October 5, 2012

Kia Hamari Achchai Aur Burai Ka Zimmadar Allah Hai?

Asalam-o-Alaikum (*¯︶¯*)
BISMILLAH-IR-RAHMANIR-RAHIM♥

Kia Hamari Achchai Aur Burai Ka Zimmadar Allah Hai?

Kya koi insaan ko jannat me bhejna hoto vo uske peeche ek farista laga deta hai ke vo acche rasta par chale . aur jisko dozak me bhejna hoto uske peeche bhi ek farista laga ta hai ke vo usko bhatkata rahe . agar allah usko bhatkaye tho insaan ke kya majal ke vo accha kaam karsake kya baat 
sahe hai ya galat muje nahin maloom agar kesi ko pata hai ya koi ilham ha to batein....™

actually baat ye hai k insaan k peeche shaitan aur farishta ek saath lage hoie hote hain, aur es k saath saath insan ka apna nafs b hota hai jo k bazahir achi cheez ki taraf maiel hota hai.

farishta insan ko achaie ki taraf kheenchta hai, jab k shaitan insan ko barbadi aur buraie ki taraf kheenchta hai.
es k elawa Allah ne insan ko ek kaamil Aqal aur poora ikhtiar dia hai saath saath options b die hain k flan cheez karoge to saza ho jaie gi aur agar faln kam karoge to jaza etc etc.
ab insan ki Aqal aur yaqeen par depend karta hai k wo shaitan ki baaton main aa kar buraie karta hai, ya farishton ki baat maan kar achaie karta hai?

ab sawal ye paida hota hai k farishton aur shaitan k batoon ko aadmi kese mehsoos karta hai, let me explain....

jab ek insan koi kaam karne ka irada karta hai aur us ko koie confusion ho k ab kia karoon? to wo yahi kehta hai, k mera dil kehta hai k aisa karoon lekin dimagh kehta hai k wesa karoon, actually ye dil aur dimagh k ideas nahi hote, ye farishta aur shaitan hote hain, ab agar insan apne Aqal se kaam leta hai to wo apne kaam ko ba khoobi sar anjam deta hai nahi to shaitan k baaton main aa kar doob jata hai.

hamari achai aur burai ka zima dar ham khud hain.

Kia Hamari Achchai Aur Burai Ka Zimmadar Allah Hai?

hamari achai aur burai ka zimmedar hum khud hain...

QURAN JAWAB DETA HAI
Brothers,Quran jawab deta hai kai,tum per joo bura mushkil waqat ata hai yeh tumhari kartooto k waja say jo tum nai aaa gai baiji hai,MEANS GOOD DEEDS,
Allah kahta hai dosri jaga aur jo achi cheez means Rehmat ati hai acha waqt wo tumhare RAB ki taraf say hi,
Exmple: aap agar apnay Face per Thaper maro to kasoor kis ka hai? Allah ka loo ka kay aap ka???

Allah ne insaan ko sahi aur ghalut dono rastay dekha diay han,saath guide bhi kiya hai Hadees aur Quran se jis ko Practically Nabi(S.A.W.W) ne ker ke bhi dekhaya hai.......Saath Allah ne ye bhi batta diya ke shaitaan tumhara khola aur bara dushman hai,uss ka saath mat daina.Allah ne sahi rah per chalnay ka reward bhi rakha hai jannat ka aur ghalut rah per chalnay ki saza bhi dozukh tu ab ye insaan per hai ke wo kis rastay ko apnay liay choose kerta hai.kuin ke Allah fermatay han ke main insaan ko kisi baat ke kernay ka hukaam daita hon tu insaan ko koi bahot bara faeda daina chahta hon aur jab kisi baat se rokta hon tu ussay kisi bahot baray nuksaan se bachana chahta hon.
Taqdeer Allah ne likhi hai her insaan ki laikin sirf Dua wo cheez hi jo taqdeer ko bhi badal sakti hai.Islam sirf humara deen hi nahi humari pori zindagi hai jis per hum sahi chal ker khud ko un shaksiyat ki oonchayioon tak pooncha saktay han jo Allah ne aik muslim ke liay mayaar pasand kiya hai.

Allah ne humain dono Raste dikha diye hain,aur kaha hai ke agar ache aur naik kam karoge,apni Zindagi Islam ke tehat guzaroge,aur gunahon se parhez karo ge to Jannat me jaoge,aur Shaitan ke piche lagoge to yaqeenan wo humara khulla Dushman hai,aur wo humain Dozakh ke raste tak lekar jayega.
ye aisa hai,jaise ek mother apne bache ki parwarish karti hai,aur use Namaz sikhati hai,use sikhati hai ke Namaz ,use Islam ke mutabik Zindagi guzarna sikhati hai.ab agar wo bacha bada hokar ghalat Rasta ikhteyar kar leta hai ,ya Shaitan ke behkawe me ata hai,to isme uski Mother ka koi kasoor nahi hai.Mother ne apni bache ko puri taleem di hai,aur sahi aur ghalat ki tameez bhi di hai.ab us bache ko apna rasta khud ikhteyar karna hai,ke wo Jannat ki taraf jata hai ya juhanam ki taraf

burai shetan karwata hai aur achai insan jab koi acha kaam karne ki koshish karta hai tu Allah uski madad karta hai aur wo us ache kaam me kamiyaab hota hai..baki bura kaam insan shetan ki baaton me aaker khud karta hai insan ko Allah ne dimaag dya hai k wo achai aur burai ko samjh sake. in short ache kaamon me Allah ki madad hoti hai jab k bure kaamo me shetaan ka haath hota hai.

insaan apney achey burey ka khud zeymedaar hota hey,insaan ka apney Nafs pe kaboo hey to wo achey kaam kary gaa , ab yey bat k wo Farishtey wali to bhai aap ko pata hey k sheytaan insaan k dil k sath lipta hota hey aur wo aus ko gud-dudata hey bury kam karney k liyey ab ager aus ka emaan salamt hey to wo yey kaam nhi kary gaaa , ALLAH PAK NEY ISAAN KO yey khitiyaar dia huwa hey k wo achey yaa bury kaam karyy , ab yey kioe Chess to nhi k jis ka dil kary apni marzii sey chaal chal dey , ab ALLAH PAK ney insaan ko yey ikhtiyar dey dia hey k wo achey kaam karte hey ya buryyy ager asaa hi kamsaad hota to phir har ik k sath acha hota/ bura hi hotaaaa
insaan apney haaal aamal ka ENd mein jawab dey ho gaaaa
jahan taak bury ki bat hey to jaab insaan buraie mein bohat agey nikaal jata hey to phir sheytaan b aus ki buraion sy pahaan mangta hein

zimmadar kon?yes! hamari achchai aur burai ka zimmadar Allah hai, Allah ki marzi ke beghair ham kuch nahi ker sakte.

sahi bat hey key Allah chahey tu hum uss ki marzi key bina chal bhi nahi saktey
lakin Allah ney insan ko aqal bhi tu di hey
acha or bura rasta bata diya or phir hum may aqal dal di,
aqal di hey Allah ney rakhney key liya nahi,balkey ussey use karney key liya
mera app say aik sawal hey
key agar may app say kahon key agg may khud ko jala laien,tu kiya app jal jaien gey?

"key agar may app say kahon key agg may khud ko jala laien,tu kiya app jal jaien gey?"
ji haa agar ilm nahi ho ga tu zaroor kood jaao ga, jaisa ke kuch log khoodkash bomb ke zaria apne aap ko khatam ker dete hai, onhai ilm nahi keh iss tarah apne aap ko khatam kerna khoodkashi aur doosro ka qatal hai, agar on mai aqal hoti tu woh kabhi bhi aisa nahi kerte.
dunya mai aqal bhi Allah taala deta hai, jis ko chahe de aur jis ko chahe na de. aap jis ilm aur aqal ki baat ker rahi hai Allah taala ne sab ko barabar barabar nahi di hai. Hazrat Musa (A) ne aag ka gola sirf aur sirf iss liye mu mai dala tha keh onhai aqal nahi thi.
re: "acha or bura rasta bata diya or phir hum may aqal dal di"
kab bataya? kaha bataya?
agar aap ka yeh kehna hai keh Quran aur Hadeth mai bataya gaya hai tu phir aap ko khood hi maloom ho ga keh Iss dunya mai ketne logo ne Quraan aur Hadeth ki study ki hai. yaha logo ki majority likhna parhna hi nahi jaanti woh Quran aur Hadeth kaha parhe ge. aur jab nahi parhe ge tu phir ham kaise keh sakte hai keh onhai achcha aur bura rasta maloom hoga.
JAZAK-ALLAH KHAYREN♥

No comments: