit Fahsha (evil deeds, illegal sexual intercourse, sins); whereas Allah promises you Forgiveness from Himself and Bounty, and Allah is All-Sufficient for His creatures needs, All-Knower. Al Quran, Al-Baqara (2) , Verse 268----------------------------------


Al Quran : Allah ki Rahmat se na ummed na hoBismillah hir-Rahman nir-Rahim
Eh mere bando jinho ne Apni jaano par ziyadati ki hai , Allah ki Rahmat se na ummed na ho, beshaq Allah sab gunaahon ko baksh deta hai, wo bakshney wala aur meharbaan haiAl Quran , Az-Zumar (39) , 53
Say: "O Ibadi (My slaves) who have transgressed against themselves (by committing evil deeds and sins)! Despair not of the Mercy of Allah: verily, Allah forgives all sins. Truly He is Oft-Forgiving, Most Merciful.Al Quran , Az-Zumar (39) , 53-----------------------------------------------------------


Bismillah irrahman nirrahim
Al Quran : Ya Rab, Hamarey aur hamrey Bhaeeyo ke jo humse pahley Imaan laye hain ke gunaah Maaf farma aur momeeno ki taraf se Hamarey Dil mein Keena (Hasad) paida na hone de, Ya Rab tu bada shafqat karney wala aur meharbaan haiAl Quran: Surah Al hashr (59) , verse 10
Our Lord! Forgive us and our brothers who have preceded us in Faith, and put not in our hearts any hatred against those who have believed. Our Lord! You are indeed full of kindness, Most Merciful.Al Quran: Surah Al hashr (59) , verse 10--------------------------------------------


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim Hadith: Farishton ki Aameen ke saath Aaameen
Abu Hurirah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab Imam Ghair-il-maghdubi 'alaihim wala-ddal-lin;kahey to tum bhi aameen kaho kyunki jiski aameen farishto ki aameen ke saath mil gayee uskey tamam gunaah maaf kar diye jayengey.Sahih Bukhari, Vol 1, 782

Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu : Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Say Amen' when the Imam says "Ghair-il-maghdubi 'alaihim wala-ddal-lin; all the past sins of the person whose saying (of Amin) coincides with that of the angels, will be forgiven.Sahih Bukhari, Vol 1, Book 12, No. 749----------------------------------------------------


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim
Hadith: Allah 7 tarah ke logo ko us din apney saye mein jagah dega jis din uskey saye ke siwa aur koi saya na hoga
Abu Hurirah Radiallahu anhu se Rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki Allah 7 tarah ke logo ko us din apney saye mein jagah dega jis din uskey saye ke siwa aur koi saya na hoga
1. Insaaf karney wala baadshah,
2. Wo Nojawan jo apney Rab ki ibadat mein jawani mein bhi masruf raha,
3. Aisa shaksh jiska dil hamesha masjid mein laga rahta hai
4. Do aisey shaksh jo Allah ke liye aapas mein mohabbat rakhtey hain aur sirf allah ke liye miltey aur juda hote hain.
5. wo Nojawan jisey ki baizzat aur haseen aurat ne (burey iradey se) bulaya lekin usney kah diya main Allah se darta hun
6. Aisa shaksh jisney aisa chupa ke sadqa diya ki bahiney haath ko bhi khabar nahi huyee ki dahiney haath ne kya kharch kiya …….
7.wo shaksh jisney tanhaii mein Allah ko yaad kiya aur aankhon se aansoo jaari ho gaye.Sahih Bukhari, Vol 1 , 660
Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu :
The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Allah will give shade, to seven, on the Day when there will be no shade but His. 
1.A just ruler,2.A youth who has been brought up in the worship of Allah,3.A man whose heart is attached to the mosques,4.Two persons who love each other only for Allah's sake and they meet and part in Allah's cause only,5.a man who refuses the call of a charming woman of noble birth for illicit intercourse with her and says: I am afraid of Allah,6.a man who gives charitable gifts so secretly that his left hand does not know what his right hand has given ,7.and a person who remembers Allah in seclusion and his eyes are then flooded with tears."Sahih Bukhari, Vol1, Book 11, No.629--------------------------------------------------------


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim 
Mafhum-e-Hadith: Farishtey us Namazi ke liye Maghfirat ki Dua kartey hain

Abu Hurirah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya farishtey tum mein se us namazi ke liye us waqt tak yu hi Dua kartey rahtey hain jab tak (namaz Parhney ke baad) wo apney musalley par baitha rahey aur hadas ( hawa kharij) na karey ki Eh Allah iski maghfirat farma , Eh Allah is par raham farma. Tum main se wo shkash jo sirf namaz ki wajah se ruka hua hai ghar janey se siwa namaz ke aur koj cheez uskey liye aham nahi , to uska (ye sara waqt) namaz hi mein shumar hoga.Sahih Bukhari, Vol1, 659
Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu : Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "The angels keep on asking for Allah's Blessing and Forgiveness for anyone of you as long as he is at his Musalla (praying place) and does not do Hadath (passes wind). The angels say, 'O Allah! Forgive him and be Merciful to him.' Each one of you is in the prayer as long as he is waiting for the prayer and nothing but the prayer detains him from going to his family."Sahih Bukhari, Vol 1, Book 11, No. 628:
--------------------------------------------------------


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim Mafhum-e-Hadith- Arfa (9 Dhul-Hijja) ike Din ka Roza ek saal guzrey huye aur ek saal aagey aaney waley ka kaffara hai
Abu Qatada al ansari se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam se Arafa (9th of Dhul-Hijja)ke Rozey ke baarey mein pucha to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ye ek saal guzrey huye aur ek saal aagey aaney waley (gunaaho ka) ka kaffara hai.Sahih Muslim,0 Vol 3, 2747Sunan ibn Majah, Vol 1, 1730
Abu Qatada al-Ansari (Allah be pleased with him) reported that the Messenger of Allah (may peace be upon him) was asked about fasting on the day of Arafa (9th of DhuI-Hijja), whereupon he Peace be upon him said: It expiates the sins of the preceding year (a year before) and the coming year ( and a year after).Sahih muslim, Book 006, 2603Sunan ibn Majah, Vol 2, 1730--------------------------------------------------


Bismillah-Hirrahman-NirrahimHadith : Jaha tak uski (Muadhdhin ki) aawaz jati hai uskey liye tamam khush aur tar cheezain gawah ban jati hai
Abu huraira Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya Muadhdhin ( Azan dene wala) bakhsh diya jata hai jaha tak uski aawaz jati hai uskey liye tamam khush aur tar cheezain gawah ban jati hai. Aur Namaz ( ki jamaat) mein aaney waley ke liye 25 Namazon ka sawab likha jata hai aur ek Namaz se dusri Namaz tak ke gunaah maaf kar diye jatey hain 

Sunan Abu Dawud, Vol 1, # 513

Narrated Abu Hurayrah Radi-Allahu-Anhu The Prophet peace_be_upon_him said: The mu'adhdhin will receive forgiveness to the extent to which his voice reaches, and every moist and dry place will testify on his behalf; and he who attends (the congregation of) prayer will have twenty-five prayers recorded for him and will have expiation for sins committed between every two times of prayer.Sunan Abu Dawud, Vol 1, Book 2, Number 0515----------------------------------------------------------------


Bismillah-Hirrahman-NirrahimHadith: yahi haal paancho waqt ki namazo ka hai ki Allah Paak unkey zariye seGunahon ko mita deta hai
Abu Hurairah Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya agar kisi shaksh ke darwazey par Nahar jari ho aur wo rozana usmein paanch baar nahaye to tumhara kya ghuman hai kya uskey badan par kuch bhi mail baqi rah sakta hai sahaba radi-Allahu-Anhuma ne farmaya hargiz nahi Aapney farmaya ki yahi haal paancho waqt ki namazo ka hai ki Allah Paak unkey zariye se Gunahon ko mita deta hai Sahih Bukhari , Vol 1, # 528-----------------------------------------------------------


Narrated Abu Huraira may ALLAH be pleased with him I heard Allah's Apostle Peace be upon him saying, "If there was a river at the door of anyone of you and he took a bath in it five times a day would you notice any dirt on him?" They said, "Not a trace of dirt would be left." The Prophet Peace be upon him added, "That is the example of the five prayers with which Allah blots out (annuls) evil deedSahih Bukhari, Volume 1, Book 10, Number 506:-------------------------------------------------------------------


Bismillah hir-Rahman nir-RahimMafhum-e-Hadith: Allah taala apney bando par is sey bhi ziyada mehrbaan hai jitni ye aurat (Maa) bacchey par meharban hai
Hazrat Umar radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah sallallho alaihi wasallam ke paas Qaidi aye ek aurat unmein se (kisi ko) dhundhti huyee aayee, jab usney un qaidiyon mein se ek bachchey ko paya to usko utha liya aur seeney se lagaya aur doodh pilaya Rasoollallah sallallho alaihi wasallam ne humse farmaya kya ye Aurat apney bachchey ko angar mein dal sakti hai humney kaha nahi kasam Allah ki wo kabhi nahi dal sakti Aap sallallho alaihi wasallam ne farmaya Allah taala apney bando par is sey bhi ziyada mehrbaan hai jitni ye aurat is bacchey par meharban hai
Sahih Muslim , Vol6, 6978

Umar b. Khattab Radi allahu anhu reported that there were brought some prisoners to Allah's Messenger (may peace be upon him) amongst whom there was also a woman, who was searching (for someone) and when she found a child amongst the prisoners, she took hold of it, pressed it against her chest and provided it suck. Thereupon Allah's Messenger (may peace be upon him) said: Do you think this woman would ever afford to throw her child in the Fire? We said: By Allah, so far as it lies in her power, she would never throw the child in Fire. ' Thereupon Allah's Messenger (may peace be upon him) said: Allah is more kind to His servants than this woman is to her child.Sahih Muslim Book 037, Number 6635:--------------------------------------------------------


Bismillah hir-Rahman nir-RahimMafhum-e-Hadith:Allah ki Rahmat Allah ke Ghazab PAR Ghalib hai
Hazrat Abu hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jab Allah taala ne makhluqat ko banaya to apni kitab mein likha Aur wo kitab uskey paas hai arsh ke upar kiMERI RAHMAT MERE GHAZAB PAR GHALIB HAISahih Muslim , Vol6, 6969

Abu Huraira Radi allahu anhu reported that Allah's Messenger (may peace be upon him) said: When Allah created the creation as He was upon the Throne, He put down in His Book: Verily, My mercy predominates My wrath.Sahih Muslim Book 037, Number 6626:
--------------------------------------------------------


Bismillah ir rahman nirahimMafhum-e-Hadith: Tauba ki ahmiyatاستغفر الله الذي لا إله إلا هو الحي القيوم وأتوب إليهAstaghfirullah Allazi La ilaha illa Huwal Hayyul Qayyum wa Atubu ilayh
Abu Huraira Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya tum mein se jab koi tauba ( Astigfar) karta hai to Allah taala us sey itna ziyada khush hota hai jitna koi tum mein se apna ghuma hua janwar (camel) paaney se khush hota hai.Sahih Muslim , Vol6, 6953--------------------------------------------------------------


Abu Huraira Radi allahu anhu reported Allah's Messenger (may peace be upon him) as saying: Allah is more pleased with the repentance of His servant when he turns penitently towards Him than one of you would be on finding the lost camel.Sahih Muslim Book 037, Number 6611----------------------------------------------------------


Bismillah hir-Rahman nir-RahimMafhum-e-Hadith: Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ko Mairaj ke din 3 cheezein di gayee 
Abdullah bin masood Radi allaho anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ko Mairaj hua to Aap sidaratul muntaha tak pahunchey aur wo chatey (sixth) aasman mein hai zameen se jo chadta hai wo yahi aakar thahar jata hai phir le liya jata hai aur jo upar se utarta hai wo bhi yahi thahar jata hai phir le liya jata hai Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ko wahan 3 cheezein di gayee
Ek Paanch (5) namazein,dusra Surah Baqra ki Aakhri aaytein,Teesra Alllah subhanahu ne baksh diya Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki ummat mein se har us skash ko jo Allah ke Saath Shirk nahi kareySahih Muslim , Vol1, 431 
It is narrated on the authority of Abdullah bin masood that when theMessenger of Allah (may peace be upon him) was taken for the Night journey, he was taken to Sidrat-ul-Muntaha, which is situated on the sixth heaven, where terminates everything that ascends from the earth and is held there, and where terminates every- thing that descends from above it and is held there
The Messenger of Allah (may peace be upon him) was given three (things): he was given five prayers, he was given the concluding verses of Sura al-Baqara, and remission of serious Sins for those among his Ummah who associate not anything with AllahSahih Muslim, Book #001, Hadith #0329----------------------------------------------------------


Bismillah-Hirrahman-NirrahimHadith :Uskey ek Namaz se Dusri namaz ke parhney tak ke Gunnah Maaf kar diye jaatey hain
Hazrat Usman Radi Allahu Anhu ne wudhu kiya to farmaya Main tumko EK hadith Sunata hu Agar Quran paak ki Ek Aayat (Nazil) na hoti to main ye Hadith tumko na sunata , Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab bhi koi Achchi tarah wudhu karta hai to aur namaz parhta hai to uskey ek Namaz se Dusri namaz ke parhney tak ke Gunaah Maaf kar diye jaatey hainSahih Bukhari, Vol 1, 153
Urwah radi allahu anhu kahtey hain wo ye aayat ye hai “Jo log Allah ki us Nazil ki huyee Hidayat ko Chupatey hain jo usney logon ke liye Apni kitab mein bayan ki hai , Un Par Allah ki Laanat hai aur (Dusrey) Laanat karney walon ki laanat hai” ( Al Quran , Al Baqrah : 159)----------------------------------------------------------------------------


Narrated Humran Radi Allahu Anhu (the slave of 'Uthman) After performing the ablution 'Uthman Radi Allahu Anhu said, "I am going to tell you a Hadith which I would not have told you, had I not been compelled by a certain Holy Verse (the sub narrator 'Urwa said: This verse is: "Verily, those who conceal the clear signs and the guidance which we have sent down...)" (Al Quran: 2:159).
I heard the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam saying, 'If a man performs ablution perfectly and then offers the compulsory congregational prayer, Allah will forgive his sins committed between that (prayer) and the (next) prayer till he offers it.Sahih Bukhari, Volume 1, Book 4, Number 161---------------------------------------------------------------------



No comments: