March 29, 2013

MOHABBAT-SHAYARI-


MAASUM MOHABBAT KA

Maasum Mohabbat Ka,
Bas Itna Fasaana Hai,
Kagaj Ki Haweli Hai,
Baaris Ka Jamana Hai,
Us Par Utrane Ki,
Umeed Bahut Kam Hai,
Kasti Bhi Purani Hai ,
Aur Tufaan Bhi Aana Hai,
Kya Shart-E-Mohabbat Hai,
Kya Shart-E-Jamana Hai,
Aawaj Bhi Jakhmi Hai,
Aur Geet Bhi Gana Hai…

MERI MUHABBAT PAR

Eik Mulakat Karo Hamse,
Inaayat Samajh Kar,
Har Cheez Ka Heesab Denge,
Kyamat Samajh kar,
Meri Muhabbat Par Kabhi,
Shaq Naa Karna,
Hum Muhabbat Bhi Karte Hain,
Ibadat Samajh kar…

DIL SE DIL MILTE HAIN

Sirf Ehsaas Hota Hai Chahat Mein,
Ikrar Nahin Hota,
Dil Se Dil Milte Hain Mohabbat Mein,
Inkar Nahi Nhota,
Yeh Kab Samjhoge Mere Dosto,
Dil Ko Lafjo Ki Jarurat Nahin Hoti,
Khamosi Sab Kuchh Kah Deti Hai,
Pyar Mein Ijhaar Nahin Hota…

TUJH SE MOHABBAT THI

Badi Muskil Se Bana Hu,
Toot Jaane Ke Baad,
Main Aaj Bhi Ro Deta Hu,
Muskurane Ke Baad,
Tujh Se Mohabbat Thi,
Mujhe Beinteha Magar,
Aksar Yeh Ahsaas Huva,
Tere Jaane Ke Baad,
Ab Tak  Doond Raha Hun Main,
Apne Andar Ke Us Sakhs Ko,
Jo Najar Se Kho Gaya,
Hai Najar Aane Ke Baad…
DIL SE DIL MILAANE KA NAAM HE ISHQ
dil se dil milaane ka naam he ishq,
khabon ko sajaane ka naam he ishq!
mar mite jo hoton ki jumbish par,
us diwaangi ka naam he ishq!
unke chehre par ik hasi ke liye,
so gham uthaane ka naam he ishq!
aa jaayen kabhi jo aankhon mean,
un ashkon ko apni palkon mean lene ka naam he ishq!

No comments: