January 28, 2013

Hadees-1

Asalam-0-Alaikum wr wb
BISMILLAH-IR-RAHMANIR-RAHIM
SubhanaAllah
Abu hurairah radi allaho anho se rivayat hai ki Rasoollallah sallallho alaihey wasallam ne farmaya Jannat ke darwajey kholey jatey hain Peer(Monday) aur jumairat(Thursday) ke din Phir har bandey ki maghfirat hoti hai jo Allah taala ke saath shirk nahi karta magar wo shaksh jo keena rakhta hai apney bhai se uski maghfirat nahi hoti aur hukm hota hai in dono ko dekhtey raho jab tak mil jaye,in dono ko dekhtey raho jab tak mil jaye,in dono ko dekhtey raho jab tak mil jaye.

{ Sahih Muslim , Neki Suluq aur Adab ke masayeel (6544)}

{Ibn-e-Aadam}

Allah humari gunnah ko muaff farma Aameen sumaAmeen
Hazrat Uqba {Radi Allah'hu Ta'ala Anho} se mrwi hai k Maine Rasool Allah {Sallallahu Ta'ala Alyhe Wa'aalehe Wa'sllam} se pocha: Ay Allah k Rasool! Najaat kya hai? To Aap {Sallallahu Ta'ala Alyhe Wa'aalehe Wa'sllam} ne mujhy jwab diya: "Apni zuban ki hifazt kro, or tumharay liye tumhara ghar kushada hona chahye {k fazool bethak ki bjaye apnay ghr mai bethay rho} or apnay gunaho pr {Nadamt k} aansu bahaya kro."
{Sunan Tirmazi: 2406}

{Ibn-e-Aadam}

The Prophet Muhammad (Sallallaahu`alayhi wa sallam) reported that the devil said to Allah: “I shall continue to lead Thy servants astray as long as their spirits are in their bodies.” And Allah replied: “(Then) I shall continue to pardon them as long as they ask for My forgiveness.”

[Al-Tirmidhi, Hadith 742]

Namaz parlia kro... faraz nibaya kro..Allah se muaffi manglia kro...AmiNa™
Hazrat Abdullah Bin Kurtin (RaziALLAHU Anhu) se riwayat hai ki RasulALLAH (Sal’lal’lahu Alaihe Wasallam) ne irshaad farmaya : Qayamat k din sabse pehle namaaz ka hisaab kiya jayega, Agar namaaz achi huyi to baaqi aamaal bhi ache honge aur agar namaaz kharab huyi to baaqi aamaal bhi kharab honge. {Tabrani, Targeeb : 1/245}

{Ibn-e-Aadam)

Beyshak
Allahmdullilah
Tum "HAQ" ki baat kehne se mat "daro"
kiun ke...

na koi tumhe "mout" de sakta hai,
or na koi tumhara "RIZQ"
kam kar sakta hai,

Agar "Duniya" me Sirf "Sukoon" Hota,
To Log "ALLAH" ko "Bhool" Jatay,

"Sukoon" To Sirf Un Logon Ke Pas Hai,
Jo "ALLAH" Ki "Raza"
Ko Apni "Raza" Samajhte Hain,

"JANNAT" Ke Muntazir Na Raho "Balkay" Aise Kam Karo ke,
"JANNAT" Tumhari "Muntazir"ho,

"Beshak ALLAH Bohat Reham karne wala Meharban Hai"

No comments: