June 24, 2013

Roman English / Roman Urdu Hadith

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Hadith: Usko utna sawab hoga jaisey 10 ghulam aazad kiye aur 100 nekiyan uski likhi jayegi aur 100 buraiiyan uski mita di jayegi

Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jo shaksh kahey LA iLAHA iLLALLAHU Wahdahu La sharika lahu , lahul mulk, wa lahul Hamd wa huwa ala kulli shayeen Qadeer. ek din mein 100 baar to usko utna sawab hoga jaisey 10 ghulam aazad kiye aur 100 nekiyan uski likhi jayegi aur 100 buraiiyan uski mita di jayegi aur shaitaan se usko bacha liya jayega din bhar shaam tak aur koi shaksh us din us sey behtar amal nahi layega magar jo us sey ziyada amal karey ( yani tasbeeh 100 se jiyada padey) aur jo shkash Subhanallahey wa behamdehi din mein 100 baar kahey uskey gunaah mita diye jaynegey chahey samundar ke jhaag ke barabar ho.
Sahih Muslim , Vol 6, 6842

English Translation :-
Abu Huraira Radi allaho anho reported Allah's Messenger (may peace be upon him) as saying: He who uttered these words:" There is no god but Allah, the One, having no partner with Him. Sovereignty belongs to Him and all the praise is due to Him, and He is Potent over everything" ( LA iLAHA iLLALLAHU Wahdahu La sharika lahu , lahul mulk, wa lahul Hamd wa huwa ala kulli
shayeen Qadeer.) one hundred times every day there is a reward of emancipating ten slaves for him, and there are recorded hundred virtues to his credit, and hundred vices are blotted out from his scroll, and that is a safeguard for him against the Satan on that day till evening and no one brings anything more excellent than this, except one who has done more than this (who utters these words more than one hundred times and does more good acts) and he who utters:" Hallowed be Allah, and all praise is due to Him," (Subhanallahey wa behamdehi) one hundred times a day, his sins are obliterated even if they are equal to the extent of the foam of the ocean.
Sahih Muslim Book 035, Number 6508:
--------------------------------------------------------
Hadith: Sood khaney waley khilaney waley , iski gawahii deney waley aur isko likhney waley sab par laanat hai

Al Quran : Jo log sood khatey hain wo Qayamat ke din us shakhs ki tarah uthengey Jinhey shaitan ne lipat kar deewana bana liya ho ye haalat unki is wajah se hogi ki unhoney kaha tha ki kharid wa farokht bhi sood ki tarah hai jabki Allah subhanahu ne kharid aur farokht ko halal qarar diya hai aur sood ko haram phir jisko uskey Rab ki naseehat pahunchi aur wo (sood lene se) baaz aa gaya to wo jo kuch pahle le chuka hai wo usi ka hai aur uska muaamla Allah ke supurd hai lekin agar wo phir bhi sood leta rahta hai to ye log jahannami hai ye ismein hamesha rahanergey:
Al Quran, Surah Baqara (2), verse 275


Al Quran : Those who devour usury will not stand except as stand one whom the Evil one by his touch Hath driven to madness. That is because they say: "Trade is like usury," but Allah hath permitted trade and forbidden usury. Those who after receiving direction from their Lord, desist, shall be pardoned for the past; their case is for Allah (to judge); but those who repeat (The offence) are companions of the Fire: They will abide therein (for ever).
Al Quran, Surah Baqara (2), verse 275
----------------------------------------------------------------

No comments: